01Tujhe bhool jaane ki koshishein kabhi kaamyaab na ho saki
teri yaad shaakh-e-gulaab hain jo hawa chali to lachak gai..
Urdu |
10Raaste badal jaate hain, manzilein badal jaati hain,
kyun nahin badalte dil jo taqdeerein badal jaati hain,
dil wahi rehta hai, yaadon ki annginat parchaaiyaan le ke,
aankhon ki nami chupa kar, nazrein badal jaati hain,
rooh rehti hai har lamha ashk-baar, lab hanste hain,
bahar aur andar ki kis tarah fizaaein badal jaati hain,
koi hota hai rafta-rafta zindagi se door, bahut door,
haathon ki yeh lakeerein kyun aksar badal jaati hain..!!
Hindi |
10Tu mera dard jab barhata hai
jane kya dil sakoon pata hai
ishq main har asaasa lutt jaye
tab kahain jaa ke chain aata hai..
Urdu |
00Shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
jagmagati jaagati sarkooN peh aawara phriooN
ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN
Aye gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti hui shamsheer si
ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN
yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal
jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal
aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi
jane kis ki gaud meiN aai yeh moti ki laRi
hook si seenay meiN uThi chaut si dil per paRi
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal
phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal
yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
har taraf hei bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN
baRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN
ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN
raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN
laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN
aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay
ab bi jane kitne dervazay heiN waa mere liay
per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei ab ahd-e-wafa bi toR dooN
un ko paa sakta hooN yeh aasra bi chhoR dooN
haaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bi toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN
mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN
zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei murda chaand taray nauch looN
iss kinare nauch looN us kinare nauch looN
eik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane
saikaRoN changez-o-naadir haiN nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
le ke eik eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN
taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN
koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
baRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN
iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN
takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN
ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
-Majaz Lakhnawi
Urdu |
20Ye adaa-e-beniyaazii tujhe bewafa mubaarak
magar aisi bhi be-rukhii kya ke salam tak nahi..
Urdu |
50बेशक़ ये लाज़मी नहीं हर ज़िन्दगी सितारों से खेले
टूटी टहनियों से भी गुड़ियाँ बनती हैं ..
Hindi |
40Pyaas bakshi hai to phir ajar bhi khul kar dena
abar maange meri dhartii to samander dena
apni auqaat se barhnaa mujhe guum kar dega
mujhko saya bhi mere kad ke baraabar dena..
Urdu |
20Ye kaisi shart lagaayi hai meri aankhon ne
ke tujhko sochna chhorun to neend aayegi..
Urdu |
50Mujhe bhoolna mat, yaad rakhna.
meri wafa ka kuch khyaal rakhna
main phir aaonga naya zakhm khane ke liye
ek aur patthar sambhal kar rakhna..
Urdu |
10Ye rakh rakhao muhabbat seekha gai usko
woh rooth kar bhi mujhe muskura kar milta hai..
Urdu |
10Aap bharam he sahi baat to kar lein humse
kuch na kehne se mohabbat ka gumaan hota hai..
Urdu |
160Bahut udaas hai koi tere jaane se
ho sake to laut aa kisi bahane se
tu lakh khafa sahi per ek baar to dekh
koi toot sa gaya tere rooth jane se..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- मैं देखता हूँ उन्हें कभी दिवाली के पटाखे फोड़ते हुए ..
- Rumors Are Carried By Haters Spread By Fools And Accepted By Idiots ..
- Maine Us Se Poocha Ke Dhoop Mein Baarish Hoti Hai Woh Hanste Hanste ..
- Hui Mohabbat To Aaj Jahaa N Saaraa Haseen Hai Aksar Palke Jhukaaye ..
- Koi Dooor Ho Kitna Hi Kya Gham Hai ? Magar Woh Apna ..
- ना सह सका जो अपनी बहन का अपमान था जिसको चारों ..
- Dhokha De Ke Dosti Karo Lekin Dosti Kar Ke Dhokha Mat ..
- Ajab Teri Mehfil Ka Lutf Hai Zaalim Kare Kya Rishi Ke Saleeka ..
- Wife Seeing Stars Batao Wo Kaun Si Cheez Hai Jo Tum Roz ..
- Unhe Fursat Nahi Humse Do Baat Karne Ki Woh To Apna ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.