51Mujhe giley hain mujhpe bharosa nahi usey
ye soch kar humne bhi to roka nahi usey
woh shaks kabhi chand sitaron se yeh pooche
hai kaun si woh raat jab socha nahi usey
alfaz teer ban ke utarte rahe dil mein
sunte rahi chup-chap hi toka nahi usey
sagar yeh mohabbat nahi asul-e-wafa hai
hum jaan to denge magar dhoka nahi tumhe..
Urdu |
21Na ho udaas woh tujh se agar nahi milta
yahaan kisi se koi umar bhar nahi milta
hua hai shehar tabha tujh ko to khabar hogi
bahut dino se mujhe apna ghar nahi milta
har ik mod pe milte hain sainkron chehre
main dhoond-ta hun jisse woh magar nahi milta..
Urdu |
12Aaj hum unko bewafa bata kar aaye hain
unke khaton ko paani mein baha kar aaye hain
koi nikaal kar padh na le unhein
iss liye paani mein bhi aag lagaa kar aaye hain..
Urdu |
11Maine us-se poocha ke dhoop mein baarish hoti hai
Woh hanste-hanste rone lagi aur dhoop may baarish hone lagi..
Hindi |
21Main bhi hairan huya ae Dagh ke yeh kya baat hai
Vaada voh karte hai, aata hai tabassum mujhko.. - Nawab Mirza Dagh Dehlvi
Urdu |
00Duniya ne teri yaad se begana kar diya
Tujh se bhi dil-faraib hain gham rozgaar ke..
Urdu |
20Apni sochein safar mein rehti hain
us ko paane ki jus-ta-ju dekho..
Urdu |
10Thukra ke usne mujhko kaha ke muskurao
main hans diya aakhir sawaal uski khushi ka tha
maine khoya woh jo mera tha hi nahi
usne khoya woh jo sirf uss ka tha..
Urdu |
00Pehlu mein yaar, haath mein jaam sharab ho
Itna bhi aasman ko nahi hai samaa pasand.. - Saba Lakhnavi
Urdu |
20Haath uthe hain magar lab pe dua koi nahi
ke ibadat bhi woh jis ke jaza koi nahi
ye bhi waqt aana tha ab to gosh har aawaz hai
aur mere barbad-e-dil mein sada koi nahi
aa ke ab taslim kar lain tu nahi to main sahi
kon manega ke hum mein bevafa koi nahi
waqt ne wo khak udai hai ke dil ke dasht se
qafile guzre hain phir bhi naqsh-e-pa koi nahi
khud ko yun mahasur kar baitha hun apni zaat mein
manzilen chaaron taraf hain rasta koi nahi
kaise raston se chale aur kis jagah pahunche ‘faraz’
ya hujum-e-dostan tha sath ya koi nahi
Urdu |
10Usne tora woh taalluq jo meri zaat se tha
usko ranj na jaane meri kis baat se tha
laa-taalluq raha logo ki tarah woh bhi
jo achchi tarha waaqif mere halaat se tha..
Urdu |
10Hazaaron mushkilein hain doston se door rehne mein
Magar ek faida hai peeth main khanjar nahi lagtaa..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- श्रद्धा से समर्पित हो लोक कल्याण हित हर कार्य भला ..
- Ek Janaza Dekh Ke Ladki Muskuraai Ek Bada Bola Beti Jawaan ..
- Hum Rahe Na Rahe Un Logon Ko Saza Milni Chahiye Yeh ..
- Year 1924 March Wednesday 23rd Evening 6 O Clock 32 Mins 53 52 Secs Nothing Happened U Carry On Ur Work ..
- World S Most Painful Shaayeri Ever Full Of Grief And Sorrow Dil Mein ..
- Bichar Kar Khat Bhi Na Likha Udaas Yaaron Ne Kabhi Kabhi ..
- Alcohol Doesn T Solve Any Problems But Then Again Neither Does Milk ..
- Auspicious Red Glorious Gold Soothing Silver Pretty Purple Blissfull Blue Forever Green Wishing ..
- Doctor At Door To Butler Tell Your Master The Doctor ..
- Aaj Se Aap Ke Yahaan Dhan Ki Barsat Ho Maa Laxmi ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.