10Tujh se lafzon ka nahi rooh ka rishta hai mera
tu meri saanson mein tehleel hai khushbu ki tarah..
Urdu |
40Fareb tha hasi mein aashiqi samajh baithe
maut ko hi apni zindagi samajh baithe
waqt ka mazaak tha ya badnasibi humari
uski do baaton ko hi chahat samajh baithe..
Urdu |
00Hazaar tu rasm-o-raah chore, hazaar main zabt-e-shoq kar lu
magar mohabbat ka rabt-e-beham na tere bas mein, na mere bas mein..
Urdu |
20कुछ तो कर आदाब-ए-महफ़िल का लिहाज़
यार, ये पहलू बदलना छोड़ दे..
– वसीम बरेलवी
Hindi |
81Teri yaadein bhi tujh si zaalim hain Faraz
Jab dekhti hain tanha humein, sataane chali aati hain..
Urdu |
10Mere aaine mein ek shikast chehra hai
Munsif ke aas-paas ek ilzaam thehra hai
Bhanwar se jaan bachaake idhar aa gaye
Jahaan duur-duur tak bas ek sehra hai
Waar ko bhool jaayenge kisi roz, magar
Chot dil pe hai aur ghaav bhi gehra hai
Aankhon ki nami se dhundli hai nazar
Ya phir naseeb pe chhaaya kohra hai
Ab mere liye maqtal sajao
Suna hai qurbaaniyat ka anjaam sunehra hai.. - Anand HalveDetails:
shikast - defeated; Munsif - judiciary/judge; ilzaam - accusation
Bhanwar - whirlpool; Sehra - desert
Ghaav - wound
Kohra - mist, dhund
Maqtal - place of slaughter or execution
Urdu |
00Hum ko maloom the choron ke sab thikaane magar
Shareek-e-Juram na hote to mukhbari karte..
Urdu |
00यह जो धुआं उठा है ख़ाक से
कह रहा भुजती आग से
हुस्न के दरवाज़े पे
दीवाने जलते रहेंगे ..🌷
Yeh jo dhuan utha hai khaak se
keh raha bhujti aag se
husn ke darwaaze pe
deewane jalte rahenge..
Hindi |
10बंदा परवर मैं वो बंदा हूँ के बहर-ए-ज़िन्दगी,
जिसके आगे सर झुका दूंगा खुदा हो जाएगा..
- आज़ाद अंसारी
Urdu |
32Rone wale tujhe rone ka salika bhi nahi
ashq peene ke liye hain ya bahaane ke liye..
Urdu |
10Safar mein ain mumkin mein khud ko chor doon lekin
duaein karne walon ka sahara saath rehta hai
mere maula ne mujh ko chahton ki saltanat de di
magar pehli mohabbat ka khasara yaad rehta hai..
Urdu |
20Tum aankhon ki barsaat bachaaye hue rakhna,
kuch log abhi aag lagaana nahi bhoole,
yeh baat alag, haath kalam ho gaye apne,
hum apni tasveer banaana nahi bhoole,
hum apne buzurgon ka zamaana nahi bhoole,
dushman ko bhi seene se lagaana nahi bhoole,
ik umar hui main to hansi bhool chuka hun,
tum ab bhi mere dil ko dukhaana nahi bhoole..
Hindi |
♥ Recommended for You »
- Khile Phool Jaise Waise Labo Pe Hasi Ho Na Koi Ghum ..
- I Think One Of The Greatest Things About Marriage Is That ..
- Ajeeb Ittefaaq Hai Meri Har Baat Pe Woh Muskura Dete Hain ..
- Ek Ladka Larki Hotel Main Gaye Waiter Kya Loge? Larki ..
- Wxy Wxy Wxy Wxy Wxy Wxy Wxy Wxy Nahi Samajh Aaya ? Ulta Karke Dekho Jab ..
- A Monk Asked Tianping Congyi The Mountains Rivers And The Great ..
- Kabhi Kuch To Kisi Ke Waaste Dil Se Dua Kar ..
- It S Easy To Make A Buck It S A Lot Tougher To ..
- Kuch Iss Tarah Maine Zindagi Ko Aasan Kar Liya Kisi Se Maafi ..
- Life Is Full Of Choices And I Choose Happiness ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.