32Dard ke phool bhi khilte hain bikhar jaate hain
zakhm kaise bhi hon kuchh roz mein bhar jaate hain
rasta roke khadi hai yahee uljhan kab se
koi poochhe to kahien kya ki kidhar jaate hain
narm alphaz, bhali baatein, muhajjab lehze [polite]
pehli baarish mein hi ye rang utar jaate hain
us dariche mein bhi ab koi nahi aur ham bhi [khidki]
sar jhukaye huye chup-chap guzar jaate hain..
Urdu |
12Aankh se lahu na bahaya kar,
ae dil usay kabhi to bhool jaya kar,
dekhna woh ek din tujhe chhor jaega,
na tu usay itna sataya kar,
itna aitbaar bhi achcha nahi hota,
usay har ek baat ba bataya kar,
shiddaat-e-gham se seena phat paega,
aankh se kuch aansu bahaya kar,
us jaisa tujhe kahin mil nahi sakta,
hazaar baar roothay hazaar baar manaya kar..
Urdu |
84Jab Chote the
- Vikas Umrao
jor jor se rote the
jo pasand hota use pane ke liye..
jab bade hue
to chupke se rote hai
jo pasand hai use bhulane ke liye..
Hindi |
64Tanhaai na paaye koi mehfil ki raat ke baad,
judaai na paaye koi kisi ke saath ke baad,
na pade kisi ko aadat kisi ki itni..
ki har saans bhi aaye uski yaad ke baad.
Hindi |
70Mujhe dard-e- ishq ka mazaa maloom hai.
dard-e-dil ki intehaa maloom hai,
mujhe muskuraane ki dua na do yaaro,
mujhe pal bhar muskuraane ki sazaa maloom hai.
Urdu |
90Kaash kushiyon ki koi dukaan hoti,
humaari us-se pehchaan hoti,
bhar dete aapka daaman khushiyon se..
phir chaahe uski keemat humaari jaan hoti.
Hindi |
70Kisi se juda hona agar itna aasaan hota Faraz
to jism se rooh ko lene kabhi farishte na aate..
Urdu |
90pyaar hai to aansuon ki bhi shaan hoti hai,
pyaar na ho to mehfil bhi shamshaan hoti hai,
saara khel to pyaar ka hai..
warna janaaza aur baaraat ek samaan hoti hai.
Hindi |
21Agar bhigne ka itna hi shauq hai baarish mein,
to dekho na meri aankhon mein,
baarish to har ek ke liye hoti hai
lekin yeh aankhein sirf tumhare liye barasti hain..
Hindi |
50Unko khabar hai mere toote armaano ki,
aaj zaroorat padegi kaanch ke paimaano ki,
khaali na hone dena jaam yaaro,
yaad aa jaayegi warna fir se guzre zamaano ki.
Hindi |
224Hum rahe na rahe, un logon ko saza milni chahiye.
Yeh 2020 hai, Insaaf ki misaal honi chahiye.
Court tumhara, neta tumhara, thana tumhara
Magar kanoon ko bhi to gunjaaish honi chahiye.
Izzat se zindagi basar karne ki
humein bhi to ijaazat honi chahiye..
#JusticeForUnnao
Hindi |
51Koi chiraag jalaata hai deewane ke liye,
koi chiraag jalaata hai parwaane ke liye,
hum chiraag jalaate hain unke liye
jo humein bhulaaye baithe hain kisi begaane ke liye.
Hindi |
♥ Recommended for You »
- A Man Was Shouting At Me Today And I Was Thinking ..
- Yeh Yaad Hai Tumhaari Ya Yaadon Mein Tum Ho Yeh Khwaab Hain ..
- He Is Bad That Will Not Take Advice But He Is ..
- अगर तू है उम्दा सड़कें बनाने में दिखा कुछ हुनर ..
- Alcohol And Calculus Don T Mix Never Drink And Derive ..
- Whoever Said That Love Is Blind Was Limited To Stereoscopic Vision Love ..
- A Prayer Can Go Where I Can T Go Through Prayers I ..
- जाल परे जल जात बहि तजि मीनन को मोह ..
- Raah Chalte Agar Koi Ladki Aapko Bhai Bol De To ? ? Simple ..
- Age Is Nothing To Boast Of; You Get It For Nothing ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.