Shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
jagmagati jaagati sarkooN peh aawara phriooN
ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN
Aye gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti hui shamsheer si
ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN

yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal
jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal
aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi
jane kis ki gaud meiN aai yeh moti ki laRi
hook si seenay meiN uThi chaut si dil per paRi
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal
phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal
yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

har taraf hei bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN
baRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN
ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN

raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN
laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN
aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay
ab bi jane kitne dervazay heiN waa mere liay
per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

jee meiN aata hei ab ahd-e-wafa bi toR dooN
un ko paa sakta hooN yeh aasra bi chhoR dooN
haaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bi toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN
mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN
zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

jee meiN aata hei murda chaand taray nauch looN
iss kinare nauch looN us kinare nauch looN
eik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane
saikaRoN changez-o-naadir haiN nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

le ke eik eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN
taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN
koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

baRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN
iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN
takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN
ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

-Majaz Lakhnawi

00

Urdu |

mani_46_shayari.jpg

Sochta hun kabhi tere dil mein utar kar dekh loon
kaun basa hai tere dil mein jo mujhe basne nahi deta..

22

Urdu |

Udaas lamhon ka na koi malal rakhna
tufan mein bhi wajood sambhal rakhna
kisi ke liye shart-e- zindagi tum ho
kisi ki khatir hi apna khayal rakhna..

60

Urdu |

Mujhe khushboo ki taraha baat uraane wale
tujh mein pehlay to na the rang zamanay wale
apni aasteenon mein chupaye hue khanjar aaye
mujh se yaaron ki taraha haath milaane wale..

20

Urdu |

Dekha jo woh jaam teri yaad aa gayi
yeh shaam tere naam, teri yaad aa gayi
har koi jaanata tha mujhe tere naam se
poocha kisi ne naam, teri yaad aa gayi..

32

Urdu |

mani_47_shayari.jpg

यह जो धुआं उठा है ख़ाक से
कह रहा भुजती आग से
हुस्न के दरवाज़े पे
दीवाने जलते रहेंगे ..🌷

Yeh jo dhuan utha hai khaak se
keh raha bhujti aag se
husn ke darwaaze pe
deewane jalte rahenge..

00

Hindi |

Bichar kar khat bhi na likha udaas yaaron ne
kabhi kabhi ki adhoori mulaqaat se bhi gaye..

30

Urdu |

Qatl hua mera yun kishto mein reh-reh kar
kabhi qaatil badal gaya
kabhi khanjar badal gaya..

- Tahir Khan
20

Urdu |

Zamaane ki har jannat aapke liye hogi
ye aasmaa ye zameen aapke liye hogi
hum se keh bhi na paaoge uske pehle
humaare hisse ki har khushi aapke liye hogi..

20

Urdu |

Saath chalte kafile se is liye gafil raha,
manzilon ke baad bhi koi meri manzil raha.

woh masiha tha ya katil ya bewafa,
woh har ek surat mein pyaar ke kabil raha.

us se izhar-e- mohabbat kar na paye lab kabhi,
ek jara sa kaam tha umar bhar mushkil raha.

aap isko kya kahenge behisi ya badkismati,
doobne wale ke bilkul samne sahil raha.

ek mohabbat de na paya de gaya sau gham humein,
woh mera mehboob bhi kya dariya dil raha.

Details:
Gafil - negligent/careless

10

Urdu |

हालात ये कहते हैं के ज़माने के साथ चल
आसार ये हैं के क़यामत करीब है ..

42

Hindi |

shayari.jpg

शेयर बाजार में कीमत उछलती गिरती रहती है
मगर ये खून ऐ इनसान है कभी महंगा नहीं होगा..

- Vikas Umrao
10

Hindi |

Recommended for You »

  1. Don T Put All Your Eggs In The Same Basket ..
  2. Any Fool Can Make Things Bigger More Complex And More Violent It ..
  3. Saleeqa Hi Nahi Shaayed Usey Mehsoos Karne Ka Jo Kehta Hai ..
  4. Masoom Mohabbat Ka Bas Itna Fasaana Hai Kaagaz Ki Haveli Hai ..
  5. Heights Of 1 Fashion? Lungi With A Zip 2 Laziness? Asking Lift For ..
  6. Har Ek Jazbaat Ko Zubaan Nahi Milti Har Nek Aarzoo Ko ..
  7. Why India Is Not Yet Developed? Though Population Is 100 Crore? Because ..
  8. Friends Are Like Street Lights Along The Road They Don T Make ..
  9. When You’re Trying’ Somethin’ New The Fewer People That Know About ..
  10. ठंडी ठंडी हवा चल पड़ी हम आए वीराने में ..

Share & Let Everyone Read









Draw shape below and click submit button to send us your message:
आओ खेलें

लाल बूढ़क्की छू..

anagram quiz

About Us


Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.

The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..



What's more


moderated-content-kids-safe

Moderated Content

Safe for people of all Age Groups including Children.
sms-api-always-win

API

Display SMS on your Website or Blog at Zero Cost.
rate-content

SMS Rating

Gives You Power to Rate Content.
« Stay In Touch »

Quality Improvement Initiative

Quality Improvement Program

On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.

Sample thumb screenshot

You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.