13तीर हमारे नाम के ले कर अवाम
शहर-ओ-तमाम घुमते हैं
ज़िन्दगी फ़ख़त तेरे नाम की
ढ़ाल से कायम है।
Hindi |
00Muhabbatein kabhi zanjeer-e-paa nahi hoti
na chal sako jo ikkatthe to bichhar jaao doston ki tarha..
Urdu |
30Woh mujhe bhoolne ki fikr mein hain
yeh meri fateh hai shikast nahi
baar baar apni wafaon ki kahani na suna
hum wafaon ke maulwi hain kharidaar nahi..
Urdu |
10Ehsaas badal deta hai har dard ki shiddat
mehsoos karogey to kasak aur badhegi..
Urdu |
30Kabhi nadi kabhi sehra dikhai deta hai
tumhari aankon mein kya-kya dikhai deta hai
main kya bataaun abhi kaun paas se guzra
har ek chehra tujh sa dikhai deta hai..
Urdu |
11Isi khayal se aansoo chupaa liye humne
udaas reh ke kisi ko udaas kya karna..
Urdu |
31Kaash kuch pal kar paate tum mere naam
kaash yeh chand aur sitare de pata tuhje mera paigam
kaash in huwaaon ke sahaare choo paati tujhe
ki tuhi to hai meri saari khushiyan aur jahaan..
Urdu |
20Majrooh! Likh rahe hai voh ahl-e-vafa ka naam
Ham bhi khade huye hai gunahgaar ki tarah.. - Majrooh Sultanpuri
Urdu |
11Mohsin gareeb log to tinkon ka dher hain
malbe mein dabb gaye to kabhi paani mein beh gaye..
Urdu |
20Koi mausam ho dukh sukh mein guzara kaun karta hai,
parindon ki tarah sab kuch ganwara kaun karta hai
wazeeron se sifarish ki tamanna hum nahi karte,
humein maaloom hai zarre ko taara kaun karta hai..
- Dr. Rahat Indori
Urdu |
20Hum ek umar se wakif hain ab na samjhao
Ke lutaf kya mere meharbaan sitam ke hain..
Urdu |
10gair kya janiye kyon mujhko bura kehte hain
aap kehte hain jo aisa to bajaa kehte hain..
waakai tere iss andaaz ko kya kehte hain
na wafa kehte hain jiss ko na jafa kehte hain..
ho jinhen shaq wo karein aur khudaon ki talaash
hum to insaan ko duniya ka khuda kehte hain..
teri suratt nazar hai teri surat se alaag
husn ko ahal-e-nazar husn numa kehte hain..
shikawe hizr kare kiss dil se
hum khud apne ko bhi apne se juda kehte hain..
teri rudade sitam ka hai baya naa-mumkiin
fayeda kya hai magar yun zaraa kehte hain..
log jo kuch bhi kahein teri sitam koshi ko
hum to in baaton ko achchha na bura kehte hain..
auron ka tajurba jo kuchh ho magar hum to "Firaq"
talkhie zist ko jeene ka mazaa kehte hain..
- Firaq Gorakhpuri
Urdu |
♥ Recommended for You »
- शराब पी लिया करते हैं जीने की तमन्ना में कभी ..
- True Wisdom Comes To Each Of Us When We Realize How Little ..
- एक घर में 2 गधे थे एक का नाम था ..
- Colorful Things Happen In Colorful Ways To Colorful People Wid A Colorful Heart I ..
- Never Make The Same Mistake Twice There Are So Many New ..
- Everyone Has A Best Friend During Each Stage Of Life BUT Only ..
- Easy To Open A Shop Hard To Keep It Open ..
- Adawat Hai Na Nafrat Hai Khuda Ke Waaste Aa Jaa Mujhe ..
- I Get So Emotional When You Are Not Around That Emotion ..
- Even If Fed Milk A Snake Will Still Emit Poison ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.