Yin-YangQi

ਪਉੜੀ ॥ ਜਿਉ ਜਿਉ ਤੇਰਾ ਹੁਕਮੁ ਤਿਵੈ ਤਿਉ ਹੋਵਣਾ ॥
ਜਹ ਜਹ ਰਖਹਿ ਆਪਿ ਤਹ ਜਾਇ ਖੜੋਵਣਾ ॥
{ਪੰਨਾ 523}



Punjabi |

DON ki talaash 11 mulkon ki police kar rahi hai,
par DON ko pakadna mushkil hi nahi naa-mumkin hai.
Aap khush- naseeb ho jo DON khud aapko Deepawali wish kar raha hai.
Happy Deepawali.

4515

Hindi |

Shaam-e-samandar, gham-e-vasl aur tanhaai,
dil ko teri yaad aa na jaaye..
Ret par reh na jaaye koi baaki nishaa,
chaand mein teri surat nazar aa na jaaye..
Giraft-e-bekhudi se hi kaayam hai maikadaa saare,
diljalo ki basti mein dilnasheen aa na jaaye..
Haayat ki ungaliyon par naachte hain hum,
guroor-e- naseeb zehen mein ab aa na jaaye..

20

Urdu |

Ki hoya je lag gayi usnu mehndi,
aapaan v sehra sajaawaange,
saanu pata si oh saade naseeb wich nahi,
hun usdi choti behen fasaawaange.

40

Punjabi

Taqdeer ne chaaha, taqdeer ne banaaya,
taqdeer ne humko tumse milaaya,
khushnaseeb the hum ya woh pal
jab tum sa anmol dost is zindagi mein aaya..

40

Hindi

Jo dost paas na hon,
woh dil ke kareeb hote hain.
Jinke paas dost na hon,
woh gareeb hote hain.
Jinke dost aap jaise hon,
woh khushnaseeb hote hain.

40

Hindi

Khuli jo aankhein to manzar ajeeb tha,
dard tha magar woh dil ke kareeb tha,
jinhe hum dhoondte the aathon ki lakiron mein,
woh to kisi aur ka naseeb tha..

73

Hindi |

Kuch patthron mein phool khil jaate hain,
kuch anjaane bhi apne ban jaate hain,
is kaatil duniya mein kuch laashon ko kafan naseeb nahi hota,
to kuch laashon par Taj Mahal ban jaate hain..

203

Hindi

Ek din Dukh ne Daulat se kaha.

Tum kitni Khushnasib ho,
hr koi Tumhe pane ki koshish krta hai aur main kitna Badnasib hu
ki har shaks dur bhagta hai.

Daulat boli: Khushnasib to tum ho jiske aane pr log khuda ko yaad karte hain,
aur badnaseeb to mai hu jise pakar aksar log khuda ko hi bhul jate hain!

188

Hindi

Na chaho itna humein,
chaahto se darr lagta hai,
na aao itna kareeb
ke judaai se darr lagta hai,
tumhaari wafaaon pe to bharosa hai magar
apne naseeb se darr lagta hai..

54

Hindi |

Yaa-rabb talafi karna mere gunaahon ki
shaayad kal ki subha mere naseeb mein na ho..

20

Urdu |

Ek umar ki judai mera naseeb kar ke
Woh to chal diya hai baatein ajeeb kar ke
Tarz-e-wafa ko us ki kya naam dun
Khud door ho raha hai mujhe qareeb kar ke..

10

Urdu |

Kaash dil ki aawaaz mein itna asar ho jaye
hum aapko yaad karein aur aapko khabar ho jaye
aaj khuda se itni hi dua hai
aap jo bhi chaahein woh aapke naseeb mein ho jaye..

61

Urdu |

Yeh raaste bhi ajeeb hote hain
bas apne apne naseeb hote hain
rehte hain jo nighahon se door
woh hi dil ke bahut kareeb hote hain..

40

Urdu |

Mere kabile mein kiss-se sunae jaate hain
naseeb bante nahi banaye jaate hain
baar baar batati hain ye aandhiya humein
charagh bhujte nahin bhujaye jaate hain..

20

Urdu |

Lagtaa nahi hai dil mera ujre dayaar mein
kiss ki baani hai aalame-naapaaidaar mein

Umar-e-daraaz maang kar laye the char din
do aarzoo mein kat gaye, do intezaar mein

Keh do in hasraton se kahiin aur jaa baein
itnii jagah kahaan hai dil-e-daaghdaar mein

Kitna hai badnaseeb zafar dafan ke liye
do gaz zameen bhi naa mili kue-yaar mein.. - Bahadur Shah Zafar, the last Mughal emperor

31

Urdu |

Mere aaine mein ek shikast chehra hai
Munsif ke aas-paas ek ilzaam thehra hai

Bhanwar se jaan bachaake idhar aa gaye
Jahaan duur-duur tak bas ek sehra hai

Waar ko bhool jaayenge kisi roz, magar
Chot dil pe hai aur ghaav bhi gehra hai

Aankhon ki nami se dhundli hai nazar
Ya phir naseeb pe chhaaya kohra hai

Ab mere liye maqtal sajao
Suna hai qurbaaniyat ka anjaam sunehra hai.. - Anand Halve

Details:
shikast - defeated; Munsif - judiciary/judge; ilzaam - accusation

Bhanwar - whirlpool; Sehra - desert

Ghaav - wound

Kohra - mist, dhund

Maqtal - place of slaughter or execution

10

Urdu |

खुश - नसीब होते हैं बादल
जो दूर रह कर भी
ज़मीन पर बरसते हैं
और एक हम हैं
जो एक ही दुनिया में रह कर भी
मिलने को तरसते हैं ..

Khush- naseeb hote hain baadal
jo door reh kar bhi
zameen par baraste hain
aur ek hum hain
jo ek hi duniya mein reh kar bhi
milne ko taraste hain..

50

Hindi |

Recommended for You »

  1. ऐ चाँद तुम किस मज़हब के हो ? ईद भी तेरी करवाचौथ भी तेरी ..
  2. Prevention Is Better Than Cure ..
  3. Halaat Mere Mujhse Na Maaloom Kijiye Muddat Hui Hai Mujhse Mera ..
  4. New Year Is The Perfect Time To Renew The Bond ..
  5. PYAR Means P Phone Karna Y Yaad Karna A Aazaadi ..
  6. An Investment In Knowledge Pays The Best Interest Benjamin Franklin ..
  7. Tujh Se Darkaar Mohabbat Hay Mohabbat Ke Ewaz Main Nahi Chaahta ..
  8. Few Friends Are Always With You So In Your Farewell Party If ..
  9. बहुत दिनों से थी आसमान ..
  10. Don’t Steal Don’t Lie And Don’t Cheat The Government Hates Competition ..

Share & Let Everyone Read









Draw shape below and click submit button to send us your message:
आओ खेलें

लाल बूढ़क्की छू..

anagram quiz

About Us


Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.

The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..



What's more


moderated-content-kids-safe

Moderated Content

Safe for people of all Age Groups including Children.
sms-api-always-win

API

Display SMS on your Website or Blog at Zero Cost.
rate-content

SMS Rating

Gives You Power to Rate Content.
« Stay In Touch »

Quality Improvement Initiative

Quality Improvement Program

On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.

Sample thumb screenshot

You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.