110Woh khwaab ban kar aaye
saans ban kar rahe aur
jaan ban kar chale gaye..
Hindi |
60Bahut kam hain zamaane mein log aise,
chaahat ki jinhe pehchaan hoti hai,
soch lena kisi pe mar mitne se pehle ki..
lutaane ke liye ek hi jaan hoti hai.
Hindi |
52Dilo se khelne ka hunar hame nahi aata
isliye ishq ki baazi hum haar gaye.
Meri zindagi se shaayad unhe pyaar tha
isliye mujhe zinda hi maar gaye.
Hindi |
71Maikhaane mein jaam toot jaata hai,
ishq mein dil toot jaata hai,
na jaane kya rishta hai in dono mein,
jaam toote to ishq yaad aata hai..
dil toote to jaam yaad aata hai..
Hindi |
1812Pyaar karo to dhoka mat dena,
Pyaar ko aansuon ka tohfa mat dena,
dil se roye koi aapko yaad karke..
aisa kisi ko mauka mat dena.
Hindi |
90Kaash kushiyon ki koi dukaan hoti,
humaari us-se pehchaan hoti,
bhar dete aapka daaman khushiyon se..
phir chaahe uski keemat humaari jaan hoti.
Hindi |
20Shaam-e-samandar, gham-e-vasl aur tanhaai,
dil ko teri yaad aa na jaaye..
Ret par reh na jaaye koi baaki nishaa,
chaand mein teri surat nazar aa na jaaye..
Giraft-e-bekhudi se hi kaayam hai maikadaa saare,
diljalo ki basti mein dilnasheen aa na jaaye..
Haayat ki ungaliyon par naachte hain hum,
guroor-e- naseeb zehen mein ab aa na jaaye..
Urdu |
20समेट लो इन हस्ते हुए नाज़ुक पलों को
ना जाने यह लम्हे कल हों ना हों
हों भी यह लम्हे तो क्या मालूम
शामिल उन पलों में हम हों ना हों ....
Samet lo in haste hue naazuk palon ko
na jaane yeh lamhe kal hon na hon
hon bhi yeh lamhe to kya maaloom
shaamil un palon mein hum hon na hon..
Hindi |
61Ek kahani hazaaro saal purani,
husn aur mohabbat gehre dost the,
ek din dono saath mein baithe the,
k chaand nikal aaya,
itne mein mohabbat ne chaand ki taarif karni shuru kar di,
yeh baat husn ko achchi na lagi
aur usne mohabbat ki aankhe noch li,
tabhi se mohabbat andhi aur husn zaalim ho gaya.
Urdu |
82Kis raah par jana hai ye kaun janta hai,
kis manzil ko pana hai ye kaun janta hai,
khushi ke do pal milte hain to ji bhar ke jee lo,
kab rooth jaye khud se zindagi ye kaun janta hai..
Hindi |
31Jab bhi unki gali se guzarte hun,
meri aankhein ek dastak de deti hain,
dukh yeh nahi, woh darwaza band kar dete hain,
khushi yeh hai, woh mujhe ab bhi pehchaan lete hain..
Hindi |
30Pyar jitna purana hota hai
muskil use utna bhulana hota hai..
Hindi |
♥ Recommended for You »
- A Man Was Seen Fleeing Down The Hall Of ..
- I Pray To God To Give U I Pray To God ..
- If I Love Myself Despite My Infinite Faults How Can I Hate ..
- Kuch Apni Galtiyon Ka Azala Karo Wasi Yun Nafraton Ko Dil ..
- Open The Door My SMS Is Coming To Wish U Good Morning ..
- तुम मुखातिब भी हो क़रीब भी हो तुम को देखूं ..
- Zindagi Mein Bahut Kam Milli Hai Faraz Woh Cheez Jise Shiddat ..
- Man Has Two Eyes One Only Sees What Moves In Fleeting ..
- Before Marriage Roses Are Red Sky Is Blue U R Beautiful I Luv ..
- नसीहत दी थी उस अनजान मौलवी ने इक रोज़ कैसे ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.