111Ek muddat se meri maa soi nahi Tabish
maine ek baar kaha tha mujhe darr lagta hai..
Urdu |
00Mitti na di mazaar talak aake, us par bhi
Kehte hai log ‘Khaak mein uss-ne mila diya’.. - Hakim Momin Khan
Urdu |
23Aankhon ki dehleez pe aa kar
sapne roz bikhar jaate hain..
Urdu |
00Shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
jagmagati jaagati sarkooN peh aawara phriooN
ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN
Aye gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti hui shamsheer si
ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN
yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal
jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal
aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi
jane kis ki gaud meiN aai yeh moti ki laRi
hook si seenay meiN uThi chaut si dil per paRi
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal
phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal
yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
har taraf hei bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN
baRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN
ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN
raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN
laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN
aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay
ab bi jane kitne dervazay heiN waa mere liay
per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei ab ahd-e-wafa bi toR dooN
un ko paa sakta hooN yeh aasra bi chhoR dooN
haaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bi toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN
mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN
zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei murda chaand taray nauch looN
iss kinare nauch looN us kinare nauch looN
eik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane
saikaRoN changez-o-naadir haiN nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
le ke eik eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN
taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN
koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
baRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN
iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN
takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN
ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
-Majaz Lakhnawi
Urdu |
22Meri khamoshi ko galat rang de kar
ik shaks mujhe shehar mein badnaam kar raha hai..
Urdu |
30Mohabbat ki imaarat gir gayi hai
koi malbe pe baitha ro raha hai
hawa patton se sir takra rahi hai
tere jane ka maatam ho raha hai..
Urdu |
50Mujhe bhoolna mat, yaad rakhna.
meri wafa ka kuch khyaal rakhna
main phir aaonga naya zakhm khane ke liye
ek aur patthar sambhal kar rakhna..
Urdu |
20Mujay aksar sitaron se yahi aawaaz aati hai
Kisi ke hijar mein neendein ganwaa ker kuch nahi milta
Jigar ho jayega chalni yeh aankhaein khoon royengi
Wasi bay faiz logon se nibhaa ker kuch nahi miltaa..
Urdu |
10Tu mera dard jab barhata hai
jane kya dil sakoon pata hai
ishq main har asaasa lutt jaye
tab kahain jaa ke chain aata hai..
Urdu |
10Halaat mere mujhse na maaloom kijiye,
muddat hui hai mujhse mera wasta nahi..
Urdu |
21Na shab-o-roz achche na hi haal achcha hai
kisi jogi ne kaha tha ke yeh saal achcha hai
maine poocha ke yeh intezaar aur kab tak
muskuraate hue bola, sawaal achcha hai..
Urdu |
21Tu jaane teri fitrat
- Rashmi Nair
main jaanu meri ibaadat
jab hoga aamna samna inn dono ka
teri fitrat badal jayegi ibaadat mein...... 🙏🏻🙏🏻🙏🏻
Hindi |
♥ Recommended for You »
- स्टार प्लस Star Plus Sapno Se Bhare Naina Tere Lyrics Naina ..
- Nikalna Khuld Se Adam Ka Sunte Aaye The Lekin Bade Beabru ..
- Earning Stale Bread Is More Important Than Getting Clean Air ..
- People Do Not Lack Strength; They Lack Will Victor ..
- When Someone Is Poor No One Knows Him But When The Same ..
- सदा तो धूप के हाथों में ही परचम नहीं होता खुशी ..
- Dukh Dil Ch Lako Ke Hanjoo Naina Ch Pro Ke Tere Aan ..
- Mil Jaati Hai Kitno Ko Khushi Mit Jaate Hain Kitno Ke ..
- Santa Dials A Number And A Girl Receives His Call Santa ..
- Tum Salamat Raho Qayamat Tak Aur Qayamat Kabhi Na Aae Shad ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.