11Yeh to sach hai ke sar-e-koocha-o-bazaar bike
yeh bhi sach hai ke tere naam pe har baar bike
apni auqaat to ek jins-e-giraan si bhi na thi
tere kooche main to aa aa ke khareed-daar bike..
Urdu |
00Hazaar tu rasm-o-raah chore, hazaar main zabt-e-shoq kar lu
magar mohabbat ka rabt-e-beham na tere bas mein, na mere bas mein..
Urdu |
11Maine us-se poocha ke dhoop mein baarish hoti hai
Woh hanste-hanste rone lagi aur dhoop may baarish hone lagi..
Hindi |
10Mujrim nahi fir bhi sazaa-yaafta hun
is shehar mein gunaahgaar koi aur bhi hai..
Urdu |
41Ye toh nahi kay gham nahi
Haan magar aankh num nahi
Khushiyon ka dukaan-daar ye bola
Zinda ho, ye kiya kam nahi..?
Urdu |
121Har mor pe mil jate hain hamdard hazaron
shaayed ke meri basti mein adakaar buhat hain..
Urdu |
10Rang kuch shokh se tasveer mein bhar kar dekho
zindagi shokh hai is shokh pe mar kar dekho
kitna pyara hai jahan kitni hasin hai ye hayat
dil ki jaanib bhi zara ek nazar kar dekho..
Urdu |
20Naakaamiyon ne aur bhi sarkash bana diya
itne hue zaleel ke khuddaar ho gaye..
Urdu |
10बंदा परवर मैं वो बंदा हूँ के बहर-ए-ज़िन्दगी,
जिसके आगे सर झुका दूंगा खुदा हो जाएगा..
- आज़ाद अंसारी
Urdu |
40Chalti hai ab to saans bhi is ehtiyaat se
jaise guzar rahi ho kisi pul siraat se..
Urdu |
30Bana diya hai zamaane ne dil ko patthar kaa
sataaye koii bhii mujh ko rula nahiin sakataa..
Urdu |
12Kadam ruk se gaye hain aaj phool biktey dekh kar
woh aksar mujh se kehta tha mohabbat phool jaisi hai..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- सदा तो धूप के हाथों में ही परचम नहीं होता खुशी ..
- Jab Kisi Ke Sapne Kisi Ke Armaan Ban Jaayein Jab Kisi ..
- Better Is The Enemy Of Good ..
- Nature Is The Best Book And Discipline Is The Best Teacher ..
- कब दिल तेरी याद में ..
- I Have Many Problems In My Life But My Lips Doesn T Know They ..
- It Is Now Proved Beyond Doubt That Smoking Is One Of ..
- Bachelors Should Be Heavily Taxed It Is Not Fair That Some ..
- एक बार संता को उदास बैठा हुआ देख कर बंता ..
- Ladki Pataane Ka Tarika Chupke Se Uske Peeche Jaa Kar Use ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.