Ungliyaan log uthaate hain jidhar jaate hain
hum to iss naam se be-namo-nishaan achche the..

11

Urdu |

mani_46_shayari.jpg

Aaj fir tootengi tere ghar ki nazuk khirkiyan
aaj ek deewana tere shehar mein dekha gaya..

21

Urdu |

Sanson ka toot jana to aam si baat hai Faraz
jahaan apne rooth jaen mout us ko kehte hain..

21

Urdu |

Kabhi fasl, kabhi marz ban ke aaye
yun badal-badal ke soorat, sitam aaye
shiddat-o-suku'n se seencha har boota humne
jaane fir kyun na gul aaye..

30

Urdu |

Uss ne dekha hi nahi meri rooh ko choo kar warna
yun zakhmo ka na wo apne charchaa karta..

10

Urdu |

mani_47_shayari.jpg

Meri tabaahee ka ilzaam ab sharaab pe hai
Main aur karta bhi kia tum pe aa rahi thi baat..

20

Urdu |

Aag lehraa ke chali hai aise anchal kar do
tum mujhe raat ka jalta hua jungle kar do
chand sa mesrra akela hai mere kaghaz par
cchat par aa jao mera sher mukammal kar do
main tumhe dil ki seeyasat ka hunar deta hun
ab usay dhoop bana do mujhe badal kar do
apne aangan ki udaasi se zara baat karo
neem ke sookhe hue ped ko sandal kar do
tum mujhe chor ke jaoge to mar jaaoonga
yun karo jaane se pehle mujhe paagal kar do..

20

Urdu |

Sabhi rishte toot jaate hain
Dil se dil ka taaluq apni jagha
Mujh ko tere na milne ka yakeen
Phir bhi tujh ko paa lene ki dua apni jagha..

42

Urdu |

Aaj hum unko bewafa bata kar aaye hain
unke khaton ko paani mein baha kar aaye hain
koi nikaal kar padh na le unhein
iss liye paani mein bhi aag lagaa kar aaye hain..

12

Urdu |

Safar mein ain mumkin mein khud ko chor doon lekin
duaein karne walon ka sahara saath rehta hai
mere maula ne mujh ko chahton ki saltanat de di
magar pehli mohabbat ka khasara yaad rehta hai..

10

Urdu |

Adawat hai na nafrat hai khuda ke waaste aa jaa,
mujhe tujh se mohabbat hai khuda ke waaste aa jaa,
bina khusboo kisi gul ki koi keemat nahi hoti,
mujhe teri zarurat hai khuda ke waaste aa jaa,
kisi ko kaise doon main yeh bina teri ijaazat ke,
yeh dil teri amaanat hai khuda ke waaste aa jaa..

20

Hindi |

shayari.jpg

Isi khayal se aansoo chupaa liye humne
udaas reh ke kisi ko udaas kya karna..

11

Urdu |

Recommended for You »

  1. मुझे एक ने पूछा कहाँ रहते हो ? मैंने कहा औकात ..
  2. Har Ek Jazbaat Ko Zubaan Nahi Milti Har Nek Aarzoo Ko ..
  3. Engineers Marte Nahi Zinda Dafnaaye Jaate Hain Har 6 Mahino Mein Tadpaaye ..
  4. Kabhi Sardi Jaaye Kabhi Garmi Aaye Kabhi Nanhi Nanhi Boondein Bhigayein Hain Saare ..
  5. मिले ना फूल तो काँटों ..
  6. Kuch Sochun To Tera Khayaal Aa Jaata Hai Kuch Bolun To ..
  7. Main Shikayat Kyun Karu Yeh To Kismat Ki Baat Hai Teri Soch ..
  8. Yeh Duniya Bhi Kamaal Hai Kuch Log Khush Rehna Seekh Hi ..
  9. Teacher What Is The Formula Of Water ? Tintumon H2MgClNaClHNO3Ca OH 2SnTnHgNICI COOH O Teacher What Is ..
  10. Sometimes In Life We Feel So Blue But Someone Somewhere Is ..

Share & Let Everyone Read









Draw shape below and click submit button to send us your message:
आओ खेलें

लाल बूढ़क्की छू..

anagram quiz

About Us


Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.

The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..



What's more


moderated-content-kids-safe

Moderated Content

Safe for people of all Age Groups including Children.
sms-api-always-win

API

Display SMS on your Website or Blog at Zero Cost.
rate-content

SMS Rating

Gives You Power to Rate Content.
« Stay In Touch »

Quality Improvement Initiative

Quality Improvement Program

On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.

Sample thumb screenshot

You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.