Yadon ke phool sookh na jaayein isi liye
aankho ko ashk-baar kia hai kabhi kabhi
humse junoon-e- ishq ka aalam na poochiye
khud apna intezaar kia hai kabhi kabhi..

40

Urdu |

mani_46_shayari.jpg

हवा के साथ उड़ गये घर परिंदे का,
कैसे बना था घोसला वो तूफान क्या जाने..

- Ali
20

Hindi |

Taras jaoge tum mehfil-e-wafa ke liye
kisi se pyaar na karna Khuda ke liye
jab lagegi ishq ki adalat ek din
tumhi chune jaoge sazaa ke liye..

30

Urdu |

Hum nahi ae baad-e-saba teri karam ke mohtaaj
hum to khushbu hain bikharne ka hunar rakhte hain..

20

Urdu |

Woh kaise log hain yaa-rabb jin-hone paa liya tujh ko
hume to ho gaya dushwaar ek insaan ka milna..

40

Urdu |

mani_47_shayari.jpg

Kisi ki kya majal thi jo koi hum ko kharid sakta Faraz ,
hum to khud hi bik gae khareed-daar dekh ke..

40

Hindi |

Har taraf dhund hai, jugnu hai na charag koi,
Kaun pehchanega, basti mein agar jaaoonga..

24

Hindi |

Phir paish-e-nazar surat-e-mehtab hai koi
ya meri nigahon mein naya khawab hai koi
yeh baat garaan khawab ko ab kaun bataye
tere liye is raat mein be-khawab hai koi
palkon pe jo roshan hai sar-e-sham-e-tamanna
woh ashk nahi gohar-e-nayaab hai koi
yeh sirf karishma hai meri chashm-e-talab ka
sehra mein kahan gulshan-e-shadaab hai koi
nawaqif-e-adaab-e- mohabbat ko khabar kya
kab se raah-e-umeed mein betaab hai koi..

00

Urdu |

Humari saltanat mai zara soch ke kadam rakhna
humari muhabbat ki qaid mai zamaanat nahi hoti..

40

Urdu |

Yun bikharti hain kaakulein uski
jaise sailaab-e-noor aata hai..

Details:
kaakul - strand of hair

00

Urdu |

Kiss-se teri nazar ne sunaaye na phir kabhi
hum ne bhi dil ke daag dikhaaye na phir kabhi
ae yaad-e- dost aaj tu ji bhar ke dil dukhaa
shaayad ye raat hijr ki aaye na phir kabhi..

20

Urdu |

shayari.jpg

Woh mujhe bhoolne ki fikr mein hain
yeh meri fateh hai shikast nahi
baar baar apni wafaon ki kahani na suna
hum wafaon ke maulwi hain kharidaar nahi..

30

Urdu |

Recommended for You »

  1. I May Not Be The Most Important Person In Your ..
  2. Gaur Se Dekha To Paaya Ki Zindagi Ka Falsafa Ya To Kash M Kash ..
  3. He Who Thinks Too Much About Every Step He Takes Will ..
  4. इत्तेफ़ाक़ रखते हैं आपसे कि उर्दू हमें आती नहीं पर ..
  5. When You Don T Know Why You Love Yes Then You Are ..
  6. Aaj Fir Tootengi Tere Ghar Ki Nazuk Khirkiyan Aaj Ek Deewana ..
  7. May God Love You So Much That He Turns His Ear ..
  8. Halaat Mere Mujhse Na Maaloom Kijiye Muddat Hui Hai Mujhse Mera ..
  9. नाराज़ हो सकते हैं वो हमसे पर लौट कर ज़रूर ..
  10. We Are Warriors Of Light And Destiny Is Only Byproduct Of Our ..

Share & Let Everyone Read









Draw shape below and click submit button to send us your message:
आओ खेलें

लाल बूढ़क्की छू..

anagram quiz

About Us


Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.

The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..



What's more


moderated-content-kids-safe

Moderated Content

Safe for people of all Age Groups including Children.
sms-api-always-win

API

Display SMS on your Website or Blog at Zero Cost.
rate-content

SMS Rating

Gives You Power to Rate Content.
« Stay In Touch »

Quality Improvement Initiative

Quality Improvement Program

On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.

Sample thumb screenshot

You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.