11Main ek aansu hi sahi hun buhat anmool magar
yun palkon se laga kar mujhe matti mein na milaa..
Urdu |
10Saath chalte kafile se is liye gafil raha,
manzilon ke baad bhi koi meri manzil raha.
woh masiha tha ya katil ya bewafa,
woh har ek surat mein pyaar ke kabil raha.
us se izhar-e- mohabbat kar na paye lab kabhi,
ek jara sa kaam tha umar bhar mushkil raha.
aap isko kya kahenge behisi ya badkismati,
doobne wale ke bilkul samne sahil raha.
ek mohabbat de na paya de gaya sau gham humein,
woh mera mehboob bhi kya dariya dil raha.Details:
Gafil - negligent/careless
Urdu |
10Nafraton ka nisaab pad kar mohabbaton ki kitaab likhna
bahut katthin hai khizaan ke maathey pe daastaan-e-gulaab likhna..
Urdu |
20Tum aankhon ki barsaat bachaaye hue rakhna,
kuch log abhi aag lagaana nahi bhoole,
yeh baat alag, haath kalam ho gaye apne,
hum apni tasveer banaana nahi bhoole,
hum apne buzurgon ka zamaana nahi bhoole,
dushman ko bhi seene se lagaana nahi bhoole,
ik umar hui main to hansi bhool chuka hun,
tum ab bhi mere dil ko dukhaana nahi bhoole..
Hindi |
21Mar kar bhi tha khaak na asudah huye aah!
Ae ishq na the ham tere anjaam se vaaqif.. - Nazeer Akbarabadi
Urdu |
00Mitti na di mazaar talak aake, us par bhi
Kehte hai log ‘Khaak mein uss-ne mila diya’.. - Hakim Momin Khan
Urdu |
30Us ko Chaha bhi to izhaar karna nahi aaya
Kat gai umar magar pyaar karna nahi aaya
Us ney manga bhi agar kuch to judaai mangi
Aur hum thay ke hum ko inkaar bhi karna nahi aaya..
Urdu |
10Yeh zindagi hai ke barish hai sangraizoon ki
main toot phoot gya iss mein mubtila ho kar..
Urdu |
11Aakhir zindagi ne bhi aaj pooch liya mujh se
Kahan hai woh shakhs jo tujhe mujh se bhi azeez tha..
Urdu |
30Rone se kya haasil kuch ae dil-e-sodaii
ashkon ki bhi barbadi daaman ki bhi ruswaii
hum log samandar ke bichhray hue saahil hain
is paar bhi tanhaii uss paar bhi tanhaii..
Urdu |
10Ye rakh rakhao muhabbat seekha gai usko
woh rooth kar bhi mujhe muskura kar milta hai..
Urdu |
30Hum jee rahe the unka naam lekar
woh guzarte the hamara salaam lekar
ek din woh keh gaye bhula do humko
humne poocha kaise
woh chale gaye haath mein jaam dekar..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Pal Pal Se Banta Hai Ehsaas Ehsaas Se Banta Hai Wishwaas Wishwaas Se ..
- Life Is Full Of Choices And I Choose Happiness ..
- Kafan Na Dalo Mere Chehre Pe Mujhe Aadat Hai Muskurane Ki Na ..
- 5 June 2010 Ek Sachchi Ghatna Jise Sun Kar Insaan Ki Rooh ..
- Easy Come Easy Go ..
- Dil Ne Kaha Aankh Se Dekha Karo Kam Kyonki Dekhte Ho Tum ..
- Celebrate The Victory Of The Force Of Good Over Evil ..
- Pokémon Go No Need To Enter The Darwin Police Station In Order ..
- Whoever Said That Love Is Blind Was Limited To Stereoscopic Vision Love ..
- Rishton Ki Dori Kamzor Hoti Hai Aankhon Ki Baatein Dil Ki ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.