10Makaam-e-sood-o-ziyan aa gaya hay phir jaana
yeh zakham mere sahi teer tau utha le jaa..
Urdu |
10Usne tora woh taalluq jo meri zaat se tha
usko ranj na jaane meri kis baat se tha
laa-taalluq raha logo ki tarah woh bhi
jo achchi tarha waaqif mere halaat se tha..
Urdu |
10Tujh se lafzon ka nahi rooh ka rishta hai mera
tu meri saanson mein tehleel hai khushbu ki tarah..
Urdu |
20Mujhe ye dukh nahi ke main mar jaaonga ik din Wasi
mujhe dukh hai ke mere baad teri khusiyon ki dua kaun karega..
Urdu |
00Maut apni na amal apna
kho gaya shorishe-geti mein karina apna
nakhuda door, hawa tez, karin kaame-nahang
waqt hai fenk de lehron mein safeena apna
arsa-e-dah ke hungaame tahe-khwaab sahi
garm rakh aatishe-pekaar se seena apna
saakiya ranj na kar jaag uthegi mehfil
aur kuch der utha rakhte hain peena apna
beshkeemat hain yeh gham haaye- mohabbat mat bhool
zulmate-yaas ko mat saunp khajeena apna.. - Faiz Ahmed FaizDetails:
Amal - work
shorishe-geti - hue and cry of the world
karina - method
nakhuda - driver of boat
karin - near
kaame-nahang - mouth of crocodile
safeena - boat
arsa-e-dah - span of life
tahe-khwaab - not visible due to sleep
aatishe-pekaar - fire of struggle
haaye-mohabbat - sorrow of love
zulmate-yaas - despair alike darkness
khajeena - treasure
Urdu |
30Humari to manzliein thi unhi ke naam tak
wohi na pahunch paaye humare makaam tak..
Urdu |
11Maine us-se poocha ke dhoop mein baarish hoti hai
Woh hanste-hanste rone lagi aur dhoop may baarish hone lagi..
Hindi |
10aadatan tum ne kar diye vaade
aadatan ham ne aitabaar kiyaa
terii raahon mein baarahaa ruk kar
ham ne apanaa hii intazaar kiiyaa
ab naa maangenge zindagii yaa rab
ye gunaah humne ek baar kiya..
- Sampooran Singh Kalra (Gulzar)
Urdu |
20Majrooh! Likh rahe hai voh ahl-e-vafa ka naam
Ham bhi khade huye hai gunahgaar ki tarah.. - Majrooh Sultanpuri
Urdu |
00Yun bikharti hain kaakulein uski
jaise sailaab-e-noor aata hai..Details:
kaakul - strand of hair
Urdu |
00Kati hai raat to hungama-gustari mein teri,
seher kareeb hai allah ka naam le saaki.. - IqbalDetails:
hungama-gustar means carpets of noise.
seher means morning.
Urdu |
10Uss ne dekha hi nahi meri rooh ko choo kar warna
yun zakhmo ka na wo apne charchaa karta..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Dard Ke Phool Bhi Khilte Hain Bikhar Jaate Hain Zakhm Kaise ..
- Santa Aapko Logo Ne Kyon Maara? Santa Arre Yaar Meri Photo ..
- Swere Thwadi Yaad Aai Te Thwanu Miss Kita Dine Yaad Aai ..
- Woh Bhi Ajeeb Shakhas Tha Ke Jiss Ki Zaat Par Jab ..
- Days Are Too Busy Hours Are Too Fast Seconds Are Too Few But ..
- Trying To Achieve Freedom With Many Independent Worlds Is Like Dreaming Sky Under ..
- Saath Chutne Se Riste Nahi Chutta Karte Waqt Ke Ruthne Se ..
- Aasmaan Ke Taare Aksar Poochte Hain Humse Kya Tumhe Aaj Bhi ..
- Real Friend Cares Like A Mom Scolds Like A Dad Teases Like ..
- Who Are We To Say Who Is Hindu?? Who Is Muslim?? When There ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.