50Maangi thi dua aashiyane ki
chal padi aandhiya zamaane ki
mere gham koi na samajh saka
kyunki meri aadat thi MUSKURANE ki..
Urdu |
40Pee hai sharab har gali har maikhane se
Ek dosti si ho gayi hai sharab ke jaam se
guzre hain hum kuch aise muqaam se
ke nafrat si ho gayi hai mohabbat ke naam se..
Urdu |
32Meri zindagi mein aksar yeh haadsa hua hai
Koi kho ke mill gaya hai, koi mill ke kho gaya hai..
Urdu |
00Hazaar tu rasm-o-raah chore, hazaar main zabt-e-shoq kar lu
magar mohabbat ka rabt-e-beham na tere bas mein, na mere bas mein..
Urdu |
80Kabhi yak bayak tawajjo, kabhi dafatan taghaaful
mujhe aazma raha hai, koi rukh badal-badal ke..
Urdu |
41Ye nashist kya hai raah mein, terey zauq-e- ishq ko kya huwa
abhi chand kaantey chubhey nahi ke sab iraadey badal gaye..
Urdu |
81Teri yaadein bhi tujh si zaalim hain Faraz
Jab dekhti hain tanha humein, sataane chali aati hain..
Urdu |
41Mujhe kyun rokte ho uski pooja se
Usay koi nahi rokta ke woh devta na lage..
Urdu |
10Uss ne dekha hi nahi meri rooh ko choo kar warna
yun zakhmo ka na wo apne charchaa karta..
Urdu |
20Bicchar gaya hai to ab us ka saath kia maangoon
zaraa si umar hai gham se nijaat kia maangoon
woh saath hota to hotin zarooratein bhi bahut
akelee jaan key liye kaayenaat kia maangoon..
Urdu |
00Shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
jagmagati jaagati sarkooN peh aawara phriooN
ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN
Aye gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti hui shamsheer si
ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN
yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal
jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal
aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi
jane kis ki gaud meiN aai yeh moti ki laRi
hook si seenay meiN uThi chaut si dil per paRi
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal
phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal
yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
har taraf hei bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN
baRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN
ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN
raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN
laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN
aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay
ab bi jane kitne dervazay heiN waa mere liay
per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei ab ahd-e-wafa bi toR dooN
un ko paa sakta hooN yeh aasra bi chhoR dooN
haaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bi toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN
mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN
zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei murda chaand taray nauch looN
iss kinare nauch looN us kinare nauch looN
eik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane
saikaRoN changez-o-naadir haiN nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
le ke eik eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN
taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN
koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
baRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN
iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN
takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN
ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
-Majaz Lakhnawi
Urdu |
10Aa jaa ke abhi zabt ke mausam nahi guzra
aa jaa ke pahaaron pe abhi baraf jami hai
khushbu ke jazeeron se sitaron ke jadoon tak
iss shehar mein sab kuch hai bas teri kami hai..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Mrutyunjayaaya Rudraaya Neelakantaaya Shambhave Amriteshaaya Sarvaaya Mahadevaaya Te Namaha ..
- Agar Zindagi Jeeni Hai Maze Mein To Nafrat Se Bhi Mohabbat ..
- A Man Upon His Engagement Went To His Father And ..
- Five Roses Just For You Because You Are A Special ..
- Apni Yaadon Mein Hum Tumko Basaana Chaahte Hain Apne Paas Tumhe ..
- God Made The Cat To Give Man The Pleasure Of ..
- Jab Ki Tujh Bin Nahi Koi Maujuud Phir Ye Hungaamaa Ae ..
- If Only Looks Matter Then You Are The Most Beautiful If Only ..
- I Am Me And Honey That S Something You Will Never Be ..
- Generations To Come It May Be Will Scarce Believe That Such ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.