21Har tarike se bhulana chaha magar,
har khayal se paida, tera khayal hota hai..
Hindi |
00Tujh se bichar ke hum bhi mukaddar ke ho gaye
Phir jo bhi darr mila hai ussi darr ke ho gaye..
Urdu |
10Fasal-e-khizan main phool khushi ke kihlaaye hain
hum intahay-e-karab main bhi muskuraye hain
saabit kadam rahe hain masayeb ke ru-ba-ru
hum imtehaan-e-zeesat main awwal hi aaye hain..
Urdu |
02Tere ashkon mein dhal ke aaonga
ab main soorat badal ke aaonga
dekhti rahogi rasto par tum
aur main badal pe chal ke aaonga..
Urdu |
20Haath uthe hain magar lab pe dua koi nahi
ke ibadat bhi woh jis ke jaza koi nahi
ye bhi waqt aana tha ab to gosh har aawaz hai
aur mere barbad-e-dil mein sada koi nahi
aa ke ab taslim kar lain tu nahi to main sahi
kon manega ke hum mein bevafa koi nahi
waqt ne wo khak udai hai ke dil ke dasht se
qafile guzre hain phir bhi naqsh-e-pa koi nahi
khud ko yun mahasur kar baitha hun apni zaat mein
manzilen chaaron taraf hain rasta koi nahi
kaise raston se chale aur kis jagah pahunche ‘faraz’
ya hujum-e-dostan tha sath ya koi nahi
Urdu |
30Zakham itne gehre hain izhaar kya karein
hum khud nishana ban gaye hain waar kya karein
mar gaye hum magar khuli rahi aankhein
ab is se zyada unka intezaar kya karein..
Urdu |
20Aag lehraa ke chali hai aise anchal kar do
tum mujhe raat ka jalta hua jungle kar do
chand sa mesrra akela hai mere kaghaz par
cchat par aa jao mera sher mukammal kar do
main tumhe dil ki seeyasat ka hunar deta hun
ab usay dhoop bana do mujhe badal kar do
apne aangan ki udaasi se zara baat karo
neem ke sookhe hue ped ko sandal kar do
tum mujhe chor ke jaoge to mar jaaoonga
yun karo jaane se pehle mujhe paagal kar do..
Urdu |
20Mere hisse ki zameen banjar thi main waqif na thaa
be-sabab mein ilzaam main detaa rahaa barsaat ko..
Urdu |
20Zaroorat aur zehmat ne gumraah kar diya
warna iraade hum bhi nek rakhte the..
Urdu |
20Koi ye Faraz poochhe yeh junoon nahi to kiya hai
Ke usi ke ho ke reh gaye jo na ho saka humara..
Urdu |
10उनकी फितरत अजब अनोखी है बन्दों के लिए
- Krishna
अपने बन्दों पे जां-निसार नजर आते हैं
जब किसी बंदे को हल्का सा दर्द होता है
मेरे सरकार बेक़रार नजर आते हैं ..
Hindi |
20अब तो चलते हैं बुतकदे से ऐ 'मीर',
फिर मिलेंगे गर खुदा लाया..
- मीर तक़ी 'मीर'
Hindi |
♥ Recommended for You »
- I Don T Like The Morning Sun It Resembles With You ..
- Shaabji Anthem Shuno Gaur Se Duniya Waalo Chaahe Kitne Mehal Bana ..
- Candles Of Hope Are Burning Bright Filling Our Hearts With Eternal Delight Hope ..
- What Is Marriage? Answer 1st Year Alpenlibe Jee Lalchaaye Rahaa Na ..
- Even If Fed Milk A Snake Will Still Emit Poison ..
- Holi Par Sabhi Ko Sabhi Rango Se Milkar Ek Rang Apko ..
- All Are Not Thieves That Dogs Bark At ..
- Priya Mitr Namaskaar Aapke Sandesh Padne Ke Upraant Hum Atyant Aanand Vibhor Ho ..
- Confidence And Hard Work Is The Best Medicine To Kill Disease ..
- मैं गया उसकी गली में बोला ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.