20Mushkil kahan thay tark-e-taaluq ke marhalay
Ae dil sawaal magar teri zindagi ka tha..
Urdu |
20Udaas dil ka thikana kisi ko kahan maaloom
hum apne aap se bichrre to phir jaane kahan honge..
Urdu |
10Pata laga tera but-khaane mein na kaabe mein
Phire talaash mein teri kahan kahan se.. - Janaab Nawab Syed Mohammad Khan Rind
Urdu |
10Majrooh! Aaj to hai shab-e-vasl-mah ro
Keh do ke koi jaldi se aakar bujhaye shamaa.. - Mir Mehdi Majrooh
Urdu |
00Shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
jagmagati jaagati sarkooN peh aawara phriooN
ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN
Aye gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti hui shamsheer si
ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN
yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal
jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal
aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi
jane kis ki gaud meiN aai yeh moti ki laRi
hook si seenay meiN uThi chaut si dil per paRi
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal
phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal
yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
har taraf hei bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN
baRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN
ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN
raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN
laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN
aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay
ab bi jane kitne dervazay heiN waa mere liay
per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei ab ahd-e-wafa bi toR dooN
un ko paa sakta hooN yeh aasra bi chhoR dooN
haaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bi toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN
mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN
zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei murda chaand taray nauch looN
iss kinare nauch looN us kinare nauch looN
eik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane
saikaRoN changez-o-naadir haiN nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
le ke eik eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN
taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN
koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
baRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN
iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN
takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN
ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
-Majaz Lakhnawi
Urdu |
30Mohabbat ki imaarat gir gayi hai
koi malbe pe baitha ro raha hai
hawa patton se sir takra rahi hai
tere jane ka maatam ho raha hai..
Urdu |
30Husn waale wafaa nahi karte
daulat mand log dua nahi karte
hum qalander mijaaz hain
kisi ke liye bad- dua nahi karte..
Urdu |
21Na shab-o-roz achche na hi haal achcha hai
kisi jogi ne kaha tha ke yeh saal achcha hai
maine poocha ke yeh intezaar aur kab tak
muskuraate hue bola, sawaal achcha hai..
Urdu |
22Teri mehfil ke dastoor-e-dum
mujhe khamosh hi rehne de humdum
aisa na ho yeh chaman sulagne lage..
Urdu |
30Hum jee rahe the unka naam lekar
woh guzarte the hamara salaam lekar
ek din woh keh gaye bhula do humko
humne poocha kaise
woh chale gaye haath mein jaam dekar..
Urdu |
10Bujh chuke chiraag dairo haram ke,
Dil jalaao ki roshni kam hai..
Urdu |
00Kya batain piyaar ki bazi wafa ki raah mein
Kaun jeeta kaun hara ye kahaani phir sahi
Nafraton kr teer kha kar doston ke shehar mein
Humne kis-kis ko pukara yeh kahani phir sahi..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- If Your Eyes Are Conditioned To See Trash Then What Flowers ..
- Valentines Special GF = Where R U ? BF = I M At Bank GF ..
- Santa Samosa Wichon Aaloo Aaloo Kha Reha Si Te Bahar Da ..
- Tanhaai Mein Muskuraana ISHQ Hai Ek Baat Ko Sabse Chupaana ISHQ ..
- Father To Son Sharmaji Ki Ladki Ko Dekha Hai Woh Exam ..
- You Don T Need Someone To Complete You You Only Need Someone ..
- शांति और आत्म नियंत्रण अहिंसा है Happy Mahavir Jayanti ..
- LISTEN And SILENT Are Two Words They Have The Same ..
- Charm Is A Way Of Getting The Answer Yes Without Having ..
- God Does Not Want Us To Lead A Miserable Life For ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.