22Roz-e-eid gulaab chehron mein usko talash karta hoon
main apne aap se yeh sawaal karta hoon
woh ek shakhs jiska saath tha lamhe bhar ke liye
main uske waastey kyun dil udaas karta hoon..
Urdu |
30Bagaer jaane pehchane iqraar na kijiye
muskura kar dilo ko beqraar na kijiye
phool bhi de jaate hain zakham gehre kabhi kabhi
har phool par yun aetbar na kijiye..
Urdu |
30Kar guzaarish khuda se 'abhi' tu apne liye,
ki jee le ek aur din tu kisi ke liye,
har nayi mushkil se kyun ghabrata hai tu,
ek umar guzarti hai tajurbon ke liye,
saaki ne band kiye maikadaa'n ke darwaaze,
paimaano ki zaroorat nahi nigaahon se peene ke liye,
furkat-e-yaar mein bekaraar hai 'abhi',
aur mausam bhi tayyaar hai barasne ke liye,
doosre ke girebaa'n mein jhaankta hai jo,
ek nazar rakhe apne girebaa'n ke liye bhi..
- Abhishek Tanwar
Hindi |
00Tujh se darkaar mohabbat hay mohabbat ke ewaz
Main nahi chaahta tujh pe koi ehsaan rahe..
Urdu |
10Pata laga tera but-khaane mein na kaabe mein
Phire talaash mein teri kahan kahan se.. - Janaab Nawab Syed Mohammad Khan Rind
Urdu |
70Woh ajnabi hai jaane kab chor de
hawa ka kiya pata kab rukh mor de
hum to har ek ke dl ko khush rakhte hain
magar kisi ka kiya pata ke kab dil tor de..
Urdu |
10Har nazar nazar mein ek kashish hoti hai,
har dil mein ek chahat hoti hai,
mumkin nahi har ek ke liye Taj Mahal banana,
par har dil mein ek Mumtaz zaroor rehti hai..
Hindi |
41Ye nashist kya hai raah mein, terey zauq-e- ishq ko kya huwa
abhi chand kaantey chubhey nahi ke sab iraadey badal gaye..
Urdu |
00Hum ko maloom the choron ke sab thikaane magar
Shareek-e-Juram na hote to mukhbari karte..
Urdu |
00Kya batain piyaar ki bazi wafa ki raah mein
Kaun jeeta kaun hara ye kahaani phir sahi
Nafraton kr teer kha kar doston ke shehar mein
Humne kis-kis ko pukara yeh kahani phir sahi..
Urdu |
04बन्दे ना होंगे जितने खुदा है खुदा ई में,
किस किस खुदा के सामने सजदा करे कोई..!
- यास यगाना चंगेजी
Hindi |
20Meri tabaahee ka ilzaam ab sharaab pe hai
Main aur karta bhi kia tum pe aa rahi thi baat..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Karni Hai Khuda Se Ek Guzaarish Ki Teri Dosti Ke Siva ..
- Moving On Isn T Forgetting The Past It S Learning From It ..
- Uncleji Was Indeed A Great Human Being He Was Always There ..
- Aurato Se Bhari Bus Ka Accident Ho Gaya Sari Ladies Mar ..
- Har Pal Ki Dosti Ka Iraada Hai Aapse Apnapan Bhi Kuch ..
- All Children Behave As Well As They Are Treated ..
- Har Insan Dil Ka Bura Nahi Hota Har Koi Insan Bewafa ..
- H_NDU MUSL_M S_KH CHR_ST_AN S_NDH PUNJAB_ See How We Lose ..
- लाहौर दे दिया खैरात में फिर भी कारगिल में साज़िश ..
- दुःख कितना भी बड़ा क्यों ना हो धैर्य और संतुलन ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.