10मैंने कब दर्द के ज़ख्मों से शिकायत की है
- Lavanya Yadav
हाँ मेरा जुर्म है की मैंने मोहब्बत की है
आज फिर देखा उसे महफ़िल में पत्थर बने
मैंने आँखों से नहीं दिल से बगावत की थी
उसे भूल जाने की गलती भी नहीं कर सकती
टूट कर की है तो सिर्फ उसी से मोहब्बत की है ..
Hindi |
42Neend to bachpan mein aati thi
- Shivam Chauhan
ab to bas thak kar ke so jaate hain..
Hindi |
31Jo ek lafz ki khushboo na rakh saka mehfooz
main uss ke hath main saari kitaab kya deta..
Urdu |
32Rone wale tujhe rone ka salika bhi nahi
ashq peene ke liye hain ya bahaane ke liye..
Urdu |
20Koi ye Faraz poochhe yeh junoon nahi to kiya hai
Ke usi ke ho ke reh gaye jo na ho saka humara..
Urdu |
11Bade wasooq se duniya fareb deti hai
bade khaloos se hum aitbar karte hain..
Urdu |
00Mere khawabon ka har naqsh mita de koi
sookhe patton ka yeh dhair jala de koi
meri pehchaan ka ik shakhs is sheher mein hai rehta
main bhi zinda hun zara uss ko bata de koi..
Urdu |
30Zaroorat aur zehmat ne gumraah kar diya
warna iraade hum bhi nek rakhte the..
Urdu |
11gair kya janiye kyon mujhko bura kehte hain
aap kehte hain jo aisa to bajaa kehte hain..
waakai tere iss andaaz ko kya kehte hain
na wafa kehte hain jiss ko na jafa kehte hain..
ho jinhen shaq wo karein aur khudaon ki talaash
hum to insaan ko duniya ka khuda kehte hain..
teri suratt nazar hai teri surat se alaag
husn ko ahal-e-nazar husn numa kehte hain..
shikawe hizr kare kiss dil se
hum khud apne ko bhi apne se juda kehte hain..
teri rudade sitam ka hai baya naa-mumkiin
fayeda kya hai magar yun zaraa kehte hain..
log jo kuch bhi kahein teri sitam koshi ko
hum to in baaton ko achchha na bura kehte hain..
auron ka tajurba jo kuchh ho magar hum to "Firaq"
talkhie zist ko jeene ka mazaa kehte hain..
- Firaq Gorakhpuri
Urdu |
20Mere hisse ki zameen banjar thi main waqif na thaa
be-sabab mein ilzaam main detaa rahaa barsaat ko..
Urdu |
81Teri yaadein bhi tujh si zaalim hain Faraz
Jab dekhti hain tanha humein, sataane chali aati hain..
Urdu |
30Jee bhar ke roye to karaar paya
iss daur mein kisne sacha pyaar paya
zindgi guzar rahi hai imtihano ke daur se
ek zakham bhara nahi ke dusra taiyaar paya..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Ye Kambakht Hichkiyan Thamti Kyun Nahin; Ye Kis Ke Zehan Mein ..
- Learn To Laugh Learn To Love Learn To Drink Learn To Share Learn To ..
- A Man Was Not Made To Shut Up His Mind ..
- Zindagi Jina Aasaan Nahi Hota Bina Sangharsh Koi Mahaan Nahi Hota Jab ..
- Do You Want A Free Recharge Card Number? Go Down |||||||||||||||||||||||||| Scratch Here ..
- Two Wrongs Don T Make A Right Three Lefts Do ..
- Halaat Mere Mujhse Na Maaloom Kijiye Muddat Hui Hai Mujhse Mera ..
- Har Baar Maanga Khuda Se Dosto Ka Pyaa Har Saans Ko ..
- Nazar Jhuki To Paimaane Bane Sharaab Bani To Maikhaane Bane Koi Na ..
- Darshan Karlo Jot Nuraani Mein Kal Kal Behti Ganga Ke Paani Mein Kanjak ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.