Wo ashak ban ke meri chasm-e-tar mein rehte hain
Ajeeb shaks hain paani ke ghar mein rehte hain..

00

Urdu |

mani_46_shayari.jpg

Kissi ko ghar mila hisse mein ya koi dukaan aayi
Main ghar main sabse chota tha mere hisse meinn Maa aayi..

20

Urdu |

Be-Faida hai Zeest main Ahbaab ka hajoom
Ho pekar-e-Khaloos to kaafi hai ek shakhs..

82

Urdu |

मदहोश मत करो मूझे अपना चेहरा दिखा कर.
मोहब्बत अगर चेहरे से होती तो खूद़ा दिल ना बनाता..!

- Ranjit
61

Hindi |

Is saadgi pe kaun na marr jaaye ae khuda
ladte hain aur haath mein talwar bhi nahin..

13

Hindi |

mani_47_shayari.jpg

Thukra ke usne mujhko kaha ke muskurao
main hans diya aakhir sawaal uski khushi ka tha
maine khoya woh jo mera tha hi nahi
usne khoya woh jo sirf uss ka tha..

10

Urdu |

Kabhi nadi kabhi sehra dikhai deta hai
tumhari aankon mein kya-kya dikhai deta hai
main kya bataaun abhi kaun paas se guzra
har ek chehra tujh sa dikhai deta hai..

30

Urdu |

Fasal-e-khizan main phool khushi ke kihlaaye hain
hum intahay-e-karab main bhi muskuraye hain
saabit kadam rahe hain masayeb ke ru-ba-ru
hum imtehaan-e-zeesat main awwal hi aaye hain..

10

Urdu |

Haadse kya-kya tumhaari berukhi se ho gaye
saari duniya ke liye hum ajnabi se ho gaye

kuch tumhaare gesuon ki berehemi ne kar diye
kuch andhere mere ghar ki roshni se ho gaye

banda-parvar khul gayaa hai aastaanon ka bharam
aashnaa kuch log raaz-e-bandagi se ho gaye

gardish-e-dauraan zamaane ki nazar aankhon ki neend
kitne dushman ek rasm-e- dosti se ho gaye

yun to hum aagaah the sayaad ki tadabir se
hum asiir-e-dum-e-gul apni khushi se ho gaye

ab kahaan ae dost chashm-e-muntazir ki aabaru
ab to unke ahad-o-paimaan har kisi se ho gaye

har kadam "Sagar" nazar aane lagi hain manzilein
marhale kuch tae meri aavaaragi se ho gaye..

Details:
haadse = accidents/misfortunes
berukhi = indifference
gesu = hair
berehemi = disorder
aagaah = forewarned
sayaad = hunter
tadabir = arrangement
asiir = prisoner
chashm = eye
muntazir = waiting
ahad-o-paimaan = promises
marhale = difficult work/journey

10

Urdu |

Kehti hai meri kabr pe ro ro ke mohabbat "Faraz"
yun khaak mein milte huye armaan nahi dekhe..

50

Hindi |

Mohabbat mein Jigar guzre hain aise bhi maqam aksar
Ke khud lena padha hai apne dil se inteqaam aksar.. - Jigar Moradabadi

30

Urdu |

shayari.jpg

Aaj hum unko bewafa bata kar aaye hain
unke khaton ko paani mein baha kar aaye hain
koi nikaal kar padh na le unhein
iss liye paani mein bhi aag lagaa kar aaye hain..

12

Urdu |

Recommended for You »

  1. You Are Who You Will Be 5 Years From Now Except ..
  2. Is Se Pehle Ki Is Varsh Ka Antim Suraj Ast Ho Isse ..
  3. Rahon Ki Zehmaton Ka Tujhe Kya Saboot Doon Manzil Mili To ..
  4. Itni Jaldi Daaman Chod Diya Itni Jaldi Vaada Tod Diya Abhi To ..
  5. Couple In Theatre Husband Darling Mujhe To Tumhaari Aatma Se Pyaar ..
  6. कई राज़ ऐसे होते हैं जो बोले नहीं जाते कई ..
  7. Mohabbat Ek Se Ho To Bholapan Hai Do Se Ho To ..
  8. Woh Dil Hi Kya Tere Milne Ki Jo Dua Na ..
  9. Hum Gaye Unki Gali Mein Bole Dil Se Dil Laga Lo Jab ..
  10. I Take My Wife Everywhere But She Keeps Finding Her ..

Share & Let Everyone Read









Draw shape below and click submit button to send us your message:
आओ खेलें

लाल बूढ़क्की छू..

anagram quiz

About Us


Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.

The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..



What's more


moderated-content-kids-safe

Moderated Content

Safe for people of all Age Groups including Children.
sms-api-always-win

API

Display SMS on your Website or Blog at Zero Cost.
rate-content

SMS Rating

Gives You Power to Rate Content.
« Stay In Touch »

Quality Improvement Initiative

Quality Improvement Program

On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.

Sample thumb screenshot

You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.