20Haath uthe hain magar lab pe dua koi nahi
ke ibadat bhi woh jis ke jaza koi nahi
ye bhi waqt aana tha ab to gosh har aawaz hai
aur mere barbad-e-dil mein sada koi nahi
aa ke ab taslim kar lain tu nahi to main sahi
kon manega ke hum mein bevafa koi nahi
waqt ne wo khak udai hai ke dil ke dasht se
qafile guzre hain phir bhi naqsh-e-pa koi nahi
khud ko yun mahasur kar baitha hun apni zaat mein
manzilen chaaron taraf hain rasta koi nahi
kaise raston se chale aur kis jagah pahunche ‘faraz’
ya hujum-e-dostan tha sath ya koi nahi
Urdu |
60Udaas lamhon ka na koi malal rakhna
tufan mein bhi wajood sambhal rakhna
kisi ke liye shart-e- zindagi tum ho
kisi ki khatir hi apna khayal rakhna..
Urdu |
10Nahi hai mere mukaddar mein roshni na sahi,
yeh khidki kholo zara subha ki hawa hi lage..
Urdu |
01Hai shauk-teen-safar bus aisa ke ek umar se hum ne
Manzil bhi nahi paayi, aur raasta bhi nahi badla..
Urdu |
21Na ho udaas woh tujh se agar nahi milta
yahaan kisi se koi umar bhar nahi milta
hua hai shehar tabha tujh ko to khabar hogi
bahut dino se mujhe apna ghar nahi milta
har ik mod pe milte hain sainkron chehre
main dhoond-ta hun jisse woh magar nahi milta..
Urdu |
00Majboor na hote jo tabiyat se Zaheer! Aah
Ghar ghair ke kyun dekhne jaate teri surat.. - Qazi Mohammad Zaheeruddin Zaheer Lakhnavi
Urdu |
40Qatl hua mera yun kishto mein reh-reh kar
- Tahir Khan
kabhi qaatil badal gaya
kabhi khanjar badal gaya..
Urdu |
20Naamaabar tu hi bataa tune to dekhe honge
kaise hote hain vo khat jinka jawaab aataa hai..
Urdu |
14Tum mujhe bhool jao to yeh haq hai tumko
meri baat aur hai maine to mohabbat ki hai..
Urdu |
20Ek tum ko humein yaad karne ki fursat nahi
ek hum ko tumhe bhulaane ki aadat nahi
tumhe bhulaaya bhi jaaye to kaise
sanso ke bina jeene ki aadat jo nahi..
Urdu |
50Mujhe dard-e- ishq ka mazaa maalum hai,
Dard-e-dil ki inteha maalum hai,
Zindagi bhar muskurane ki dua na dena,
Mujhe pal bhar muskurane ki sazaa maalum hai..
Urdu |
20Mujay aksar sitaron se yahi aawaaz aati hai
Kisi ke hijar mein neendein ganwaa ker kuch nahi milta
Jigar ho jayega chalni yeh aankhaein khoon royengi
Wasi bay faiz logon se nibhaa ker kuch nahi miltaa..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- A Tongue Has No Bones But It Is Strong Enough To Break ..
- Everyone Wants To Be The Sun Of Your Life That Lights ..
- Muskurana Hi Khushi Nahi Hoti Umar Bitana Hi Zindagi Nahi Hoti Khud ..
- Lakshmi Ka Saath Ho Saraswati Ka Haath Ho Ganesh Ka Niwas Ho ..
- The Importance Of A Dear Friend In Our Lives Is Like ..
- Five Finger Rhyme Angoothe Ne Kaha Hum Baag Mein Chalenge Doosri Ne ..
- Husband Aur Wife Ghoomne Gaye Raaste Mein Ek Gadha Ghaas Khaa ..
- Zaroorat Hi Nahi Hai Alfaaz Ki Pyaar Cheez Hai Bas Ehsaas ..
- Close Ur Eyes & Imagine Chaand Ka Bed Taaron Ki Razaai Phulon ..
- तेरी गलियों में न रखेंगे कदम आज के बाद क्योंकि ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.