Woh kaise log hain yaa-rabb jin-hone paa liya tujh ko
hume to ho gaya dushwaar ek insaan ka milna..

40

Urdu |

mani_46_shayari.jpg

Ye toh nahi kay gham nahi
Haan magar aankh num nahi

Khushiyon ka dukaan-daar ye bola
Zinda ho, ye kiya kam nahi..?

41

Urdu |

Mitti na di mazaar talak aake, us par bhi
Kehte hai log ‘Khaak mein uss-ne mila diya’.. - Hakim Momin Khan

00

Urdu |

Har taraf dhund hai, jugnu hai na charag koi,
Kaun pehchanega, basti mein agar jaaoonga..

24

Hindi |

Gul us shaakh se foot-te bhi rahe,
usi shaakh se toot-te bhi rahe,
samajhte hain naa-daan use be-sabaat
ubhartaa hai mit-mit ke nakshe-hayaat.. - Iqbal

Details:
be-sabaat means changing, something that is not fixed.
nakshe-hayaat means aim of life.

40

Urdu |

mani_47_shayari.jpg

Isse pahle ke hawaa shor machaane lag jaaye,
Mere Allah, Meri khaak tthikaane lag jaaye

Ghere rahte hai.n kaii khwaab meri aankho.n ko,
Kaash kuchh der mujhe neend bhi aane lag jaaye

Saal bhar Eid ka rastaa nahi dekha jaata,
Woh gale mujhse kisi aur bahane lag jaye

- Dr. Rahat Indori

10

Urdu |

Naakaamiyon ne aur bhi sarkash bana diya
itne hue zaleel ke khuddaar ho gaye..

20

Urdu |

Zamaane ki har jannat aapke liye hogi
ye aasmaa ye zameen aapke liye hogi
hum se keh bhi na paaoge uske pehle
humaare hisse ki har khushi aapke liye hogi..

20

Urdu |

Safar mein ain mumkin mein khud ko chor doon lekin
duaein karne walon ka sahara saath rehta hai
mere maula ne mujh ko chahton ki saltanat de di
magar pehli mohabbat ka khasara yaad rehta hai..

10

Urdu |

Kabr ki mitti utha ke le gaya koi
isi bahaane choo kar chala gaya koi
tanhai mein khush the hum to lekin
fir se intezaar karne ki
wajah de gaya koi..

00

Hindi |

Har jurm meri zaat se mansoob hua hai
kya mere siwa shehar mein masoom hain saare..

30

Urdu |

shayari.jpg

Badla jo waqt gehri rafaaqat badal gai
Suraj dhala to saae ki surat badal gai
Ik umar tak main uski zaroorat bana raha
Phir yun hua ke uss ki zaroorat badal gai..

33

Urdu |

Recommended for You »

  1. May The Rays Of Diwali Diyas Illuminate Our Mind Body And ..
  2. When People Talk Listen Completely Most People Never Listen Ernest Hemingway ..
  3. Aksar Bhool Jaata Hun Tujhe Zamaane Ki Bheed Mein Badzaatee Aisi Ki ..
  4. Khush Bawad Umar Ki Darr Yaadi Biguzard Warnah Chee Haasal Ast ..
  5. Those Who Cannot Remember The Past Are Condemned To Repeat It ..
  6. Turn Away My Doctor From Me And Call To Me My ..
  7. I Asked My Wife Where Do You Want To Go ..
  8. Teacher Which Was The First Silent Film In English? Tintu If ..
  9. Government Promised Jiske 5 Bachche Hain Oose Ghar Degi Santa Ke ..
  10. काश एक सिज्दा ऐसा बारगाहे इलाही हो जाए के मेरी तड़प ..

Share & Let Everyone Read









Draw shape below and click submit button to send us your message:
आओ खेलें

लाल बूढ़क्की छू..

anagram quiz

About Us


Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.

The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..



What's more


moderated-content-kids-safe

Moderated Content

Safe for people of all Age Groups including Children.
sms-api-always-win

API

Display SMS on your Website or Blog at Zero Cost.
rate-content

SMS Rating

Gives You Power to Rate Content.
« Stay In Touch »

Quality Improvement Initiative

Quality Improvement Program

On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.

Sample thumb screenshot

You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.