01Dil ke rag-rag nicchod lete hain
Ishq main yeh badi museebat hai..
Urdu |
10Woh din.. woh mehfilein.. woh shagufta mijaaz log
Mouj-e-Zamana le gai jaane kahan-kahan..
Urdu |
53इधर तुम और उधर तमाम थे
रंज यह की हम दरमियान थे।
Urdu |
20वो कहते हैं की हम उनकी झूठी तारीफ़ करते हैं
- Reshma
ऐ खुदा बस एक दिन के लिए आईने को ज़ुबान दे दे ..
Hindi |
10Un ke kehne par ghar ke kacche raaste par
humne itne deep jalaye ke
roshni ki hadd dekh kar woh
is pareshani mein waapas laut gaye
ki raat ka waada tha ab to din nikal aaya hai..
Urdu |
40Subhe-azal yeh mujhse kaha jibraeel ne,
jo akal ka ghulam ho woh dil na kar kabool.. - IqbalDetails:
Subhe-azal means first day of creation of world.
jibraeel is the lord of kindness (daya ka farishta).
Urdu |
00Shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
jagmagati jaagati sarkooN peh aawara phriooN
ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN
Aye gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti hui shamsheer si
ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN
yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal
jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal
aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi
jane kis ki gaud meiN aai yeh moti ki laRi
hook si seenay meiN uThi chaut si dil per paRi
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal
phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal
yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
har taraf hei bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN
baRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN
ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN
raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN
laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN
aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay
ab bi jane kitne dervazay heiN waa mere liay
per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei ab ahd-e-wafa bi toR dooN
un ko paa sakta hooN yeh aasra bi chhoR dooN
haaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bi toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN
mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN
zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei murda chaand taray nauch looN
iss kinare nauch looN us kinare nauch looN
eik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane
saikaRoN changez-o-naadir haiN nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
le ke eik eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN
taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN
koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
baRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN
iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN
takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN
ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
-Majaz Lakhnawi
Urdu |
21Yehi mizaaj hai apna kisi ka dil na dukhe
judaaiyon ko bhi chaaha hai qurbaton ki tarha..
Urdu |
00Duniya ne teri yaad se begana kar diya
Tujh se bhi dil-faraib hain gham rozgaar ke..
Urdu |
11Paash-paash ho jaein ab to ye maflooj sochein
rooh pe koi taaza zarbe sitam laga ke dekho..
Urdu |
50Faiz zinda rahein woh hain to sahi
kya hua gar wafa shuaar nahi..
Urdu |
68373GHALIB
Read more by GHALIB..
Ghalib sharab peene de masjid mein baith kar
ya woh jagah bata jahan Khuda nahi.
ग़ालिब शराब पीने दे
मस्जिद में बैठ कर
या वो जगह बता
जहाँ खुदा नहीं ..
IQBAL
masjid Khuda ka ghar hai peene ki jagah nahi
Kafir ke dil mein jaa wahan Khuda nahi..
Faraz
Kafir ke dil se aaya hun yeh dekh kar Faraz
Khuda maujood hai wahan,
usay pata nahi..
WASI
Khuda to maujood dunia mein har jagah
Tu Jannat mein jaa, wahan peene se mana nahi..
SAQI
Peeta hun saqi, gam-e- duniya bhulaane ke liye
Jannat mein kaun sa gham hai, is liye waha maza nahi..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Let Everyday Be A Dream You Can Touch Let Everyday Be ..
- Zamaane Ki Har Jannat Aapke Liye Hogi Ye Aasmaa Ye Zameen ..
- Cello The Pen Of India Lux The Soap Of India Amul The ..
- La Ilaha Ki Nafi Aur Illallah Ka Isbat Zabaan Se Ada ..
- Mushkil Kahan Thay Tark E Taaluq Ke Marhalay Ae Dil Sawaal Magar Teri ..
- Jb Kisi Per Bura Waqt Aata Hai To Uske Dost ..
- Quality Cannot Be Independently Derived From Either Mind Or Matter But ..
- Baat Din Ki Nahi Ab Raat Se Darr Lagta Hai Ghar ..
- Holi Aayi Tum Udaao Gulaal Bhula Do Saare Ranj O Malaal Prem Ke Sang ..
- Love Is The Only Flower That Grows And Blossoms Without The Aid ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.