70Dolat-e-dard ko duniya se chupa kar rakhna
aankh main boond na ho dil mein dariya rakhna..
Urdu |
10Nafraton ka nisaab pad kar mohabbaton ki kitaab likhna
bahut katthin hai khizaan ke maathey pe daastaan-e-gulaab likhna..
Urdu |
10Halaat mere mujhse na maaloom kijiye,
muddat hui hai mujhse mera wasta nahi..
Urdu |
10Sunana sahil pe ja ke wafa ke fasaane magar
kabhi kirnon ka raet par paighaam na likhna..
Urdu |
20Hum nahi ae baad-e-saba teri karam ke mohtaaj
hum to khushbu hain bikharne ka hunar rakhte hain..
Urdu |
30Us ko Chaha bhi to izhaar karna nahi aaya
Kat gai umar magar pyaar karna nahi aaya
Us ney manga bhi agar kuch to judaai mangi
Aur hum thay ke hum ko inkaar bhi karna nahi aaya..
Urdu |
24Har taraf dhund hai, jugnu hai na charag koi,
Kaun pehchanega, basti mein agar jaaoonga..
Hindi |
10Toot na jaaye tujh par mere pyaar ki shiddat Faraz
tu samandar ki tarha khamosh na raha kar..
Urdu |
00यह जो धुआं उठा है ख़ाक से
कह रहा भुजती आग से
हुस्न के दरवाज़े पे
दीवाने जलते रहेंगे ..🌷
Yeh jo dhuan utha hai khaak se
keh raha bhujti aag se
husn ke darwaaze pe
deewane jalte rahenge..
Hindi |
00Kiya sada dilee hai keh giriftaar-e- mohabbat
Karte hain qafas main par-o-parwaaz ki baatein..
Urdu |
00Shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
jagmagati jaagati sarkooN peh aawara phriooN
ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN
Aye gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti hui shamsheer si
ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN
yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal
jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal
aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi
jane kis ki gaud meiN aai yeh moti ki laRi
hook si seenay meiN uThi chaut si dil per paRi
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal
phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal
yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
har taraf hei bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN
baRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN
ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN
raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN
laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN
aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay
ab bi jane kitne dervazay heiN waa mere liay
per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei ab ahd-e-wafa bi toR dooN
un ko paa sakta hooN yeh aasra bi chhoR dooN
haaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bi toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN
mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN
zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei murda chaand taray nauch looN
iss kinare nauch looN us kinare nauch looN
eik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane
saikaRoN changez-o-naadir haiN nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
le ke eik eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN
taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN
koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
baRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN
iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN
takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN
ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
-Majaz Lakhnawi
Urdu |
00Dil le ke mera dete ho daagh-e-jigar mujhe
yeh baat bhoolne ki nahi umar bhar mujhe..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Second Thoughts Are The Best ..
- Ek Dost Ek Dost Ke Liye Kya Hota Hai Shaayad Pyaar ..
- A Cat And A Wanderer Met Halfway Down The Road So Who ..
- Hum Jee Rahe The Unka Naam Lekar Woh Guzarte The Hamara ..
- May Your World Be Filled With Warmth And Good Chear This Holy ..
- Bina Libaas Aaye The Hum Is Jahaan Mein Faqat Ik Qafan Ki ..
- Earth Is Just Like Any Other Planet In The Universe It ..
- One Beam No Matter How Big Cannot Support An Entire House ..
- Perseverance Is Not A Long Race; It Is Many Short Races ..
- Tere Ashkon Mein Dhal Ke Aaonga Ab Main Soorat Badal Ke ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.