30Hum jee rahe the unka naam lekar
woh guzarte the hamara salaam lekar
ek din woh keh gaye bhula do humko
humne poocha kaise
woh chale gaye haath mein jaam dekar..
Urdu |
20Kissi ko ghar mila hisse mein ya koi dukaan aayi
Main ghar main sabse chota tha mere hisse meinn Maa aayi..
Urdu |
100Hum har roz udaas hote hain aur shaam guzar jaati hai
kisi roz shaam udaas hogi aur hum guzar jaayenge..
Urdu |
10Har nazar nazar mein ek kashish hoti hai,
har dil mein ek chahat hoti hai,
mumkin nahi har ek ke liye Taj Mahal banana,
par har dil mein ek Mumtaz zaroor rehti hai..
Hindi |
00Shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
jagmagati jaagati sarkooN peh aawara phriooN
ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN
Aye gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti hui shamsheer si
ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN
yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal
jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal
aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi
jane kis ki gaud meiN aai yeh moti ki laRi
hook si seenay meiN uThi chaut si dil per paRi
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal
phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal
yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
har taraf hei bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN
baRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN
ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN
raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN
laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN
aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay
ab bi jane kitne dervazay heiN waa mere liay
per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei ab ahd-e-wafa bi toR dooN
un ko paa sakta hooN yeh aasra bi chhoR dooN
haaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bi toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN
mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN
zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei murda chaand taray nauch looN
iss kinare nauch looN us kinare nauch looN
eik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane
saikaRoN changez-o-naadir haiN nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
le ke eik eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN
taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN
koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
baRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN
iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN
takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN
ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
-Majaz Lakhnawi
Urdu |
00Gul-e-nargis kaa guldastaa badast-e-gair kyun bheja
agar aankhein dikhani thi to khud aa kar dikhaa jaate..
Urdu |
21Mohabbat kar ke dekhi to Mohabbat ko pehchana hai
Wafa to naam ki hai Bewafai ka Fasaana hai..
Urdu |
20Ye adaa-e-beniyaazii tujhe bewafa mubaarak
magar aisi bhi be-rukhii kya ke salam tak nahi..
Urdu |
20Juda huye hain bahut log ik tum bhi sahi,
ab itni si baat pe kya zindagi haraam karein.. - Nasir Kazmi
Hindi |
00Phir paish-e-nazar surat-e-mehtab hai koi
ya meri nigahon mein naya khawab hai koi
yeh baat garaan khawab ko ab kaun bataye
tere liye is raat mein be-khawab hai koi
palkon pe jo roshan hai sar-e-sham-e-tamanna
woh ashk nahi gohar-e-nayaab hai koi
yeh sirf karishma hai meri chashm-e-talab ka
sehra mein kahan gulshan-e-shadaab hai koi
nawaqif-e-adaab-e- mohabbat ko khabar kya
kab se raah-e-umeed mein betaab hai koi..
Urdu |
00Kya batain piyaar ki bazi wafa ki raah mein
Kaun jeeta kaun hara ye kahaani phir sahi
Nafraton kr teer kha kar doston ke shehar mein
Humne kis-kis ko pukara yeh kahani phir sahi..
Urdu |
20Mere hisse ki zameen banjar thi main waqif na thaa
be-sabab mein ilzaam main detaa rahaa barsaat ko..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- दोस्तों की कमी नहीं आज हर Mobile में Installed Facebook और ..
- Hum Sa Aehl E Dil Tujhe Kahan Milega Jo Tere Sitam Bhi Sahe ..
- Chale Gaye Ho Dooor Kuch Pal Ke Liye Dooor Rehkar Bhi ..
- We Are What Our Thoughts Have Made Us; So Take Care ..
- Bheegi Palko Ke Sang Muskuraate Hain Hum Pal Pal Dil Ko Behlaate ..
- First Time Experience Of Anything You Do As A Child Or ..
- हजारों खिज्र पैदा कर चुकी है नस्ल आदम की ये सब ..
- One Must Learn The Art Of Balancing Of Living In The ..
- If You Have Much Give Of Your Wealth; If You Have ..
- Our Body Is The Bodhi Tree And Our Mind A Mirror Bright Carefully ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.