20Mujhe pasand tha har jhooth usske honton se
Woh sach na bolta mujh se tau kitna accha tha..
Urdu |
21Ghamon se anjaan tha main
aaj ghamon ki mehfil sajaaye baithe hain tere pyaar mein..
Urdu |
20Mere hisse ki zameen banjar thi main waqif na thaa
be-sabab mein ilzaam main detaa rahaa barsaat ko..
Urdu |
10हुई चाँद से ख़िलाफ़त
आसमां छोड़ दिया
कैसे सफ़र हुआ
ये हम जानें या रास्ता ..💐
Hindi |
10उम्र तो सारी कटी इश्क़-ए-बुताँ में 'मोमिन'
आख़िरी वक़्त में क्या ख़ाक मुसलमाँ होंगे।
- मोमिन ख़ाँ मोमिन
Hindi |
30Patthar mujhe kehta hai mera chaahne-wala
Main moum hun uss-ne mujhe choo kar nahi dekha
Woh meri masaael ko samajh hi nahi sakta
Jis ne meri aankhon mein samander nahi dekha..
Urdu |
72Duniya se dil laga kar
Duniya se kya milega
yaad-e- khuda kiye ja
tujhko khuda milega..
daulat ho ya hukumat
taakat ho ya jawaani
har cheez mitne waali
har cheez aani jaani
yeh sab guroor ik din
mitti mein jaa milega
yaad-e- khuda kiye ja
tujhko khuda milega..
aataa nahi palat kar
guzra hua zamaana
kya khwaab ka bharosa
kya maut ka thikaana
yeh zindagi ganwaa kar
kya faayeda milega
yaad-e- khuda kiye ja
tujhko khuda milega..
Urdu |
10Ek umar ki judai mera naseeb kar ke
Woh to chal diya hai baatein ajeeb kar ke
Tarz-e-wafa ko us ki kya naam dun
Khud door ho raha hai mujhe qareeb kar ke..
Urdu |
20Mustaqil mujhi ko dekhti rehti hain
apni nazar pe zara nazar rakhiye janaab..
Urdu |
00Theher-theher ki bahut dilkusha hai yeh manzar,
zaraa main dekh to lu taabnaki-e-shamsheer..
- IqbalDetails:
taabnaki-e-shamsheer - shine of sword (talwaar ki chamak)
Urdu |
00Shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
jagmagati jaagati sarkooN peh aawara phriooN
ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN
Aye gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti hui shamsheer si
ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN
yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal
jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal
aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi
jane kis ki gaud meiN aai yeh moti ki laRi
hook si seenay meiN uThi chaut si dil per paRi
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal
phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal
yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
har taraf hei bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN
baRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN
ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN
raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN
laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN
aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay
ab bi jane kitne dervazay heiN waa mere liay
per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei ab ahd-e-wafa bi toR dooN
un ko paa sakta hooN yeh aasra bi chhoR dooN
haaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bi toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN
mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN
zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei murda chaand taray nauch looN
iss kinare nauch looN us kinare nauch looN
eik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane
saikaRoN changez-o-naadir haiN nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
le ke eik eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN
taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN
koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
baRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN
iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN
takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN
ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
-Majaz Lakhnawi
Urdu |
30Bichar kar khat bhi na likha udaas yaaron ne
kabhi kabhi ki adhoori mulaqaat se bhi gaye..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Your Absence Should Be Long Enough So That Somebody Misses ..
- How A Rishi Can Distinguish When All Is Odd Yet Everything ..
- Ek To Aap Sharmaate Bahut Ho Agar Baat Kare Koi To ..
- Man Masters Nature Not By Force But By Understanding Jacob ..
- Dr To Patient S Friend Agar Ek Ghanta Pehle Le Aate To ..
- केवल वह व्यक्ति जो भय को पार कर चुका है समता ..
- ਲੰਬੀਆਂ ਉਮਰਾਂ ਤੇ ਨਾਲ ਵਸੇਰੇ ਮੌਜ਼ ਬਹਾਰਾਂ ਆਵਣ ਨੇੜੇ ਜਿੰਦ ..
- Haathon Parbat Faadte Samundar Ghoont Bharaaye Te Munivar Dharti Gale Ka ..
- तेरे तीर निशाने पर लगे फिर आज इक शख्स हमें ..
- Kitni Jaldi Yeh Mulaaqat Guzar Jaati Hai Baarish Hoti Nahi Barsaat ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.