Zaroori to nahi jeene ke liye sahara ho
zaroori to nahi hum jinke hain woh humara ho
kuch kashtiyan doob bhi jaya karti hain
zaroori to nahi har kashti ka kinara ho..

30

Urdu |

mani_46_shayari.jpg

Wo ashak ban ke meri chasm-e-tar mein rehte hain
Ajeeb shaks hain paani ke ghar mein rehte hain..

00

Urdu |

Tumhaare bas mein agar ho toh bhool jao humein..
Tumhein bhoolne mein shaayad humein zamane lagein..

11

Urdu |

Meri har khata par naaraaz na hona
apni pyaari si muskan kabhi na khona
sukoon milta hai dekh kar aapki muskurahat ko
mujhe maut bhi aaye to bhi na rona..

10

Urdu |

Majrooh! Likh rahe hai voh ahl-e-vafa ka naam
Ham bhi khade huye hai gunahgaar ki tarah.. - Majrooh Sultanpuri

20

Urdu |

mani_47_shayari.jpg

Har taraf dhund hai, jugnu hai na charag koi,
Kaun pehchanega, basti mein agar jaaoonga..

24

Hindi |

Haath uthe hain magar lab pe dua koi nahi
ke ibadat bhi woh jis ke jaza koi nahi
ye bhi waqt aana tha ab to gosh har aawaz hai
aur mere barbad-e-dil mein sada koi nahi

aa ke ab taslim kar lain tu nahi to main sahi
kon manega ke hum mein bevafa koi nahi
waqt ne wo khak udai hai ke dil ke dasht se
qafile guzre hain phir bhi naqsh-e-pa koi nahi

khud ko yun mahasur kar baitha hun apni zaat mein
manzilen chaaron taraf hain rasta koi nahi
kaise raston se chale aur kis jagah pahunche ‘faraz’
ya hujum-e-dostan tha sath ya koi nahi

20

Urdu |

mita de apni hasti ko agar kuchh martabaa chaahiye
ki daanaa khaak mein mil kar gul-e-gulzaar hota hai..

10

Urdu |

Na pooch kitna lutf in musafaton mein hai
tera ghar ab bhi mere raston mein hai
sardiyon ki raat mein woh chaand dekhna
teri pasand ab bhi meri aadaton mein hai..

10

Urdu |

Main neend ka shaukeen toh nahi, lekin
kuch khwaab na dekhu toh guzaara nahi hota..

41

Hindi |

हम ना होते तो किसी और के चर्चे होते ,
हलक़त-ए-शहर तो कहने को फ़साने मांगे ..
- अहमद फ़रज़

Hum na hotey to kisi aur ke charchey hotey,
Halqat*-e-sheher to kehn e ko fasaaney mangey..
- Ahmed Faraz

00

Hindi |

shayari.jpg

Main bhi hairan huya ae Dagh ke yeh kya baat hai
Vaada voh karte hai, aata hai tabassum mujhko.. - Nawab Mirza Dagh Dehlvi

21

Urdu |

Recommended for You »

  1. Fir Kahi Dooor Se Ek Baar Sataa De Mujhe Meri Tanhai ..
  2. फ़क़ीर दे कर मुकर जाता हैं और भिखारी ले कर ..
  3. Teacher How Many Juice Tetra Packs Can You Buy In ..
  4. Socha Tha Woh Aayenge Humaare Bhi Nikal Liye Chupke Se Mere ..
  5. This Simple SMS Travelled Through My Room The Roads Buildings Towers ..
  6. Nature Is The Best Book And Discipline Is The Best Teacher ..
  7. Ek Raja Apne Kutte Nu Bahut Pyaar Karda C Par Kutte ..
  8. गया दशहरा और दिवाली आने को तैयार मौसम रहा बदल ..
  9. If You Ve Been Trained To Listen To Mistakes Your Whole Life You ..
  10. History Sir Was On Leave So Science Sir Was Asked To ..

Share & Let Everyone Read









Draw shape below and click submit button to send us your message:
आओ खेलें

लाल बूढ़क्की छू..

anagram quiz

About Us


Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.

The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..



What's more


moderated-content-kids-safe

Moderated Content

Safe for people of all Age Groups including Children.
sms-api-always-win

API

Display SMS on your Website or Blog at Zero Cost.
rate-content

SMS Rating

Gives You Power to Rate Content.
« Stay In Touch »

Quality Improvement Initiative

Quality Improvement Program

On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.

Sample thumb screenshot

You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.