नेकी गुनाह है यहाँ
यह बेदर्द शहर है
मरने का इरादा हो भी अगर
तो कफ़न साथ रखना ..

20

Hindi |

mani_46_shayari.jpg

Mere hisse ki zameen banjar thi main waqif na thaa
be-sabab mein ilzaam main detaa rahaa barsaat ko..

20

Urdu |

Woh din.. woh mehfilein.. woh shagufta mijaaz log
Mouj-e-Zamana le gai jaane kahan-kahan..

10

Urdu |

Yehi mizaaj hai apna kisi ka dil na dukhe
judaaiyon ko bhi chaaha hai qurbaton ki tarha..

21

Urdu |

Mujh ko rula kar woh bhi roya to hoga
mooh aansuon se usne bhi dhoya to hoga
agar na kiya hai haasil kuch humne pyaar mein
kuch na kuch usne bhi khoya to hoga..

60

Urdu |

mani_47_shayari.jpg

Ginoo sab hasratein jo khoon hui hain tan ke maqtal mein
mere qaatil hisaab-e-khoon baha aise nahi hota..

00

Urdu |

Jo ek lafz ki khushboo na rakh saka mehfooz
main uss ke hath main saari kitaab kya deta..

31

Urdu |

Mujhe bhoolna mat, yaad rakhna.
meri wafa ka kuch khyaal rakhna
main phir aaonga naya zakhm khane ke liye
ek aur patthar sambhal kar rakhna..

50

Urdu |

Kaise likhoge mohabbat ki kitab
tum to karne lage pal-pal ka hisaab
Khushak patto ka mausam lekar
Aag ke sheher mein rehte ho janaab..

20

Hindi |

Aye mere humnashin ab kahin aur chal
iss chaman mein humara guzara nahin
baat hoti gulon ki to seh lete hum
ab to kanton pe bhi hak hamara nahin

ji mein ata hai ki tera sazda karun
iss tarhan maine tujhko pukara nahin
thokarein yun khilane se kya fayda
saaf kehdo ki milna gavara nahin

ehle gulshan ko khoon ki zarurat padi
sabse pehle humari gardan kati
phir bhi kehte hain humko ye ehle chaman
ye chaman hai humara tumhara nahin

aaj aaye ho kal tum chale jaoge
ye mohabbat ko apni gavara nahin
umr bhar ka sahara bano to bano
char din ka sahara sahara nahin

zalimon apni kismat pe nazan na ho
daur badlega ye waqt ki baat hai
wo yakinan sunega sadayein meri
kya tumhara khuda hai humara nahin

- zalimon

21

Hindi |

Yeh to sach hai ke sar-e-koocha-o-bazaar bike
yeh bhi sach hai ke tere naam pe har baar bike
apni auqaat to ek jins-e-giraan si bhi na thi
tere kooche main to aa aa ke khareed-daar bike..

11

Urdu |

shayari.jpg

Recommended for You »

  1. He Who Asks Is A Fool For Five Minutes But He ..
  2. You Look Sweet When You Read My Message You Look Sweeter ..
  3. Night Is A Good Time To Remember All The Sweet Things ..
  4. Good Actions Are The Best Sacrifice We Can Offer To ..
  5. I Don T Listen To People S Opinions I Have People Around Me ..
  6. If You Manage To Fool A President Then A Few People ..
  7. Jab Paas Ho Tab Khaas Ho Jab Dooor Ho Tab Ehsaas ..
  8. Jab Chote The Jor Jor Se Rote The Jo Pasand Hota ..
  9. Heights Of 1 Fashion? Lungi With A Zip 2 Laziness? Asking Lift For ..
  10. Santa To Nauker Ped Podho Ko Paani Daal De Nauker Saabji Baahar ..

Share & Let Everyone Read









Draw shape below and click submit button to send us your message:
आओ खेलें

लाल बूढ़क्की छू..

anagram quiz

About Us


Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.

The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..



What's more


moderated-content-kids-safe

Moderated Content

Safe for people of all Age Groups including Children.
sms-api-always-win

API

Display SMS on your Website or Blog at Zero Cost.
rate-content

SMS Rating

Gives You Power to Rate Content.
« Stay In Touch »

Quality Improvement Initiative

Quality Improvement Program

On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.

Sample thumb screenshot

You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.