Chalo so jaate hain ab phir kisi sach ki talaash mein,
ki subha phir is jhooti duniya ka deedar karna hai..

10

Hindi |

mani_46_shayari.jpg

Duniya se dil laga kar
Duniya se kya milega
yaad-e- khuda kiye ja
tujhko khuda milega..

daulat ho ya hukumat
taakat ho ya jawaani
har cheez mitne waali
har cheez aani jaani
yeh sab guroor ik din
mitti mein jaa milega
yaad-e- khuda kiye ja
tujhko khuda milega..

aataa nahi palat kar
guzra hua zamaana
kya khwaab ka bharosa
kya maut ka thikaana
yeh zindagi ganwaa kar
kya faayeda milega
yaad-e- khuda kiye ja
tujhko khuda milega..

72

Urdu |

Hasti ko mohabbat main fanha kaun karega
Yeh faraz zamaane main adaa kaun karega
Haathon ki lakeeron ko zara dekh najoomi
Yeh dekh mere saath wafa kaun kerega..

40

Urdu |

Bana diya hai zamaane ne dil ko patthar kaa
sataaye koii bhii mujh ko rula nahiin sakataa..

30

Urdu |

Itni shiddat se tumko paane ki koshish ki hai
ke zarre-zarre ne tumse, milane ki saazish ki hai..

11

Urdu |

mani_47_shayari.jpg

Doobne ko laazame nahi ho koi tondie toofan
ek halki mauj bhi dabo deti hae safeene aksar..

00

Urdu |

Log muntazir hi rahe ke humein toota dekhein
hum zabt kart-karte pathar ke ho gae..

20

Urdu |

Mere kabile mein kiss-se sunae jaate hain
naseeb bante nahi banaye jaate hain
baar baar batati hain ye aandhiya humein
charagh bhujte nahin bhujaye jaate hain..

20

Urdu |

Adawat hai na nafrat hai khuda ke waaste aa jaa,
mujhe tujh se mohabbat hai khuda ke waaste aa jaa,
bina khusboo kisi gul ki koi keemat nahi hoti,
mujhe teri zarurat hai khuda ke waaste aa jaa,
kisi ko kaise doon main yeh bina teri ijaazat ke,
yeh dil teri amaanat hai khuda ke waaste aa jaa..

20

Hindi |

Halaat mere mujhse na maaloom kijiye,
muddat hui hai mujhse mera wasta nahi..

10

Urdu |

Tumhein khabar hi nahi ke koi toot gaya
mohabbaton ko bahut paa-e-daar karte hue..

11

Urdu |

shayari.jpg

Kuch apni galtiyon ka azala karo Wasi ,
yun nafraton ko dil mein pala na karo Wasi ,
seedha sa ik sawal hai seedha jawab do,
yun muskura ke mujh ko na tala karo Wasi ,
alfaz gira dete hein jazbat ki qeemat,
jazbat ko lafzon mein na dhala karo Wasi ,
sambhle hue logon ke girne ki fikr choro,
jo gir rahe hain unko sambhala karo Wasi ..

20

Urdu |

Recommended for You »

  1. Rangon Se Bhari Shaam Ho Jaaye Saare Rang Aapke Naam Ho ..
  2. It Is Natural To Die As To Be Born ..
  3. Sagar Se Dosti To Kinaare Bhi Nahi Karte Aajkal To Wafa ..
  4. Some Men Go Through A Forest And See No Firewood ..
  5. Don T Have Too Many Irons In The Fire ..
  6. Santa Aaj Mere Paas Paisa Hai Business Hai Bangla Hai Tere Paas ..
  7. Bas Yahi Shikwa Raha Mera Huzoor Se Woh Dosti Bhi Nibhate ..
  8. Friends In Heart Are The Worst Tenants They Capture The Heart Don T ..
  9. Aa Bhi Jaao Ki Zindagi Kam Hai Tum Nahin Ho To ..
  10. Doctor At Door To Butler Tell Your Master The Doctor ..

Share & Let Everyone Read









Draw shape below and click submit button to send us your message:
आओ खेलें

लाल बूढ़क्की छू..

anagram quiz

About Us


Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.

The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..



What's more


moderated-content-kids-safe

Moderated Content

Safe for people of all Age Groups including Children.
sms-api-always-win

API

Display SMS on your Website or Blog at Zero Cost.
rate-content

SMS Rating

Gives You Power to Rate Content.
« Stay In Touch »

Quality Improvement Initiative

Quality Improvement Program

On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.

Sample thumb screenshot

You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.