मशहूर हुए वो जो कभी क़ाबिल ना थे और तो और
कमबख़्त मंजिल भी उन्हें मिली जो दौड़ में कभी शामिल ना थे..

- Ranjit
40

Hindi |

mani_46_shayari.jpg

Sab ke honton pe tabassum tha merey Qatal key baad
Jaane kiya soch ke rota raha Qatil Mera..

20

Urdu |

हम ना होते तो किसी और के चर्चे होते ,
हलक़त-ए-शहर तो कहने को फ़साने मांगे ..
- अहमद फ़रज़

Hum na hotey to kisi aur ke charchey hotey,
Halqat*-e-sheher to kehn e ko fasaaney mangey..
- Ahmed Faraz

00

Hindi |

Saath chalte kafile se is liye gafil raha,
manzilon ke baad bhi koi meri manzil raha.

woh masiha tha ya katil ya bewafa,
woh har ek surat mein pyaar ke kabil raha.

us se izhar-e- mohabbat kar na paye lab kabhi,
ek jara sa kaam tha umar bhar mushkil raha.

aap isko kya kahenge behisi ya badkismati,
doobne wale ke bilkul samne sahil raha.

ek mohabbat de na paya de gaya sau gham humein,
woh mera mehboob bhi kya dariya dil raha.

Details:
Gafil - negligent/careless

10

Urdu |

Aa jaa ke abhi zabt ke mausam nahi guzra
aa jaa ke pahaaron pe abhi baraf jami hai
khushbu ke jazeeron se sitaron ke jadoon tak
iss shehar mein sab kuch hai bas teri kami hai..

10

Urdu |

mani_47_shayari.jpg

Ujaagar hua hai koi kab meri aankhon ke aage
woh din aur the jab tum saath the..

12

Hindi |

न जान नादाँ इन्हें शज़र-ए-गुलिस्ताँ
ये आशिक़ हैं रुसवाई के
मुददत से इज़्हार-ए-इक़रार की
उम्मीद -ए-इंतेज़ार में ..

86

Urdu |

Mera hunar to meri jus-ta-ju mein rehta hai
ajab azaab-e-safar hai lahoo mein rehta hai
kisi ko dekho to meezan-e-harf mein par-kho
nasab ka wazn to har guf-ta-gu mein rehta hai..

10

Urdu |

Main bhi hairan huya ae Dagh ke yeh kya baat hai
Vaada voh karte hai, aata hai tabassum mujhko.. - Nawab Mirza Dagh Dehlvi

21

Urdu |

Rone wale tujhe rone ka salika bhi nahi
ashq peene ke liye hain ya bahaane ke liye..

31

Urdu |

Rone se kya haasil kuch ae dil-e-sodaii
ashkon ki bhi barbadi daaman ki bhi ruswaii
hum log samandar ke bichhray hue saahil hain
is paar bhi tanhaii uss paar bhi tanhaii..

30

Urdu |

shayari.jpg

Khayaal ko kisi aahat ki aas rehti hai
nigah ko kisi surat ki pyaas rehti hai
tum bin kisi cheez ki kami to nahi
magar bin tere zindagi udaas rehti hai..

50

Urdu |

Recommended for You »

  1. Care Is The Sweetest Form Of Love When Someone Says Take ..
  2. Kya Bat Hai Aaj To Rangeen Ho Kaun Se Colour ..
  3. Nikalna Khuld Se Adam Ka Sunte Aaye The Lekin Bade Beabru ..
  4. Khaali Hote Paimaano Pe Na Ja Shamaa Jala Guzre Woh Jo ..
  5. Bichar Kar Khat Bhi Na Likha Udaas Yaaron Ne Kabhi Kabhi ..
  6. संता की मौत बिजली गिरने ..
  7. Naa Itni Peeo Ki Tamaam Sheher Ko Khabar Ho Naaraaz Ho ..
  8. A Smile Is A Silent Gift I Would Love To Unwrap ..
  9. A Bird Siting On Tree Is Not Afraid Of The ..
  10. If You Ve Been Trained To Listen To Mistakes Your Whole Life You ..

Share & Let Everyone Read









Draw shape below and click submit button to send us your message:
आओ खेलें

लाल बूढ़क्की छू..

anagram quiz

About Us


Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.

The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..



What's more


moderated-content-kids-safe

Moderated Content

Safe for people of all Age Groups including Children.
sms-api-always-win

API

Display SMS on your Website or Blog at Zero Cost.
rate-content

SMS Rating

Gives You Power to Rate Content.
« Stay In Touch »

Quality Improvement Initiative

Quality Improvement Program

On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.

Sample thumb screenshot

You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.