Hazaar tu rasm-o-raah chore, hazaar main zabt-e-shoq kar lu
magar mohabbat ka rabt-e-beham na tere bas mein, na mere bas mein..

00

Urdu |

mani_46_shayari.jpg

Mere aaine mein ek shikast chehra hai
Munsif ke aas-paas ek ilzaam thehra hai

Bhanwar se jaan bachaake idhar aa gaye
Jahaan duur-duur tak bas ek sehra hai

Waar ko bhool jaayenge kisi roz, magar
Chot dil pe hai aur ghaav bhi gehra hai

Aankhon ki nami se dhundli hai nazar
Ya phir naseeb pe chhaaya kohra hai

Ab mere liye maqtal sajao
Suna hai qurbaaniyat ka anjaam sunehra hai.. - Anand Halve

Details:
shikast - defeated; Munsif - judiciary/judge; ilzaam - accusation

Bhanwar - whirlpool; Sehra - desert

Ghaav - wound

Kohra - mist, dhund

Maqtal - place of slaughter or execution

10

Urdu |

Fareb tha hasi mein aashiqi samajh baithe
maut ko hi apni zindagi samajh baithe
waqt ka mazaak tha ya badnasibi humari
uski do baaton ko hi chahat samajh baithe..

40

Urdu |

Isse pahle ke hawaa shor machaane lag jaaye,
Mere Allah, Meri khaak tthikaane lag jaaye

Ghere rahte hai.n kaii khwaab meri aankho.n ko,
Kaash kuchh der mujhe neend bhi aane lag jaaye

Saal bhar Eid ka rastaa nahi dekha jaata,
Woh gale mujhse kisi aur bahane lag jaye

- Dr. Rahat Indori

10

Urdu |

Juda huye hain bahut log ik tum bhi sahi,
ab itni si baat pe kya zindagi haraam karein.. - Nasir Kazmi

20

Hindi |

mani_47_shayari.jpg

Mumkin ho aap se to bhula dijiye mujhe
pathar pe hoon lakeer mita dijiye mujhe
har roz mujh se taaza shikaayat hai aapko
main kya hoon ek baar bata dijiye mujhe..

70

Urdu |

Khote sikkon mein kar baithe yeh sauda rishi
unke chehre se nazar hati hi nahi..

00

Urdu |

Shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
jagmagati jaagati sarkooN peh aawara phriooN
ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN
Aye gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti hui shamsheer si
ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN

yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal
jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal
aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi
jane kis ki gaud meiN aai yeh moti ki laRi
hook si seenay meiN uThi chaut si dil per paRi
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal
phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal
yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

har taraf hei bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN
baRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN
ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN

raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN
laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN
aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay
ab bi jane kitne dervazay heiN waa mere liay
per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

jee meiN aata hei ab ahd-e-wafa bi toR dooN
un ko paa sakta hooN yeh aasra bi chhoR dooN
haaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bi toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN
mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN
zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

jee meiN aata hei murda chaand taray nauch looN
iss kinare nauch looN us kinare nauch looN
eik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane
saikaRoN changez-o-naadir haiN nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

le ke eik eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN
taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN
koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

baRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN
iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN
takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN
ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

-Majaz Lakhnawi

00

Urdu |

Sab ke honton pe tabassum tha merey Qatal key baad
Jaane kiya soch ke rota raha Qatil Mera..

20

Urdu |

Patthar mujhe kehta hai mera chaahne-wala
Main moum hun uss-ne mujhe choo kar nahi dekha

Woh meri masaael ko samajh hi nahi sakta
Jis ne meri aankhon mein samander nahi dekha..

30

Urdu |

Dukhon me mere daaman ko yun thaam rakha hai Mohsin
ke jaise un ka bhi mere siwa aur koi nahi..

30

Urdu |

shayari.jpg

Momin na sahi bosa-pa sajdah hi karenge
Voh but hai jo auron ka to apna bhi khuda hai. - Hakim Momin Khan

31

Urdu |

Recommended for You »

  1. Uthaa Leta Jaam Agar Teri Yaad Mit Jaati Ab To Bas ..
  2. Outside The Walls Of Forks & Spoons Their Lives Hunger Waiting Whose Single ..
  3. Make A Sharp Turn If U Turn Is Not An Option ..
  4. हमें भी राहत मिल जाती वो खुश हैं बस इतना ..
  5. Cow And Cat Rishte Mein Behne Hain Now You Must Be ..
  6. All Human Beings Have FIVE Senses Some May Have The Sixth ..
  7. Teacher Jo Mere Agle Sawal Ka Jawab Dega Wo Ghar ..
  8. दर्द का साज़ दे रहा हूँ तुम्हे दिल का हर राज़ ..
  9. Teacher I Love You Ki Khoj Kahan Hui? Boy China Mein Teacher Kyu? Boy ..
  10. Ghaav Itne Gehre Hain Bayaan Kya Karein Hum Khud Nishana Ban ..

Share & Let Everyone Read









Draw shape below and click submit button to send us your message:
आओ खेलें

लाल बूढ़क्की छू..

anagram quiz

About Us


Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.

The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..



What's more


moderated-content-kids-safe

Moderated Content

Safe for people of all Age Groups including Children.
sms-api-always-win

API

Display SMS on your Website or Blog at Zero Cost.
rate-content

SMS Rating

Gives You Power to Rate Content.
« Stay In Touch »

Quality Improvement Initiative

Quality Improvement Program

On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.

Sample thumb screenshot

You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.