21Sunte hai ki mill jaati hai har cheez duwa se,
ek roz tumhe mang ke dekhenge khuda se !
Tum samne baithe ho to hai kaif ki barish,
woh din bhi the jab aag barsti thi ghata se !
Aai dil tu unhe dekh kar kuchh aise tadppna,
aa jaye hashi unko jo baithe hai khapha se.
Duniya bhi mili hai gamme Duniya bhi mila hai,
woh kiyon nahi milla jise manga tha khuda se,
Jab kuchh na mila hath duwao ko utha kar,
fir hath uthane hi pade humko duwa se .....!
Urdu |
91Woh nadi nahi thi aansu the mere,
jis mein who kashti chalaate rahe,
manzil mile unhe yeh dua thi meri,
isliye hum aansu bahaate rahe.
Hindi |
70Pyaar se pyaari koi majboori nahi hoti,
kami apno ki kabhi poori nahi hoti,
dil-on ka juda hona ek alag baat hai..
nazron se dooor hona koi dooori nahi hoti.
Hindi |
11Jo zeher pee chuka hun,
tumne mujhe diya,
ab tum to zindagi ki dua -en
mujhe na do..
Hindi |
41Husn waale khoob wafaaon ka sila dete hain,
har mode per ek nayaa zhakm dete hain,
ae dost is jahaan mein koi apna nahi,
jab aag lagti hai to patte bhi hawaa dete hain.
Hindi |
70Bichadte hue yaad de jaayenge,
khud sone se pehle tumko ek khwaab de jaayenge,
tumhe gila hai ki hum jawaab nahi dete..
saanson ke rukne se pehle har jawaab de jaayenge.
Hindi |
61Ek kahani hazaaro saal purani,
husn aur mohabbat gehre dost the,
ek din dono saath mein baithe the,
k chaand nikal aaya,
itne mein mohabbat ne chaand ki taarif karni shuru kar di,
yeh baat husn ko achchi na lagi
aur usne mohabbat ki aankhe noch li,
tabhi se mohabbat andhi aur husn zaalim ho gaya.
Urdu |
50Kash mere bas mein bhi hota tujh se ghafil ho jana,
hum bhi sukoon se rehte be-khabar teri tarah..Details:
Gafil - negligent/careless
Urdu |
21Zindagi ke sath sath maut ko gale lagakar chalna
gairon se puchna aur apna bhi naam batakar chalna
dekhkar gairon ko mayus khud mayus na ho jana
khud bhi hanse ki koshish karna, auron ko bhi hasakar chalna
mayus hokar na baithana, Zindagi imtahan leti hai
is haqiqat ko samajhana, sabhi ko samjhakar chalna
dasatak na de de kahin dil par yaadon ke farishte
rahon mein ghuzare hue palon ke nishayan mitakar chalna
tajjub hai! ab bhi tum ho yun mujhse juda juda
mere humnafaz, habib mere zara kareeb aakar chalna
Urdu |
40Kaha koi aisa mila jispe dil luta dete,
- Vikas Umrao
Har ek ne dhoka diya kis-kisko bhula dete,
Apne dil ka dard dil hi mein dabaye rakhe hain,
Karte bayan to mehfil ko rula dete….
Hindi |
02अफ़सरों की मुरव्वत और
3 बलि के बकरे हो गए
तेरी तफ़तीश-ए-अख़्लाक़ के
तो हम क़ायल हो गए ..
#OdishaTrainEnquiry
Urdu |
224Hum rahe na rahe, un logon ko saza milni chahiye.
Yeh 2020 hai, Insaaf ki misaal honi chahiye.
Court tumhara, neta tumhara, thana tumhara
Magar kanoon ko bhi to gunjaaish honi chahiye.
Izzat se zindagi basar karne ki
humein bhi to ijaazat honi chahiye..
#JusticeForUnnao
Hindi |
♥ Recommended for You »
- De Dua Ho Dard Kam Yeh Ranjish E Safar Khatam Lamhe To Hain Simat ..
- Worse Night Sour Dreams & Don T Take Care Iska Opposite To You ..
- Children Have Trouble With Objects That Have Two Names Or Objects That ..
- Muhabbatein Kabhi Zanjeer E Paa Nahi Hoti Na Chal Sako Jo Ikkatthe To ..
- Pyaar Kehte Hain Mohabbat Kehte Hain Kuch Log Humein Bandgi Kehte Hain Magar ..
- जीवन में उपर उठते हुए सभी लोगो से अदब से ..
- Days Are Too Busy Hours Are Too Fast Seconds Are Too Few But ..
- It S By The Head That The Cow Gives The Milk ..
- Nij Kar Kriya Rahim Kahe Siddhi Bhaavi Ke Haath Paanse Apne ..
- Khije Khije Rehte Ho Kyun Dhiyan Kiska Hai Zara Batao To ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.