10Ehsaas badal deta hai har dard ki shiddat
mehsoos karogey to kasak aur badhegi..
Urdu |
24Har taraf dhund hai, jugnu hai na charag koi,
Kaun pehchanega, basti mein agar jaaoonga..
Hindi |
11Yeh to sach hai ke sar-e-koocha-o-bazaar bike
yeh bhi sach hai ke tere naam pe har baar bike
apni auqaat to ek jins-e-giraan si bhi na thi
tere kooche main to aa aa ke khareed-daar bike..
Urdu |
20Kabhi kuch to kisi ke waaste dil se dua kar lo,
yahi insaaniyat ka farz hai, tum bhi ada kar lo,
koi bhi shakhs duniya mein tumhein chhota nazar na aaye,
tum apne sochne ka daayra itna bada kar lo,
humaari apni fitrat hai wafa karna, wafa kar lo,
tumhari apni marzi hai wafa karo, ya jafa kar lo,
ye duniya khubsoorat hai yaqeen aa jaayega tumko,
kisi se dil lagaane ki kabhi koi khata kar lo..
Hindi |
10Aa jaa ke abhi zabt ke mausam nahi guzra
aa jaa ke pahaaron pe abhi baraf jami hai
khushbu ke jazeeron se sitaron ke jadoon tak
iss shehar mein sab kuch hai bas teri kami hai..
Urdu |
72Duniya se dil laga kar
Duniya se kya milega
yaad-e- khuda kiye ja
tujhko khuda milega..
daulat ho ya hukumat
taakat ho ya jawaani
har cheez mitne waali
har cheez aani jaani
yeh sab guroor ik din
mitti mein jaa milega
yaad-e- khuda kiye ja
tujhko khuda milega..
aataa nahi palat kar
guzra hua zamaana
kya khwaab ka bharosa
kya maut ka thikaana
yeh zindagi ganwaa kar
kya faayeda milega
yaad-e- khuda kiye ja
tujhko khuda milega..
Urdu |
50Tum milo na milo, milne ka gham nahi
tum pas say guzar jao, ye milne se kam nahi
mana ke tumhe, humari qadar nahi
magar un se poocho, jinhe haasil hum nahi..
Urdu |
10Mujrim nahi fir bhi sazaa-yaafta hun
is shehar mein gunaahgaar koi aur bhi hai..
Urdu |
32Dekha jo woh jaam teri yaad aa gayi
yeh shaam tere naam, teri yaad aa gayi
har koi jaanata tha mujhe tere naam se
poocha kisi ne naam, teri yaad aa gayi..
Urdu |
51Main lafzon mein kuch bhi izhar nahi karti
iska matlab ye nahi ke main tujhe pyaar nahi karti,
Chahti hoon main tujhe aaj bhi par
teri soch mei apna waqt bekar nahi karti..
Urdu |
20Main kis ko dhoondne nikloon kise talaash karu
kadam kadam par judaa ho gaya koi na koi..
Urdu |
70Woh ajnabi hai jaane kab chor de
hawa ka kiya pata kab rukh mor de
hum to har ek ke dl ko khush rakhte hain
magar kisi ka kiya pata ke kab dil tor de..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- What Is Real But Invisible? Your Care What Is True But Unfair? Your ..
- My Fake Plants Died Because I Did Not Pretend To Water ..
- Santa Ji Ki Nayi Car Ke Peeche Likha Tha Saawan Ko ..
- The People Who Talk The Best Are Not The Only ..
- Father To Son Whenever I Beat You You Don T Get Annoyed ..
- Kaah Kaamri Pagri Jaad Gaye Se Kaaj Rahiman Bhookh Butaayie Kaiseo ..
- Patni Woh Saamne Sharaabi Dekh Rahe Ho 10 Saal Pehle Maine ..
- When You Like Someone Deeply Misunderstandings May Arise But Don T Feel Bad ..
- Needs Must When The Devil Drives ..
- He Who Knows To Stop At What He Does Not ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.