Mujhse ek baat bahut talakh kahi thi usne
baat to yaad nahi haan yaad hai lehja uska..

32

Urdu |

mani_46_shayari.jpg

Shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
jagmagati jaagati sarkooN peh aawara phriooN
ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN
Aye gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti hui shamsheer si
ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN

yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal
jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal
aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi
jane kis ki gaud meiN aai yeh moti ki laRi
hook si seenay meiN uThi chaut si dil per paRi
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal
phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal
yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

har taraf hei bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN
baRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN
ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN

raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN
laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN
aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay
ab bi jane kitne dervazay heiN waa mere liay
per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

jee meiN aata hei ab ahd-e-wafa bi toR dooN
un ko paa sakta hooN yeh aasra bi chhoR dooN
haaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bi toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN
mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN
zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

jee meiN aata hei murda chaand taray nauch looN
iss kinare nauch looN us kinare nauch looN
eik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane
saikaRoN changez-o-naadir haiN nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

le ke eik eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN
taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN
koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

baRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN
iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN
takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN
ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

-Majaz Lakhnawi

00

Urdu |

Na shab-o-roz achche na hi haal achcha hai
kisi jogi ne kaha tha ke yeh saal achcha hai
maine poocha ke yeh intezaar aur kab tak
muskuraate hue bola, sawaal achcha hai..

21

Urdu |

Ajjab soorat-e-haal hoti jaa rahi hai
raat ke baad raat hoti jaa rahi hai

woh to ab bhi mukammal hai pathar ki tarha
raiza-raiza meri zaat hoti jaa rahi hai

main to aaj bhi tanha hoon kal ki tarha "Wasi"
saari kaainaat uss ke saath hoti jaa rahi hai..

30

Urdu |

Gull shaakh se bicchre to kahi ka nahi rehta Wasi
Tum khud ko juda meri zaat se kuch soch ke karna..

20

Urdu |

mani_47_shayari.jpg

Baat din ki nahi, ab raat se darr lagta hai,
ghar hai kacha mera, barsaat se darr lagta hai..

Tere tohfay ne to bas khoon ke aansoo hi diye,
zindagi ab teri saughaat se darr lagta hai..

pyaar Ko chhor kar tum aur koi baat karo,
ab mujhe pyaar ki har baat se darr lagta hai..

Meri khaatir na wo bandnaam kahin ho jaaein,
iss liye unki mulaqaat se darr lagta hai..

00

Hindi |

Abhi sooraj nahi dooba zaraa si shaam hone do
main khud hi laut jaaoonga, mujhe naa-kaam hone do

mujhe badnaam karne ke bahaane dhoondte ho kyun
main khud badnaam ho jaaoonga, pehle naam hone do

abhi mujhko nahi karna hai, aitraaf-e-shikast
main sab tasleem kar loonga, ye charcha aam hone do

meri hasti nahi anmol, phir bhi bik nahi sakta
wafaaein bech lena per zaraa neelaam hone do

naye aaghaz main hai hosla kyun haar baithe ho
jeet jaaoge sab kuch zaraa anjaam hone do..

20

Urdu |

Ankhein to pyaar mein dil ki zubaan hoti hain
sachi chahat to sada bezuban hoti hai
pyaar mai dard bhi mile to kya ghabraana
suna hai dard se chahat aur jawaan hoti hai..

10

Urdu |

Rahon ki zehmaton ka tujhe kya saboot doon
manzil mili to paon ke chhale nahi rahe..

40

Urdu |

Udasiyon ka yeh mausam badal bhi sakta tha,
woh chaahta to mere saath chal bhi sakta tha,
woh shakhs ke jise tu ne, chhorrne mein jaldi ki,.
tere mizaaj ke saanche mein dhal bhi sakta tha,
woh jald-baaz khafa ho ke chal dia werna,
tamam maslon ka koi hal nikal bhi sakta tha,
anaa ne haath uthaane hi na diye werna,
meri dua se woh pathar pighal bhi sakta tha,
tamaam umer tera muntazir raha woh ek shaks,
yeh aur baat ki woh rassta badal bhi sakta tha..

110

Urdu |

होता इन्हें यकीन गर जन्नत में हूरों का
ये वाइज़-ओ-शेख कब के मर चुके होते..

60

Urdu |

shayari.jpg

ये किसका तसव्वुर है ये किसका फ़साना है
जो अश्क है आँखों में तस्बीह का दाना है

आँखों में नमी सी है चुप-चुप से वो बैठे हैं
नज़ुक सी निगाहों में नाज़ुक सा फ़साना है

ये इश्क़ नहीं आसां इतना तो समझ लीजे
एक आग का दरिया है और ड़ूब के जाना है

या वो थे ख़फ़ा हम से या हम थे ख़फ़ा उनसे
कल उन का ज़माना था आज अपना ज़माना है
- जिगर मुरादाबादी

Details:
तसव्वुर - कल्पना
तस्बीह - माला

20

Hindi |

Recommended for You »

  1. I Am Deleting Your Number From My Phone As I Always ..
  2. Elephant Gets Controlled With Restrain Horse Gets Controlled With Whip Any Animal ..
  3. You Love Someone You Marry Someone Else The One You Marry Becomes ..
  4. The Greatness Of A Nation And Its Moral Progress Can Be ..
  5. Beautiful Friendship Saying “Life Can Give Us A Number Of Beautiful ..
  6. Tere Ishq Ey Ne Agg Saanu Lai Hoi Hai Khaas Shamma Ajj ..
  7. Ek Muskaan Tu Mujhe Ek Baar De De Khwaab Mein Hi ..
  8. Ab Rahim Muskil Pari Gaadhe Dou Kaam Saanche Te Jag Nahi ..
  9. Why Is It You Never Get To The Office On ..
  10. 🍃 *यदि हर कोई आप से खुश है* ..

Share & Let Everyone Read









Draw shape below and click submit button to send us your message:
आओ खेलें

लाल बूढ़क्की छू..

anagram quiz

About Us


Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.

The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..



What's more


moderated-content-kids-safe

Moderated Content

Safe for people of all Age Groups including Children.
sms-api-always-win

API

Display SMS on your Website or Blog at Zero Cost.
rate-content

SMS Rating

Gives You Power to Rate Content.
« Stay In Touch »

Quality Improvement Initiative

Quality Improvement Program

On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.

Sample thumb screenshot

You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.