11Aitebaar ka mausam badal jaye na kahin
dil ki be-yaqeeni se lagta hai darr..
Urdu |
20Mujhe khushboo ki taraha baat uraane wale
tujh mein pehlay to na the rang zamanay wale
apni aasteenon mein chupaye hue khanjar aaye
mujh se yaaron ki taraha haath milaane wale..
Urdu |
70Dolat-e-dard ko duniya se chupa kar rakhna
aankh main boond na ho dil mein dariya rakhna..
Urdu |
10Makaam-e-sood-o-ziyan aa gaya hay phir jaana
yeh zakham mere sahi teer tau utha le jaa..
Urdu |
40Jab Yaad Aati Hai Tumhari Muskura Lete Hain
Kuch Pal Ke Liye Har Gham Bhula Dete Hain
Kaise Bheeg Sakti Hain Aapki Palkein
Aap Ke Hisse Ke Aansu To Hum Baha Letey Hain..
Urdu |
31Mujhe kyun rokte ho uski pooja se
Usay koi nahi rokta ke woh devta na lage..
Urdu |
40Kal shaam tere ghar qayam kis ka tha
na tha koi musfir to ehtmam kis ka tha
likh-likh choomti rahi jis ko raat bhar ankhen tumhaari
humein bhi batao woh naam kis ka tha
jis ko sun ke ro pare ehl-e-mehfil
itna bheegta hua anjam kis ka tha
humein pee ke hosh na raha saaqi
woh haath kis ka tha woh jaam kis ka tha..
Urdu |
10Mujrim nahi fir bhi sazaa-yaafta hun
is shehar mein gunaahgaar koi aur bhi hai..
Urdu |
10Kya mazaa deti hai bijlee ki chamak mujhko Faraz
mujhse lipte hain mere naam se darne waale..
Urdu |
20Mujhe apni chaadar mein is tarah dhaanp lo
zameen asmaan kuch dikhaai na de
khuda aise ehsaas ka naam hai
rahe saamne aur dikhaai bhi na de..
Urdu |
10Mohabbaton ki ye waardatein koi sunega to kya kahega
yeh behki-behki humari baatein koi sunega to kya kahega
raqaabaton ki qayaamaton se khandarein tabdeel ho rahi hain
humari chaahat ki kaa-e-naatein koi sunega to kya kahega
tumhare khat se ye lag raha hai ki rote rote likha hai tumne
yeh ankahi si tumhari baatein koi sunega to kya kahega
hum hi hain mazloom hum hi hain zaalim hum hi hain maqtool hum hi hain qaatil
hum hi hain mohre hum hi hain baesatein koi sunega to kya kahega
tere tasavvur ka aana jana mere takhayyul ki wadiyon mein
beghair dhole ki ye baaraatein koi sunega to kya kahega
Urdu |
10Uss ne dekha hi nahi meri rooh ko choo kar warna
yun zakhmo ka na wo apne charchaa karta..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Greatness Of A Person Is Not Measured By His Srtength; It Is ..
- Hanju Tera Hove Te Akh Meri Hove Dil Tera Hove Te ..
- अगर तू है उम्दा सड़कें बनाने में दिखा कुछ हुनर ..
- Enlightenment Must Come Little By Little Otherwise It Would Overwhelm ..
- We Are Warriors Of Light And Destiny Is Only Byproduct Of Our ..
- Santa Baraf Ka Tukda Haath Mein Le Kar Gaur Se Dekh ..
- Mindfulness Is Achieved When The Noise Dies ..
- Mainu Samajh Ni Aaunda Ki Tu Mainu Khushi De Rahi Aa ..
- Mujhe Bhoolna Mat Yaad Rakhna Meri Wafa Ka Kuch Khyaal Rakhna Main ..
- प्रत्येक आत्मा स्वयं में सर्वज्ञ और आनंदमय है आनंद बाहर ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.