11Zakhm E Jigar Ko Humne Kya Khub Kurecha Hai
Ab Tak Tapak Raha Hai Tera Naam Lahu Ke Sath
Urdu |
71Aansu bin aankhein itni khubsurt na hoti,
dard bin khushi ki keemat na hoti,
agar mil jata koi chahne se,
to dunia mein khuda ki zaroorat na hoti..
Hindi |
62Badla wafa ka denge badi Saadgi se Hum,
Tum "Hum " se rooth jaaoge aur Zindagi se Hum
Urdu |
234Likho to paigaam kuch aisa likho ki,
kalam rone pe majboor ho jaaye..
har lafz mein dard bhar do itna ki,
padhne waala pyaar karne ko majboor ho jaaye.
Urdu |
73Khuli jo aankhein to manzar ajeeb tha,
dard tha magar woh dil ke kareeb tha,
jinhe hum dhoondte the aathon ki lakiron mein,
woh to kisi aur ka naseeb tha..
Hindi |
52Dilo se khelne ka hunar hame nahi aata
isliye ishq ki baazi hum haar gaye.
Meri zindagi se shaayad unhe pyaar tha
isliye mujhe zinda hi maar gaye.
Hindi |
71थक चुके हम उनका इनतजार करते-करते
रोये हजार बार खुद से तकरार करते-करते
दो लफज मुहब्बत के उनकी जुबां से न निकले और
टूट गए हम एक तरफा प्यार करते-करते..
Hindi |
20Unki tasveer ko seene se lagaa lete hain,
is tarah judaai ka gham mita lete hain,
kisi tarah kabhi jikr ho jaaye unka to,
has kar bheegi palke chupaa lete hain.
Hindi |
21Zindagi ke sath sath maut ko gale lagakar chalna
gairon se puchna aur apna bhi naam batakar chalna
dekhkar gairon ko mayus khud mayus na ho jana
khud bhi hanse ki koshish karna, auron ko bhi hasakar chalna
mayus hokar na baithana, Zindagi imtahan leti hai
is haqiqat ko samajhana, sabhi ko samjhakar chalna
dasatak na de de kahin dil par yaadon ke farishte
rahon mein ghuzare hue palon ke nishayan mitakar chalna
tajjub hai! ab bhi tum ho yun mujhse juda juda
mere humnafaz, habib mere zara kareeb aakar chalna
Urdu |
70Guzraa waqt jab bhi dil ki daastaan sunaayega,
tumko bhi ik shaks yaad aayega,
gaur se dekhna zindagi ke panno ko
kahin na kahin to humaara naam bhi nazar aayega..
Hindi |
50Na khuda dil banata na kisi se pyaar hota,
na kisi ki yaad aati na kisi ka intezaar hota..
Hindi |
71Jaane kitne hi dukh
dafna chuka hun iss dil mein,
ab to lagta hai jaise
khud ek kabristan hun main..
Hindi |
♥ Recommended for You »
- Cow And Cat Rishte Mein Behne Hain Now You Must Be ..
- The Natural World Is The Larger Sacred Community To Which We ..
- Wife Running After A Garbage Truck Am I Too Late For ..
- Jinhe Aana Hai Woh Khud Laut Ke Aayenge Tere Pass ..
- Woh Mazaa Na Red Label Mein Na Taj Mein Na Poori ..
- खुश नसीब होते हैं बादल जो ..
- As Pilots Santa And Banta Were Trying To Land An ..
- Koi Aankhon Se Baat Kar Leta Hai Koi Aankhon Mein Mulaaqat ..
- Santa Ki Girlfrnd Romantic Mood Me Aaj Mere Ghar Koi Nahi ..
- The Highest Possible Stage In Moral Culture Is When We Recognize ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.