20Mujhe ye dukh nahi ke main mar jaaonga ik din Wasi
mujhe dukh hai ke mere baad teri khusiyon ki dua kaun karega..
Urdu |
40Koi taveez ho radd-e-balla ka
Mohabbat mere peeche par gayi hai..
Urdu |
42हालात ये कहते हैं के ज़माने के साथ चल
आसार ये हैं के क़यामत करीब है ..
Hindi |
20Kaise likhoge mohabbat ki kitab
tum to karne lage pal-pal ka hisaab
Khushak patto ka mausam lekar
Aag ke sheher mein rehte ho janaab..
Hindi |
03Qaid tha dil mein tera hi dard ta-umar ke liye,
Mar rahi thi har aarzu dard ke is safar mein..
Urdu |
10Khushboo teri dosti ki mujhe mehka jaati hai
teri har baat mujhe behka jaati hai
saans to bahut der leti hai aane mein
har saans se pehle teri yaad aa jati hai..
Urdu |
10Isse pahle ke hawaa shor machaane lag jaaye,
Mere Allah, Meri khaak tthikaane lag jaaye
Ghere rahte hai.n kaii khwaab meri aankho.n ko,
Kaash kuchh der mujhe neend bhi aane lag jaaye
Saal bhar Eid ka rastaa nahi dekha jaata,
Woh gale mujhse kisi aur bahane lag jaye
- Dr. Rahat Indori
Urdu |
10Woh din.. woh mehfilein.. woh shagufta mijaaz log
Mouj-e-Zamana le gai jaane kahan-kahan..
Urdu |
10Mohabbaton ki ye waardatein koi sunega to kya kahega
yeh behki-behki humari baatein koi sunega to kya kahega
raqaabaton ki qayaamaton se khandarein tabdeel ho rahi hain
humari chaahat ki kaa-e-naatein koi sunega to kya kahega
tumhare khat se ye lag raha hai ki rote rote likha hai tumne
yeh ankahi si tumhari baatein koi sunega to kya kahega
hum hi hain mazloom hum hi hain zaalim hum hi hain maqtool hum hi hain qaatil
hum hi hain mohre hum hi hain baesatein koi sunega to kya kahega
tere tasavvur ka aana jana mere takhayyul ki wadiyon mein
beghair dhole ki ye baaraatein koi sunega to kya kahega
Urdu |
10बिन बुलाए आ जाते थे, गाँव में रोज़ मिलने
ये परिंदे भी शहर में मशरूफ़ बड़े हैं ..
Hindi |
30Maine dushman ko bhi ahsaas-e- mohabbat bakhsha
Merey apne Mujhe Nafrat ki saza dete hain..
Urdu |
20Jungle mein is tarha ki udaasi na thi kabhi
ae Qaarwaan thehar koi saathi bichar gaya..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- इससे ज़्यादा शर्मसार क्या होगा मोदी हिन्दुस्तान 8 साल की मासूम ..
- Sometimes In Life We Feel So Blue But Someone Somewhere Is ..
- Where Facts Cannot Be Found Legends Fill The Empty Space ..
- Woh Bhi Ajeeb Shakhas Tha Ke Jiss Ki Zaat Par Jab ..
- Hum Charagh E Shub Hi Jab Thehre To Phir Kia Sochna Raat Thi ..
- I Have Already Told Santa Claus What I Want For Christmas Best ..
- A Goal Is Not Always Meant To Be Reached It Often ..
- Teacher Told All Students In A Class To Write An Essay ..
- Father What Were The Two Hardest Things You Learnt In The ..
- Kaale Badal Chaaye Hoye C Te Sante Nu Apni Gf ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.