64Tanhaai na paaye koi mehfil ki raat ke baad,
judaai na paaye koi kisi ke saath ke baad,
na pade kisi ko aadat kisi ki itni..
ki har saans bhi aaye uski yaad ke baad.
Hindi |
224Hum rahe na rahe, un logon ko saza milni chahiye.
Yeh 2020 hai, Insaaf ki misaal honi chahiye.
Court tumhara, neta tumhara, thana tumhara
Magar kanoon ko bhi to gunjaaish honi chahiye.
Izzat se zindagi basar karne ki
humein bhi to ijaazat honi chahiye..
#JusticeForUnnao
Hindi |
41Husn waale khoob wafaaon ka sila dete hain,
har mode per ek nayaa zhakm dete hain,
ae dost is jahaan mein koi apna nahi,
jab aag lagti hai to patte bhi hawaa dete hain.
Hindi |
72Alvida keh kar jab koi aankho se dooor hota hai,
aankhein dekhti rehti hain magar dil majboor hota hai,
koi kahe na kahe zubaan se..
magar dil mein dard zaroor hota hai.
Hindi |
71थक चुके हम उनका इनतजार करते-करते
रोये हजार बार खुद से तकरार करते-करते
दो लफज मुहब्बत के उनकी जुबां से न निकले और
टूट गए हम एक तरफा प्यार करते-करते..
Hindi |
60Bahut kam hain zamaane mein log aise,
chaahat ki jinhe pehchaan hoti hai,
soch lena kisi pe mar mitne se pehle ki..
lutaane ke liye ek hi jaan hoti hai.
Hindi |
61Ek kahani hazaaro saal purani,
husn aur mohabbat gehre dost the,
ek din dono saath mein baithe the,
k chaand nikal aaya,
itne mein mohabbat ne chaand ki taarif karni shuru kar di,
yeh baat husn ko achchi na lagi
aur usne mohabbat ki aankhe noch li,
tabhi se mohabbat andhi aur husn zaalim ho gaya.
Urdu |
20Unki tasveer ko seene se lagaa lete hain,
is tarah judaai ka gham mita lete hain,
kisi tarah kabhi jikr ho jaaye unka to,
has kar bheegi palke chupaa lete hain.
Hindi |
70pyaar mein mila har gham udhaar hota hai,
pyaar woh hota hai jisme intezaar hota hai,
sadiyon tak intezaar karte hain woh..
jinhe apne pyaar par aitbaar hota hai.
Hindi |
40Yeh chaand bhi dekho kya ajeeb sitam dhaata hai,
bachpan mein yeh mama
aur jawaani mein sanam nazar aata hai,
kehne ko to hain chaand mein daag bahut,
aashiqo ko fir bhi sunder nazar aata hai,
chup jaata hai jab bhi yeh baadlo ki oat mein,
deedar-e-husn paane ko har ek machal jaata hai,
laakho taaro se bhari hai aasmaani chaadar phir bhi,
chaand to har dum tanha hi nazar aata hai.....
Urdu |
50Woh mera tha yeh batana ajeeb lagta hai,
ab uss se aankh milana ajeeb lagta hai,
jo zindagi mein kabhi bhi mera na ho paiya,
ab uss ka khaaab mein aana ajeeb lagta hai,
tha jiska haath hamesha mere haathon mein,
Ab uss se haath milana ajeeb lagta hai..
Hindi |
100Humse chupte kyon ho dost ,
ek din hum andheron mein kho jaayenge,
ki maangoge duaaon mein khuda se..
aur hum sapno mein bhi na aayenge.
Hindi |
♥ Recommended for You »
- Young Harold Was Late For Sunday School And The Minister Inquired The ..
- If A Cute Girl Tells You That She S In Love With ..
- Every Boy Should Have Two Things A Dog And A Mother ..
- Lamha Lamha Waqt Guzar Jaaega Thodi Der Baad Naya Varsh Aayega Advance Mein ..
- I Do Not Have An Attitude Problem But I Believe झुको वहीं ..
- Turning Old Is Natural But Becoming Wise Is Patience ..
- Not Every Bird Can Dance But Peacock Did That Not Every Flower ..
- रहिमन करि सम बल नहीं मानत प्रभु की धाक ..
- Reverence For God Is The Beginning Of Wisdom & It Cannot ..
- Sometimes The Road Travelled Turns Out To Be More Beautiful Than The ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.