mani_46_shayari.jpg

Rone wale tujhe rone ka salika bhi nahi
ashq peene ke liye hain ya bahaane ke liye..

31

Urdu |

Utha ke phool ki patti nazakat say masal daali
Isharay say kaha hum dil ka aisa haal karte hain..

40

Urdu |

Itni shiddat se tumko paane ki koshish ki hai
ke zarre-zarre ne tumse, milane ki saazish ki hai..

11

Urdu |

Mere aaine mein ek shikast chehra hai
Munsif ke aas-paas ek ilzaam thehra hai

Bhanwar se jaan bachaake idhar aa gaye
Jahaan duur-duur tak bas ek sehra hai

Waar ko bhool jaayenge kisi roz, magar
Chot dil pe hai aur ghaav bhi gehra hai

Aankhon ki nami se dhundli hai nazar
Ya phir naseeb pe chhaaya kohra hai

Ab mere liye maqtal sajao
Suna hai qurbaaniyat ka anjaam sunehra hai.. - Anand Halve

Details:
shikast - defeated; Munsif - judiciary/judge; ilzaam - accusation

Bhanwar - whirlpool; Sehra - desert

Ghaav - wound

Kohra - mist, dhund

Maqtal - place of slaughter or execution

10

Urdu |

mani_47_shayari.jpg

Yeh parda-dari hai ya tamasha, mujhi mein reh kar mujhi se parda,
Tabaah karna agar hai mujhko naqab utha aur tabaah kar de..

247

Urdu |

mita de apni hasti ko agar kuchh martabaa chaahiye
ki daanaa khaak mein mil kar gul-e-gulzaar hota hai..

10

Urdu |

Chalo so jaate hain ab phir kisi sach ki talaash mein,
ki subha phir is jhooti duniya ka deedar karna hai..

10

Hindi |

Kisi ki kya majal thi jo koi hum ko kharid sakta Faraz ,
hum to khud hi bik gae khareed-daar dekh ke..

40

Hindi |

Fasal-e-khizan main phool khushi ke kihlaaye hain
hum intahay-e-karab main bhi muskuraye hain
saabit kadam rahe hain masayeb ke ru-ba-ru
hum imtehaan-e-zeesat main awwal hi aaye hain..

10

Urdu |

Hone Deta

raaz zahir bhi ye mujh pe nahi hone deta..

khoof-e-ruswai se kar deta hai hairaan aise
meri aankho ko samandar nahi hone deta..

maum kar deta jab loot ke aa jaata hai
mujh ko furkat me woh patthar nahi hone deta..

dekhta hon tu kabhi chand, kabhi phool hai woh
apni soorat mujhay azbaar nahi hone deta..

jee me hai ar ke chala jao jaha rahta hai
woh mera ghar bhi mera ghar nahi hone deta..

jab bhi milta hai tu bas toot ke milta mujhay
apne gham ka mujhay khoghar nahi hone deta ..

rooth bhi jate hain Jafar tu manalene me
mujh ko apne se wo bahtar nahi hone deta..

10

Urdu |

shayari.jpg

Main shikayat kyun karu
yeh to kismat ki baat hai.
teri soch mein bhi main nahi
mujhe lafz-lafz tu yaad hai..

163

Urdu |

Recommended for You »

  1. चतुराई ना चतुर्भुज पाईये रे जन मन माधो सयों लाइए Chaturai ..
  2. Oh Sms Jaake Meri Dost Ko I MISS U ..
  3. Zindagi 2 Din Ki Hai 1 Din Tumhare Haq Mein 1 Din ..
  4. Waqt Ki Raahon Mein Aap Bhula De Chaahe Humein Per Hum ..
  5. Do You Know The Meaning Of HAPPY? H Hum A ..
  6. Success Has Many Fathers But Failure Is An Orphan ..
  7. Pati Mobile Patni Sim Card Dono Mile To Hua Recharge Beta Hua To ..
  8. No One Knows Where The Shoe Pinches But He Who ..
  9. Dus Saal Pehle Girl Maa Mein Jeans Pehen Loo? Maa Nahi Now A Days Girl Maa Mein ..
  10. Woh Mazaa Na Red Label Mein Na Taj Mein Na Poori ..

Share & Let Everyone Read









Draw shape below and click submit button to send us your message:
आओ खेलें

लाल बूढ़क्की छू..

anagram quiz

About Us


Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.

The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..



What's more


moderated-content-kids-safe

Moderated Content

Safe for people of all Age Groups including Children.
sms-api-always-win

API

Display SMS on your Website or Blog at Zero Cost.
rate-content

SMS Rating

Gives You Power to Rate Content.
« Stay In Touch »

Quality Improvement Initiative

Quality Improvement Program

On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.

Sample thumb screenshot

You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.