01Kuch aise dost meri nighah mein hain qatil
ke mujh ko jis se baaz rakhein khud usi pe marte hain..
Urdu |

01Pehlu se dil ko le ke voh kehte hain naaz se
Kya aayenge ghar mein aap hi jab mezban na ho.. - Lala Madhur Ram Jauhar
Urdu |
30Husn waale wafaa nahi karte
daulat mand log dua nahi karte
hum qalander mijaaz hain
kisi ke liye bad- dua nahi karte..
Urdu |
04Tumne nafart se jo dekha to mujhe yaad aaya
kaise bandhan teri khaatir yun hi tor aaya hun
kitne dhundle hain ye chehre jinhe apnaya hai
kitni ujli thi woh aankhen jinhen chor aaya hun..
Urdu |
20हवा के साथ उड़ गये घर परिंदे का,
- Ali
कैसे बना था घोसला वो तूफान क्या जाने..
Hindi |

30Nikalna khuld se Adam ka sunte aaye the lekin
Bade beabru hokar tere kuche se ham nikle.. - Mirza Asadullah Khan Ghalib
Urdu |
21Aye mere humnashin ab kahin aur chal
iss chaman mein humara guzara nahin
baat hoti gulon ki to seh lete hum
ab to kanton pe bhi hak hamara nahin
ji mein ata hai ki tera sazda karun
iss tarhan maine tujhko pukara nahin
thokarein yun khilane se kya fayda
saaf kehdo ki milna gavara nahin
ehle gulshan ko khoon ki zarurat padi
sabse pehle humari gardan kati
phir bhi kehte hain humko ye ehle chaman
ye chaman hai humara tumhara nahin
aaj aaye ho kal tum chale jaoge
ye mohabbat ko apni gavara nahin
umr bhar ka sahara bano to bano
char din ka sahara sahara nahin
zalimon apni kismat pe nazan na ho
daur badlega ye waqt ki baat hai
wo yakinan sunega sadayein meri
kya tumhara khuda hai humara nahin
- zalimon
Hindi |
20Zindagi mein bahut kam milli hai Faraz
woh cheez jise shiddat se chaaha maine..
Urdu |
41Ye toh nahi kay gham nahi
Haan magar aankh num nahi
Khushiyon ka dukaan-daar ye bola
Zinda ho, ye kiya kam nahi..?
Urdu |
00Aa ke le ja meri aankh ka pani mujh se
kyun hasad karti hai daryaon ki rawani mujh se
gosht nakhun se alag kar ke dikhaya maine
uss ne pooche the judaai ke maine mujhse..
Urdu |
00Duniya ne teri yaad se begana kar diya
Tujh se bhi dil-faraib hain gham rozgaar ke..
Urdu |

00Shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
jagmagati jaagati sarkooN peh aawara phriooN
ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN
Aye gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti hui shamsheer si
ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN
yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal
jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal
aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi
jane kis ki gaud meiN aai yeh moti ki laRi
hook si seenay meiN uThi chaut si dil per paRi
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal
phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal
yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
har taraf hei bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN
baRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN
ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN
raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN
laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN
aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay
ab bi jane kitne dervazay heiN waa mere liay
per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei ab ahd-e-wafa bi toR dooN
un ko paa sakta hooN yeh aasra bi chhoR dooN
haaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bi toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN
mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN
zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei murda chaand taray nauch looN
iss kinare nauch looN us kinare nauch looN
eik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane
saikaRoN changez-o-naadir haiN nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
le ke eik eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN
taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN
koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
baRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN
iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN
takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN
ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
-Majaz Lakhnawi
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Sardaarji Aapko Logo Ne Kyon Maara ? Sardaar Arrey Yaar Meri Photo ..
- Due To Its Inherent Nature Mind Can Either Be Linked To This ..
- Faithful Husbands Will Go Straight To Heaven Rest Enjoy Heaven Here ..
- बेड़ियों में कैदी हाथ में चाबी जाए तो ख़िलाफ़त रुके ..
- Jab Raat Ko Neend Na Aaye Dil Ki Dhadkan Bhi Badh ..
- Who Said English Is Easy? Fill In The Following 1 ..
- Hasti Thi Hasti Thi Baalon Ko Lehraati Thi Dekh Kar Sharmati Thi Kuch ..
- You Don T Have To Be Perfect To Let Somebody Love You Being ..
- Rango Ke Tyohar Mein Sabhi Rango Ki Ho Bharmar Dher Saari ..
- ਪ੍ਰਮਾਤਮਾ ਦੇ ਘਰ ਦੇਰ ਜਰੂਰ ਆ ਪਰ ਅੰਧੇਰ ਨਹੀਂ ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.