40Hazaaron dard-mand milte hain,
kaam ke log chand milte hain,
jab musibat aati hai to
sabke darwaaze band milte hain..
Hindi |
163Har roz hum nashe mein hote hain
aur shaam guzar jaati hai,
ek din aisa bhi aayega
jab shaam nashe mein hogi aur
hum guzar jaayenge..
Hindi |
81Bahn phad ke rok laende taenu,
je chaldaa saada zor hunda,
asin tere pichche kyon rulde,
je tere warga koi hor hunda.
Punjabi |
70Sehmi-sehmi nigaahon mein khwaab hum jagaa denge,
sooni-sooni raahon mein phool hum khila denge,
aap humaare saath muskura kar to dekho..
hum saare gham bhula denge.
Hindi |
31Jab bhi unki gali se guzarte hun,
meri aankhein ek dastak de deti hain,
dukh yeh nahi, woh darwaza band kar dete hain,
khushi yeh hai, woh mujhe ab bhi pehchaan lete hain..
Hindi |
73Khuli jo aankhein to manzar ajeeb tha,
dard tha magar woh dil ke kareeb tha,
jinhe hum dhoondte the aathon ki lakiron mein,
woh to kisi aur ka naseeb tha..
Hindi |
2013मोहब्बत ऐसी थी की उनको सिखाई न गयी
चोट दिल पे थी इसलिए दिखाई न गयी
चाहते नहीं थे उनसे दूर होना
पर दूरियां इतनी थी की मिटाई न गयी..
Hindi |
32Dard ke phool bhi khilte hain bikhar jaate hain
zakhm kaise bhi hon kuchh roz mein bhar jaate hain
rasta roke khadi hai yahee uljhan kab se
koi poochhe to kahien kya ki kidhar jaate hain
narm alphaz, bhali baatein, muhajjab lehze [polite]
pehli baarish mein hi ye rang utar jaate hain
us dariche mein bhi ab koi nahi aur ham bhi [khidki]
sar jhukaye huye chup-chap guzar jaate hain..
Urdu |
50Neend aankhon se churaane waale..
neend tujhko bhi kaha aati hogi,
tadapte sirf hum hi nahi..
humaari yaad mein jaan tumhaari bhi jaati hogi.
Hindi |
50Najoomi ne to mujhe pareshani mein daal diya hai,
kehta hai tujhe maut nahi, kisi ki yaad maaregi..
Urdu |
20Unki tasveer ko seene se lagaa lete hain,
is tarah judaai ka gham mita lete hain,
kisi tarah kabhi jikr ho jaaye unka to,
has kar bheegi palke chupaa lete hain.
Hindi |
13Pyaar karo, Pyaar ki koi hadh nahi hoti,
do dilo ke beech sarhad nahi hoti,
dilruba ko to sabhi chaahte hain,
bewafa ko chaahne ki kismat sabki nahi hoti.
Hindi |
♥ Recommended for You »
- I Know That You Have Sent Me Here For Something Good But ..
- मौत तो नाम से ही बदनाम है वरना तकलीफ तो जिन्दगी ..
- बिन बुलाए आ जाते थे गाँव में रोज़ मिलने ये परिंदे ..
- मैं देता रहा दलीलें इंसाफ की उम्मीद में मगर वो ..
- Bichadte Hue Yaad De Jaayenge Khud Sone Se Pehle Tumko Ek ..
- Life Choti Hai Har Pal Mein Khush Raho Aaj Paneer Nahi ..
- The Biggest Gift Is LIFE When You Are Alive You Can Face ..
- Wife Tussi Mainu Kinna Pyaar Karde Ho? Pati Shah Jahaan Jinna Wife ..
- Dreams Are Not Those Which Are Seen During Sleep Dreams Are ..
- A Bird Siting On Tree Is Not Afraid Of The ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.