20Seene mein chupaye rakhna meri yadon ke ujaale
na jaane kis gali mein, zindagi ki shaam ho jaye..
Urdu |
70Woh ajnabi hai jaane kab chor de
hawa ka kiya pata kab rukh mor de
hum to har ek ke dl ko khush rakhte hain
magar kisi ka kiya pata ke kab dil tor de..
Urdu |
21Na bas me zindagi iske, na maut par kabu iska
insaan phir bhi kab khuda hone se darta hai..
Urdu |
20Haath uthe hain magar lab pe dua koi nahi
ke ibadat bhi woh jis ke jaza koi nahi
ye bhi waqt aana tha ab to gosh har aawaz hai
aur mere barbad-e-dil mein sada koi nahi
aa ke ab taslim kar lain tu nahi to main sahi
kon manega ke hum mein bevafa koi nahi
waqt ne wo khak udai hai ke dil ke dasht se
qafile guzre hain phir bhi naqsh-e-pa koi nahi
khud ko yun mahasur kar baitha hun apni zaat mein
manzilen chaaron taraf hain rasta koi nahi
kaise raston se chale aur kis jagah pahunche ‘faraz’
ya hujum-e-dostan tha sath ya koi nahi
Urdu |
30Zakham itne gehre hain izhaar kya karein
hum khud nishana ban gaye hain waar kya karein
mar gaye hum magar khuli rahi aankhein
ab is se zyada unka intezaar kya karein..
Urdu |
20नेकी गुनाह है यहाँ
यह बेदर्द शहर है
मरने का इरादा हो भी अगर
तो कफ़न साथ रखना ..
Hindi |
00Ab jis ke bhi dil mein aae wohi paae roshni
Hum ne to dil jala kar sar-e-aam rakh diya..
Urdu |
20Lahaq hai yahan marz muhabbat ka sabhi ko
is shehar ke logon mein waba aam bohat hai
har darja sharafat ka libada hai orha
aur dil mein haqarat ki bala aam bohat hai
rishton ke yahan paas to rakhte hain sabhi par
hairat hai ke lutne ki sada aam bohat hai
daawa hai ke har fard wafadaar hai yahan
hai darj kitabon mein jafa aam bohat hai
tum naik tamannaein to rakhte ho bahut Qateel
is shehar mein naiki ki saza aam bahut hai..
Urdu |
20कुछ तो कर आदाब-ए-महफ़िल का लिहाज़
यार, ये पहलू बदलना छोड़ दे..
– वसीम बरेलवी
Hindi |
00Wo ashak ban ke meri chasm-e-tar mein rehte hain
Ajeeb shaks hain paani ke ghar mein rehte hain..
Urdu |
20Ankhein to pyaar mein dil ki zubaan hoti hain
sachi chahat to sada bezuban hoti hai
pyaar mai dard bhi mile to kya ghabraana
suna hai dard se chahat aur jawaan hoti hai..
Urdu |
10Sunana sahil pe ja ke wafa ke fasaane magar
kabhi kirnon ka raet par paighaam na likhna..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Duty Is Not Collective It Is Personal ..
- Endegi Kutahtar Az An Ast Ke Be Khosumat Bogzarad Va ..
- Sharaarat Na Hoti Shikaayat Na Hoti Naino Mein Kisi Ke Nazaakat Na ..
- Tintumon I Was Feeling So Sleepy This Morning That I Tossed ..
- परिवार में हुई दुःखद घटना के बारे में मुझे आज ..
- Santa Jalebi Bech Raha Tha Magar Keh Raha Tha Aaloo Le ..
- A Man Without A Woman Is Like A Fish Without ..
- Sometimes Saying Sorry Is The Most Difficult Thing On Earth But ..
- How Does Santa Plays Holi ? ? ? ? Any Guess ? He Applies Heena Mehndi On ..
- ठंडी हवाएं पंछियों की गुनगुनाहट बादलों की गड़गड़ाहट बूंदों की ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.