20Mujhe khushboo ki taraha baat uraane wale
tujh mein pehlay to na the rang zamanay wale
apni aasteenon mein chupaye hue khanjar aaye
mujh se yaaron ki taraha haath milaane wale..
Urdu |
20Majrooh! Likh rahe hai voh ahl-e-vafa ka naam
Ham bhi khade huye hai gunahgaar ki tarah.. - Majrooh Sultanpuri
Urdu |
40Kitna pyaar diya usse par mila kuch bhi nahi
itni gehri chaahat ka haasil-o-hasool kuch bhi nahi
woh humse khafa the to jaan nikal gayi thi humaari
hum unse khafa hain to unko malaal kuch bhi nahi
is kadar dukh diye hain na jaane kis khata par
par hum bhi sabar kar gaye aur kiya sawaal kuch bhi nahi
uski khushi mein hansne waale khaas hain uske liye
dukh mein uske saath hum, humaari misaal kuch bhi nahi..
Urdu |
62Tanhaaion mein baith kar kya sochte ho tum
hum ko bhi kuch batao pareshaan hum bhi hain..
Urdu |
20Nahi hai mere mukaddar mein roshni na sahi,
yeh khidki kholo zara subha ki hawa hi lage..
Urdu |
10Woh aise ishq mein kaisa kamal rakhta hai
ki be-rukhi mein bhi mera khayaal rakhta hai
ajab nahi woh jahan bhar ko be-wafa samjhe
nazar mein meri wafa ki misal rakhta hai..
Urdu |
00Shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
jagmagati jaagati sarkooN peh aawara phriooN
ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN
Aye gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti hui shamsheer si
ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN
yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal
jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal
aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi
jane kis ki gaud meiN aai yeh moti ki laRi
hook si seenay meiN uThi chaut si dil per paRi
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal
phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal
yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
har taraf hei bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN
baRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN
ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN
raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN
laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN
aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay
ab bi jane kitne dervazay heiN waa mere liay
per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei ab ahd-e-wafa bi toR dooN
un ko paa sakta hooN yeh aasra bi chhoR dooN
haaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bi toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN
mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN
zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei murda chaand taray nauch looN
iss kinare nauch looN us kinare nauch looN
eik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane
saikaRoN changez-o-naadir haiN nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
le ke eik eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN
taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN
koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
baRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN
iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN
takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN
ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
-Majaz Lakhnawi
Urdu |
10उम्र तो सारी कटी इश्क़-ए-बुताँ में 'मोमिन'
आख़िरी वक़्त में क्या ख़ाक मुसलमाँ होंगे।
- मोमिन ख़ाँ मोमिन
Hindi |
11Paash-paash ho jaein ab to ye maflooj sochein
rooh pe koi taaza zarbe sitam laga ke dekho..
Urdu |
22झूठ वाले कहीं से कहीं बढ़ गये
और मैं था कि सच बोलता रह गया ।
– वसीम बरेलवी
Hindi |
10Jungle mein is tarha ki udaasi na thi kabhi
ae Qaarwaan thehar koi saathi bichar gaya..
Urdu |
73Zakham dene ka andaaz kuch aisa hai
zakham dekar puchte hai ab haal kaisa hai
kisi ek se gila kya karna yaaron
saari duniya ka mijaaz ek jaisa hai..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Hue Hain Paanv Hee Pehle Nabard E Ishq Mein Zakhmee Na Bhaaga Jaaye ..
- Never Say Thanks To Someone Who Loves You Never Say Bye ..
- Teacher What Is The Difference Between A Radio And A ..
- The Best Time To Plant A Tree Was 20 Years ..
- Funny School Days Sitting In The Last Bench Looking Up Nd ..
- मेरे मालिक तेरा शुक्रिया मैं लिख सकता हूँ और वो ..
- मैं देखता हूँ उन्हें कभी दिवाली के पटाखे फोड़ते हुए ..
- Solve This Puzzle I Live In Water If U Cut My Head I ..
- Best SMS Of The Year 1947 Ha Ha Ha Annu Mobile ..
- Once In A Crowded Bus Santa Ka Paon Ek Ladke ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.