10mita de apni hasti ko agar kuchh martabaa chaahiye
ki daanaa khaak mein mil kar gul-e-gulzaar hota hai..
Urdu |
01Roshni auron ke aangan mein ganwaara na sahi
Kum se kum apne hi ghhar mein to ujaala kijiye..
Hindi |
30Jaane kyun yeh kambakht nazar lag jaati hai
haseen raaton ke baad gham ki dhoop chaa jaati hai
kyun nahi thehar jaata hai yeh waqt us mod par
jahaan mere alfaazon se unke labo pe hansi aa jaati hai..
Urdu |
40Yadon ke phool sookh na jaayein isi liye
aankho ko ashk-baar kia hai kabhi kabhi
humse junoon-e- ishq ka aalam na poochiye
khud apna intezaar kia hai kabhi kabhi..
Urdu |
00Maut apni na amal apna
kho gaya shorishe-geti mein karina apna
nakhuda door, hawa tez, karin kaame-nahang
waqt hai fenk de lehron mein safeena apna
arsa-e-dah ke hungaame tahe-khwaab sahi
garm rakh aatishe-pekaar se seena apna
saakiya ranj na kar jaag uthegi mehfil
aur kuch der utha rakhte hain peena apna
beshkeemat hain yeh gham haaye- mohabbat mat bhool
zulmate-yaas ko mat saunp khajeena apna.. - Faiz Ahmed FaizDetails:
Amal - work
shorishe-geti - hue and cry of the world
karina - method
nakhuda - driver of boat
karin - near
kaame-nahang - mouth of crocodile
safeena - boat
arsa-e-dah - span of life
tahe-khwaab - not visible due to sleep
aatishe-pekaar - fire of struggle
haaye-mohabbat - sorrow of love
zulmate-yaas - despair alike darkness
khajeena - treasure
Urdu |
121Har mor pe mil jate hain hamdard hazaron
shaayed ke meri basti mein adakaar buhat hain..
Urdu |
24Har taraf dhund hai, jugnu hai na charag koi,
Kaun pehchanega, basti mein agar jaaoonga..
Hindi |
11Hum ne kaha agar bhool jao humein to kamal ho jae
Hum ne to faqat baat ki, tum ne kamal kar diya..
Urdu |
00Manzil safar mein thi, qadam faaslon mein tha
main door tha zaroor, magar raaston mein tha..
Urdu |
00Na dekh asmaan ko itni hasrat se wasay
woh sitaara toot gaya jiski tujhe talaash thi..
Urdu |
32Mujhse ek baat bahut talakh kahi thi usne
baat to yaad nahi haan yaad hai lehja uska..
Urdu |
00दरवाज़े पर हो दस्तक तो चौंकिएगा नहीं
हो हमारा ही खत यह ज़रूरी तो नहीं
मुमकिन है हो हवा की शरारत
उसे भी शायद चाहिए आपसे मिलने की इजाज़त
Darwaaze par ho dastak to chonkiyega nahi
ho humaara hi khat yeh zaroori to nahi
mumkin hai ho hawa ki sharaarat
use bhi shaayad chaahiye aapse milne ki ijaazat..
Hindi |
♥ Recommended for You »
- A Day Of Virtue And Reflection Is Better Than A Hundred ..
- It S Easy To Make A Buck It S A Lot Tougher To ..
- Hands Up This Is A Robbery Handsome Guys Move To The ..
- Aankh Se Lahu Na Bahaya Kar Ae Dil Usay Kabhi To ..
- Office से सबसे Late निकलते साहब से चौकीदार पूछता है ..
- Apun Wishing You A Wonderful Super Duper Zabardast Xtra Badhiya Xtra Special Ekdum Mast And Dhinchak Bole To ..
- Santa Has Left A Bag Full Of Wish Gifts At Your ..
- Pokémon Go No Need To Enter The Darwin Police Station In Order ..
- Jaam Pe Jaam Peene Se Kya Faayeda Raat Guzaari To Saari ..
- I Am Sending You A Message Through Tortoise Tortoise Sorry I ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.