110Udasiyon ka yeh mausam badal bhi sakta tha,
woh chaahta to mere saath chal bhi sakta tha,
woh shakhs ke jise tu ne, chhorrne mein jaldi ki,.
tere mizaaj ke saanche mein dhal bhi sakta tha,
woh jald-baaz khafa ho ke chal dia werna,
tamam maslon ka koi hal nikal bhi sakta tha,
anaa ne haath uthaane hi na diye werna,
meri dua se woh pathar pighal bhi sakta tha,
tamaam umer tera muntazir raha woh ek shaks,
yeh aur baat ki woh rassta badal bhi sakta tha..
Urdu |
91Maine dil se poocha yaadon aur waadon mein kya faraq hai
jawab aaya waade insan torta hai aur yaadein insan ko tor daiti hain..
Urdu |
00Na ghubar mein na gulab mein mujhe dekhna
mere dard kee aab-o-taab mein mujhe dekhna
kisi dhun mein tum bhee jo bastiyon ko tyag dou
isee rah-e-khana-e-kharaab mein mujhe dekhna..
- Azeez Jehan (Ada Jafri)
modern-age First Lady of Urdu Poetry
Urdu |
00Zindagi tujh se har ik saans pe samjhauta karun
shauk jeenr ka hai mujh ko magar itna to nahi..
Urdu |
10Tujhe ye shauq ke mohabbat ki bheekh mangoon main
meri ye zidd ke taqaza mera usool nahin..
Urdu |
20आप तन्हाई में न बैठिए
कुछ और ना सही तो ग़िला कीजिए
थम सी जाती हैं धड़कने हमारी
ऐसे न सितम कीजिए ..
Hindi |
41Ye nashist kya hai raah mein, terey zauq-e- ishq ko kya huwa
abhi chand kaantey chubhey nahi ke sab iraadey badal gaye..
Urdu |
00Kabr ki mitti utha ke le gaya koi
isi bahaane choo kar chala gaya koi
tanhai mein khush the hum to lekin
fir se intezaar karne ki
wajah de gaya koi..
Hindi |
62Tanhaaion mein baith kar kya sochte ho tum
hum ko bhi kuch batao pareshaan hum bhi hain..
Urdu |
10Isse pahle ke hawaa shor machaane lag jaaye,
Mere Allah, Meri khaak tthikaane lag jaaye
Ghere rahte hai.n kaii khwaab meri aankho.n ko,
Kaash kuchh der mujhe neend bhi aane lag jaaye
Saal bhar Eid ka rastaa nahi dekha jaata,
Woh gale mujhse kisi aur bahane lag jaye
- Dr. Rahat Indori
Urdu |
10Mujrim nahi fir bhi sazaa-yaafta hun
is shehar mein gunaahgaar koi aur bhi hai..
Urdu |
11Isi khayal se aansoo chupaa liye humne
udaas reh ke kisi ko udaas kya karna..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Stop Trying To Perfect Your Child But Keep Trying To Perfect ..
- दुनिया एक तरफ और तू एक तरफ क्योंकि तू मेरी परी ..
- Someone Asks Santa What Is The Meaning Of मन्नू ..
- Indian Air Force IAF Pilots Training Camp Advice Always Try ..
- Har Ilzaam Ka Haqdaar Woh Humein Banaa Jaate Hain Har Khata ..
- Better Is The Enemy Of Good ..
- Taaiji To Bachcha Kal Brekfast Mein Hum Kya Khaaenge? Bachcha Aaloo Ke ..
- Life Is Pleasant Death Is Peaceful It S The Transition That S Troublesome ..
- Sometimes The Road Travelled Turns Out To Be More Beautiful Than The ..
- Advice After Mischief Is Like Medicine After Death ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.