20Udaas dil ka thikana kisi ko kahan maaloom
hum apne aap se bichrre to phir jaane kahan honge..
Urdu |
21Mar kar bhi tha khaak na asudah huye aah!
Ae ishq na the ham tere anjaam se vaaqif.. - Nazeer Akbarabadi
Urdu |
21Har tarike se bhulana chaha magar,
har khayal se paida, tera khayal hota hai..
Hindi |
20Seene mein chupaye rakhna meri yadon ke ujaale
na jaane kis gali mein, zindagi ki shaam ho jaye..
Urdu |
10Tum ko chahte hue bhi bhool jana acha laga
Aansu ko chupa kar muskurana acha laga
Tum ajnabi the mere liye magar apna jaan kar acha laga
Pehchan to ik pal ki thi, magar sadiyon se jaan kar acha laga..
Urdu |
10Ek umar ki judai mera naseeb kar ke
Woh to chal diya hai baatein ajeeb kar ke
Tarz-e-wafa ko us ki kya naam dun
Khud door ho raha hai mujhe qareeb kar ke..
Urdu |
42जंगल है यहाँ भेस बदल कर रहा करो,
दोस्तों दुनिया है, संभल कर रहा करो,
रिश्तों के बाग़ तुमको खिलाने का शौक़ है,
तो दिल के सारे फूल कुचल कर रहा करो.
आंसू कभी आये तो पत्थर बना करो,
आंसू कभी देखो तो पिघल कर रहा करो,
मेरी तरह "असीम" नाम रखने से क्या होगा,
मेरी तरह ही हद से निकल कर रहा करो..
Hindi |
01Main ek aansu hi sahi hun buhat anmool magar
yun palkon se laga kar mujhe matti mein na milaa..
Urdu |
10Tu mera dard jab barhata hai
jane kya dil sakoon pata hai
ishq main har asaasa lutt jaye
tab kahain jaa ke chain aata hai..
Urdu |
20Gull shaakh se bicchre to kahi ka nahi rehta Wasi
Tum khud ko juda meri zaat se kuch soch ke karna..
Urdu |
30Na hota maikhana to deewane kahan jaate
na hota saaqi to paimaane kahaan jaate
Sari duniya mein agar andhere hi hote
yeh batao ke fir hum parwaane kahan jaate
Sabhi ko agar sab apne chahne wale mil jaien
socho aise mein fir yeh begaane kahan jaate
Na hoti teri gali to ae jaan-e-wafa
hum deewane raat bitane kahan jaate
Yeh mehfil hi apne liye ghaneemat hai yaaro
yeh na hoti to fir apni ghazal sunane kahan jate
Maikada hi apne liye hai behter warna tu ae Sagar
Fir dil ke dardon ko chuphane kahan jaate..
Urdu |
00Mana ki is zameen ko na gulzaar kar sake,
kuch khaar kam hi kar gaye guzre jidhar se hum..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- आत्मा अकेले आती है अकेले चली जाती है न कोई उसका ..
- Never Reject Any Day In Your Life Because A Good Day ..
- Delight Now Your Children Grandchildren Godchildren Your Friends Your Business Partners And Yourself With 100 ..
- Zindagi Main Bhi Musaafir Hoon Teri Kashti Ka Tu Jahan Mujhse ..
- हर रंग एक एहसास है थोड़ा महसूस कीजिए होली का ..
- One Afternoon Banta Came To Santa S Home Santa Chalo Dinner Karte ..
- Do You Know Why There Are So Many Shooting Stars ? It S Because ..
- Be Strong Enough To Sccept The Challenges Of Life Never Ask ..
- Saying “Thank You” Is More Than Good Manners It Is Good ..
- TT BABA Kaha Jaoge? Sadhu Jaha Ram Ka Janma ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.