10उंगलियां टूट गई पत्थर तराशते तराशते
बनी जब सुरत _ऐ_ यार तो खरीदार आ गए !!!
Hindi |
30Ghaav itne gehre hain bayaan kya karein,
hum khud nishana ban gaye waar kya karein,
jaan nikal gayi magar khuli rahi aankhen,
ab iss see zyada unka intezaar kya karein..
Hindi |
54Meri nazron ko aaj bhi talaash hai teri,
bina aapke khushi bhi udaas hai meri,
Khuda se maanga hai to sirf itna,
marne se pehle aapse mulaqaat ho meri..
Urdu |
31Jaane kyon is jahaan mein aisa hota hai,
khushi jise hoti hai wahi rota hai,
umar bhar saath nibha na sake jo,
jaane kyon pyaar usi se hota hai.
Hindi |
10Sagar se dosti to kinaare bhi nahi karte
- Vikas Umrao
Aajkal to wafa humse hamare bhi nahi karte
Ek tumse thi ummeed,
So wo bhi aaj toot gayi…
Chup-chap beh jaate hain,
Kisi se sikayat mere aansu bechaare nahi karte…..
Hindi |
50Unko khabar hai mere toote armaano ki,
aaj zaroorat padegi kaanch ke paimaano ki,
khaali na hone dena jaam yaaro,
yaad aa jaayegi warna fir se guzre zamaano ki.
Hindi |
40Woh mil jaate hain kahaani ban kar,
dil mein bas jaate hain nishaani ban kar,
jinhe hum rakhte hain apni aankho mein..
kyon nikal jaate hain woh paani ban kar.
Hindi |
10Muskuraane ki baat karte ho,
kis zamaane ki baat karte ho,
ik nivaala jutaana mushkil hai,
ghar banaane ki baat karte ho.. - Ashok Verma
Hindi |
90Kaash kushiyon ki koi dukaan hoti,
humaari us-se pehchaan hoti,
bhar dete aapka daaman khushiyon se..
phir chaahe uski keemat humaari jaan hoti.
Hindi |
11Aksar bhool jaata hun tujhe
zamaane ki bheed mein
badzaatee aisi ki khud ko
insaan kahu bhi to kaise..
Persian |
32Dard ke phool bhi khilte hain bikhar jaate hain
zakhm kaise bhi hon kuchh roz mein bhar jaate hain
rasta roke khadi hai yahee uljhan kab se
koi poochhe to kahien kya ki kidhar jaate hain
narm alphaz, bhali baatein, muhajjab lehze [polite]
pehli baarish mein hi ye rang utar jaate hain
us dariche mein bhi ab koi nahi aur ham bhi [khidki]
sar jhukaye huye chup-chap guzar jaate hain..
Urdu |
40Yeh chaand bhi dekho kya ajeeb sitam dhaata hai,
bachpan mein yeh mama
aur jawaani mein sanam nazar aata hai,
kehne ko to hain chaand mein daag bahut,
aashiqo ko fir bhi sunder nazar aata hai,
chup jaata hai jab bhi yeh baadlo ki oat mein,
deedar-e-husn paane ko har ek machal jaata hai,
laakho taaro se bhari hai aasmaani chaadar phir bhi,
chaand to har dum tanha hi nazar aata hai.....
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Zindagi 2 Din Ki Hai 1 Din Tumhare Haq Mein 1 Din ..
- Tintumon Njan Ninte Veettil Poyirunnu Nammude Kalayanam Nadakkumennu Tonnunnilla Duntumol Athenta Achane ..
- फुर्सत ए ज़िन्दगी को ना रुकसत होने दीजिए ..
- Don T Keep Searching For The Truth Just Let Go Of Your ..
- Madness In Art Is Creation Madness In Poetry Is Wisdom Madness In ..
- Jaam Pe Jaam Peene Se Kya Faayeda Raat Guzaari To Saari ..
- Nire Ishq De Tand Nahin Pae Asaan Charkhareyan Te Vi Chare ..
- Great Days Are Yet To Come And Great Stories Are Yet ..
- Ye Mera New No Hai 9953723352 Plz Save Kar Lena Or ..
- On Teacher S Day Santa Sends One SMS To His Teacher Master ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.