21Na shab-o-roz achche na hi haal achcha hai
kisi jogi ne kaha tha ke yeh saal achcha hai
maine poocha ke yeh intezaar aur kab tak
muskuraate hue bola, sawaal achcha hai..
Urdu |
32Mera us shehr-e-Adawat mein Basera hai Faraz
Jahaan Charas to mil jati hai magar Cheeni nahi milti..
Urdu |
66071GHALIB
Ghalib sharab peene de masjid mein baith kar
ya woh jagah bata jahan Khuda nahi.
ग़ालिब शराब पीने दे
मस्जिद में बैठ कर
या वो जगह बता
जहाँ खुदा नहीं ..
IQBAL
masjid Khuda ka ghar hai peene ki jagah nahi
Kafir ke dil mein jaa wahan Khuda nahi..
Faraz
Kafir ke dil se aaya hun yeh dekh kar Faraz
Khuda maujood hai wahan,
usay pata nahi..
WASI
Khuda to maujood dunia mein har jagah
Tu Jannat mein jaa, wahan peene se mana nahi..
SAQI
Peeta hun saqi, gam-e- duniya bhulaane ke liye
Jannat mein kaun sa gham hai, is liye waha maza nahi..
Urdu |
10Raaste badal jaate hain, manzilein badal jaati hain,
kyun nahin badalte dil jo taqdeerein badal jaati hain,
dil wahi rehta hai, yaadon ki annginat parchaaiyaan le ke,
aankhon ki nami chupa kar, nazrein badal jaati hain,
rooh rehti hai har lamha ashk-baar, lab hanste hain,
bahar aur andar ki kis tarah fizaaein badal jaati hain,
koi hota hai rafta-rafta zindagi se door, bahut door,
haathon ki yeh lakeerein kyun aksar badal jaati hain..!!
Hindi |
11Isi khayal se aansoo chupaa liye humne
udaas reh ke kisi ko udaas kya karna..
Urdu |
30Bana diya hai zamaane ne dil ko patthar kaa
sataaye koii bhii mujh ko rula nahiin sakataa..
Urdu |
14Tum mujhe bhool jao to yeh haq hai tumko
meri baat aur hai maine to mohabbat ki hai..
Urdu |
01Hai shauk-teen-safar bus aisa ke ek umar se hum ne
Manzil bhi nahi paayi, aur raasta bhi nahi badla..
Urdu |
20Aksar woh meri nazm ka unwaan raha hai
lekin woh meri mohabbat se anjaan raha hai
kuch kaha na kabhi is dar se ki bura maan na jaye
magar woh ab isii baat ka bura maan raha hai..
Urdu |
00Maikade se jo nikala meri tauba ne Jaleel
Muddaton sheesha-o-saaghir ne mujhe yaad kiya.. - Hafeez Jaleel Hasan Jaleel Lakhnavi
Urdu |
21Har tarike se bhulana chaha magar,
har khayal se paida, tera khayal hota hai..
Hindi |
00Mohabbat ka yaaron sila kuch nahi
ek gham ke siwa mila kuch nahi
saare armaan mere jal ke raakh ho gaye
log kehte hain phir bhi jala kuch nahi..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Ae Khuda Mere Dost Ko Haathi Ki Taaqat Sher Ki Aawaaz Cheete ..
- May This Diwali All Your Wishes Come True It Spreads The ..
- Hass Hass Ke Katni Zindagi Yaaraan De Naal Dil La Ke ..
- मोहब्बत ऐसी थी की उनको सिखाई न गयी चोट दिल पे ..
- I Am New Each Day My Moods Get Changed My Thoughts Are ..
- He Who Speaks Sows; He Who Listens Reaps Argnetine Proverb ..
- Pick A Chrysanthemum Near A Fence And Enjoy The Mountain In ..
- Girl Meri Skin Bahut Soft And Sensitive Hai Aur Rang Bhi ..
- Dus Saal Pehle Girl Maa Mein Jeans Pehen Loo? Maa Nahi Now A Days Girl Maa Mein ..
- Jo Ek Lafz Ki Khushboo Na Rakh Saka Mehfooz Main Uss ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.