30Humari to manzliein thi unhi ke naam tak
wohi na pahunch paaye humare makaam tak..
Urdu |
71Jab log hi jazbon ki touqeer nahi kerte
hum bhi koi dukh apna tehreer nahi kerte
dil cheer jaata hai lehje ka ye rookha-pan
karti hai zubaan wo kuch jo teer nahi karte..
Urdu |
10Khushboo teri dosti ki mujhe mehka jaati hai
teri har baat mujhe behka jaati hai
saans to bahut der leti hai aane mein
har saans se pehle teri yaad aa jati hai..
Urdu |
10Mujrim nahi fir bhi sazaa-yaafta hun
is shehar mein gunaahgaar koi aur bhi hai..
Urdu |
70Muddat se koi shaks rulaane nahi aaya
Jalti hui aankhon ko bujhaane nahi aaya
Kehta the hum saath jiyenge aur marenge
Ab Rooth gia hun to manaane nahi aya..
Urdu |
12Faisle chand mujhe aise bhi lene honge
jinse tum ittefaq na rakho,
dekhte hain yeh
jumbish-e-junoon kahan tak jaata hai..
Urdu |
70Mumkin ho aap se to bhula dijiye mujhe
pathar pe hoon lakeer mita dijiye mujhe
har roz mujh se taaza shikaayat hai aapko
main kya hoon ek baar bata dijiye mujhe..
Urdu |
10Muddat ke baad dekh kar uss shakhs ko Munir
Ek baar dil tau dharka magar phir sambhal gaya..
Urdu |
00Maut apni na amal apna
kho gaya shorishe-geti mein karina apna
nakhuda door, hawa tez, karin kaame-nahang
waqt hai fenk de lehron mein safeena apna
arsa-e-dah ke hungaame tahe-khwaab sahi
garm rakh aatishe-pekaar se seena apna
saakiya ranj na kar jaag uthegi mehfil
aur kuch der utha rakhte hain peena apna
beshkeemat hain yeh gham haaye- mohabbat mat bhool
zulmate-yaas ko mat saunp khajeena apna.. - Faiz Ahmed FaizDetails:
Amal - work
shorishe-geti - hue and cry of the world
karina - method
nakhuda - driver of boat
karin - near
kaame-nahang - mouth of crocodile
safeena - boat
arsa-e-dah - span of life
tahe-khwaab - not visible due to sleep
aatishe-pekaar - fire of struggle
haaye-mohabbat - sorrow of love
zulmate-yaas - despair alike darkness
khajeena - treasure
Urdu |
20Apni sochein safar mein rehti hain
us ko paane ki jus-ta-ju dekho..
Urdu |
10Bujh chuke chiraag dairo haram ke,
Dil jalaao ki roshni kam hai..
Urdu |
10Aap bharam he sahi baat to kar lein humse
kuch na kehne se mohabbat ka gumaan hota hai..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- प्राण राम जब निकसन लागे उलट गई दोउ नयन पुतरिया भीतर ..
- उदासियों की वजह तो बहुत है जिंदगी में; पर बेवजह खुश ..
- No Time For Your Health Today No Health For Your Time ..
- Lucknow Me 2 Bache Ladh Rahe The 1st Dekhiye Ager ..
- A Man Doesn T Have Vacation Problems His Boss Tells Him When ..
- It Isn T Always Just How You Look Look At Me I M ..
- Not Where Others Fail Or Do Or Leave Undone The Wise ..
- Only A Few People Can Feel The Rain Others Just Get ..
- If Not For My Sighs These Tears Would Drown Me If ..
- Do Boond Zindagi Ke Pulse Polio Immunisation Campaign ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.