71कितनी झूठी होती हैं, मुहब्बत की कसमें देखो
तुम भी जिंदा हो और मैं भी ..
Hindi |
61Ek kahani hazaaro saal purani,
husn aur mohabbat gehre dost the,
ek din dono saath mein baithe the,
k chaand nikal aaya,
itne mein mohabbat ne chaand ki taarif karni shuru kar di,
yeh baat husn ko achchi na lagi
aur usne mohabbat ki aankhe noch li,
tabhi se mohabbat andhi aur husn zaalim ho gaya.
Urdu |
71Jaane kitne hi dukh
dafna chuka hun iss dil mein,
ab to lagta hai jaise
khud ek kabristan hun main..
Hindi |
11Zakhm E Jigar Ko Humne Kya Khub Kurecha Hai
Ab Tak Tapak Raha Hai Tera Naam Lahu Ke Sath
Urdu |
41Sharaarat na hoti..shikaayat na hoti,
naino mein kisi ke nazaakat na hoti,
na hoti beqaraari..na hote hum tanha,
jo jahaan mein kambakht yeh mohabbat na hoti..
na hote yeh sapne..yeh khawaabon ki duniya ,
kisi ko chaahat ki tamanna na hoti,
na zulfon ki chaaon..na phoolon ki khushboo,
yaadon mein unki yeh raatein na kat-ti,
jo na hoti mohabbat to yeh aansu na hote,
dil bhi na khota..aaj tanha na rota,
deewano si apni yeh haalat na hoti,
jo jahaan mein kambakht yeh mohabbat na hoti..
Hindi |
60Har ilzaam ka haqdaar woh humein banaa jaate hain,
har khata ki sazaa woh humein bataa jaate hain,
hum har baar khaamosh reh jaate hain..
kyonki woh har baar dost hone ka haq jataa jaate hain.
Urdu |
74Ek dil mere dil ko zakhm de gayaa,
zindagi bhar jeene ki kasam de gayaa,
laakhon mein ek chuna humne jise..
woh kaanto se bhari chubhan de gayaa.
Hindi |
20Shaam-e-samandar, gham-e-vasl aur tanhaai,
dil ko teri yaad aa na jaaye..
Ret par reh na jaaye koi baaki nishaa,
chaand mein teri surat nazar aa na jaaye..
Giraft-e-bekhudi se hi kaayam hai maikadaa saare,
diljalo ki basti mein dilnasheen aa na jaaye..
Haayat ki ungaliyon par naachte hain hum,
guroor-e- naseeb zehen mein ab aa na jaaye..
Urdu |
61Haathon se gir gayi lakeer kahin,
bhool gaye hum apni taqdeer kahin,
agar tum ko mile kahin to uthaa lena,
mere hisse ki khushiyaan apne haathon mein sajaa lena.
Hindi |
32Dard ke phool bhi khilte hain bikhar jaate hain
zakhm kaise bhi hon kuchh roz mein bhar jaate hain
rasta roke khadi hai yahee uljhan kab se
koi poochhe to kahien kya ki kidhar jaate hain
narm alphaz, bhali baatein, muhajjab lehze [polite]
pehli baarish mein hi ye rang utar jaate hain
us dariche mein bhi ab koi nahi aur ham bhi [khidki]
sar jhukaye huye chup-chap guzar jaate hain..
Urdu |
71Bahut ajeeb hain yeh bandishen muhabbat ki,
Naa to us ne qaid mein rakha, aur na hum farar hue.
Urdu |
00मैं चुपके से टूट गया
गिरता तो शोर होता ।
Hindi |
♥ Recommended for You »
- बरसात की भीगी रातों में फिर कोई सुहानी याद आई कुछ ..
- In French Bon Jour Spanish Te Quirdo Italian Teamo Yugoslav Volim Te English Good ..
- Life Never Seems To Be The Way We Want It But ..
- Aaj Subha Unki Gali Se Hum Nikle Ajeeb Itefaq Tha Phool To ..
- Santa Yaar Uth Bhookamp Aa Rahaa Hai Saara Ghar Hil Raha ..
- Enlightenment Must Come Little By Little Otherwise It Would Overwhelm ..
- चिराग कमज़ोर ही सही हाँ मगर अंधेरों से लड़ने का ..
- Apne Ghum Ki Numaish Na Kar Apne Nasib Ki Aazmaish Na ..
- Hi Jaane Anjaane Mein Agar Maine Aapka Dil Dukhaaya Ho Ya Kabhi Tang ..
- Aankh Se Lahu Na Bahaya Kar Ae Dil Usay Kabhi To ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.